Here is the part 42
Ignore all typing mistake
Ig:-alisha__qureshi00
Dm me for feedback and review..
*******************************************
Faiza raat ko 8:30 ke qareeb ghar main aayi halaat kuch khaas theek nahi thi .... Woh jaise hi andar aayi saamne beithe maa baap ka saamna hua jo hall main idher udhar chal rahe the jaise uska hi intezar kar rahe ho ... Usko dekhty hi uski maa uske qareeb aayi ...Mera baccha kahan thi tum phone kyun band jaa raha tha tumhra ... Uski maa usko gale lagate hue pareshani se boli... Woh bas khamosh khadi thi...phir woh maa se alag huyi toh hamid uske qareeb aaye
Bolo Faiza beta kidar thi aap .. aapko pata kab se hum log pareshan ho rahe the ... Hamid bhi uske sar par hath pherty hue bola
Ww.. woh .. b.... Baba main irum ki tarf thi .. usne atak atak kar kaha
Irum ?? Magar irum ko toh humne call ki thi woh or uski family toh do din ke liye mumbai tour gaye hue hai ...hamid ne confused hokar pucha..Faiza ki samjh na aaya woh kya boly
Ba..baba main irum ke gayi thi ..par woh wahan na mili toh dusri dost ke chali gayi..usne ek jhoot or bola ...
Toh bety aapka phone kyun off tha ...uski maa ne pareshani se kaha
Phone nahi off mama woh bettery shayad dead hogyi ....Faiza ne unse kaha
Jo bhi ho bety aapko khyal karna chahiye na..hamid ne usse kaha
Sorry baba ainda nahi hoga..Faiza ne kaha
Okay beta ..or aap please kal office se off le Lena ..hamid ne dubara sofe par beith te hue kaha
Kyun kal kya hai ???Faiza ne kuch na samjhi se kaha
Kal aapka ek proposal aa raha hai aapki mama ki friend ki taraf se..hamid ne sigaar jalate hue kaha .....
Faiza ne ghoor kar maa ki taraf dekha
I m sorry main abhi shaadi nahi karna chahti ..usne phir ek baar talna chaha
Kya matlab Faiza kyun nahi karni shaadi
Already 2 proposal aap mana kar chuki hai ...uski maa ke tever yakdam badle theBas mama abhi nahi karni shaadi aap please un logo ko mana kardein ....Faiza ne sofe par purse rakhty hue kaha
Koi wajah Faiza ??? Is baar hamid boly
Baba wajah kya honi hai bas nahi karni shaadi ...Faiza ne bezaari se kaha or apne kamre ki taraf mudne hi lagi thi ki hamid ne use roka
Kahin aap kisi ko pasand toh nahi karti ..hamid ne sofe se uth te hue kaha
Faiza mudi or khamoshi se khadi rahi ...
Faiza main aapse baat kar raha hu beta or agar aisa hai toh hume bataye agar ladka acha hua toh koi masla nahi hai ..woh ab iske kareeb aakar narmi se bol rahe the ...
Usne nazrein jhuka li ...
Faiza kya aap..woh aage kuch bolte tabhi Faiza ne kaha
ALI SHEHYAAR...usne bas yeh kaha ..maa baap ek dusre ki shakal dekhne lage ...
Shazein shehyaar ke bety ki baat kar rhi hai aap ..uski maa ne pucha
Hmm..usne sar hilaya ...
Faiza woh aapke boss hein ..hamid ne tasdik chahi
Baba i m sorry but main unhe pasand karti hu infact muhabbat karti hu ...Faiza ki ankhon main ansu the ....woh nam awaaz main bol rahi thi

YOU ARE READING
ZIDD
Saggisticathis is a triangle love story of ALI , ALIZEY , UBAID there so many twist in the story how ali love alizey and alizey love Ubaid ... so let's see who will win this war and please let this story as fictional don't connected with real life .......mai...