ZIDD part 4

55 3 4
                                    

Here is the part 4
Ignore all typing mistake....
Ig : alisha__qureshi00
Dm me for feedback....
*******************************************
Reema chalein khana lgwaye ... Sultan kehte hue dinning table ki taraf bade

Jii main kehti hu Salma se .. Reema bhi unke sath uthi ...

Chalo baccho tum bhi ajao

Jii mama aap chalein main aata hu ... Ubaid ne pyar se jawab diya ...

Unke jaate hi Ubaid ne aliyan ko gardan (neck) se pakad liya ...

Hnn toh bandar ke bacche kya tamasha tha yeh alizey ke naam par kya aag nikali hai
muh se tumne..... Ubaid ne isse kaha ...

Ba..ba.. baba aapko bruh bandar keh rahe hai .. aliyan ne Ubaid ko darate hue kaha

Ubaid ne dar ke mare uski gardan chod di....

Aliyan use misni hasi dekar or tapa raha tha ...

Beta chodunga nhi tumhe ab tumne uska naam liya toh .. Ubaid ne usse goorte hue kaha

Khinza iss poore scene ko enjoy kar rahi thi ..

Kiska apki gurl ka.. ya hamari hone wali bhabhi ka .. aliyan phir isse chedne laga ...

Oye Teri toh... Ubaid kehte hue aage bada

Are rehne de Bhai kya hogya mazak kar rahe hai yeh .. khinza ne pheli baar mudakhlat ki ....

Hnn.. de lo tum bhi iska sath .. dekhlunga tum dono ko .. Ubaid chidte hue bola

Acha waise hamari bhabhi ka photo wagera toh dikhaye .. khinza or aliyan mazeed isse jala rahe the ..

Tum logo ki toh main .. Ubaid ne ek pillow hath main liya

Acha acha Jaa rahe hai sorry .. kehte hue dono dinning table par aagye ..

Ubaid ne bhi pillow rakh ke dinning table ki taraf badh gya ...
*******************************************
Alizey apne Ghar walon ke sath dinner kar rahi thi ....

Hann bhi chuze kaisa Raha semester.. alizey ne ruhail se pucha ..

Tameez se bada hai tumse .... Iski mama ne ise Toka ...

Ammi bs ek saal bada hai koi badi baat nhi hai ... Alizey ne Aram se kahna khate hue kaha .....

Thik tha chuhiya ..... Tum batao tumhara kaisa din tha ... Ruhail ne bhi ussi andaaz main jawab Diya ...

Thik thak tha Bhai zyada kuch khaas na tha .. alizey ne tahmul se kaha ...

Acha tumhe yeh btana tha ki kl misbah ke susral Wale aa rahe hai anghooti ki rasam karne .. iski ammi ne sabse kaha...

Misbah ki mangni misbah ki khala ke yahan pakki hui vi thi ...

Acccha toh woh finally aarahe hai humara kachra apne ghar le jaane .. ruhail .ne mazak se kaha ....

Ruhail ... Misbah ne ise ghoorte hue kaha ...

Han sahi toh keh raha hai yeh .. tum bhut khas kachra hai humare Ghar ka tum .. alizey ne bhi sath diya ..

Misbah in dono ko ghooti rahi ...

Accha bs karo meri bacchi ko pareshan mat karo .. iske baba or mama ne kaha ..

Thik hai nhi karte apki ladli ko pareshaan .. ruhail kehta hua khana main lg gya ...

Toh phir Alizey tum bhi jaldi aajana University se kaam bhut hoga kal .. iski ammi ne kaha

Jii ammi okay ....Alizey ne kaha...
*******************************************
Ali apne kamre main tha tabhi isko darwaze par kisi ki aane ki ilamat hui ...

ZIDDWhere stories live. Discover now