Here is the part 23
Ignore all typing mistake
Ig:-alisha__qureshi00
Dm me for feedback and review
*******************************************
Abhi bhi waqt hai sudhar jao ali warna main tumhe chorongi nhi ... Usne gusse main kaha
Meri jaan mein yahin toh chata hu tum mujhe choro nhi .. usne tapa Dene wali muskurahat ke sath kaha ...
Apni 2 kodi ki ghatiya harkatein choro agar tumne dubara mujh se massage karke ya call par dhamki Dene ki yaaa mere shohar ko ek kharoch pohchane ki koshish bhi ki toh main tumhari Jaan le lungi yaad rakhna ... Usne shohar lafz par dete hue gusse main kaha .. or wahan se tez tez kadam bada kar park se bhar aagayi ......
Indian women bhartiye naari sab par bhaari ...kuch der wahin use jaata dekhta raha phir apni car ki taraf badh gaya...
Alizey car main beithi or soch kar usne driver se kaha
Suniye aap ghar mat chal liye main aapko ek address de rhi hu aap wahan chale ...
Okay mam..driver ne kehte hue gaadi start ki ...or 15 minute baad woh ek ghar ke saamne ruke
Dusri taraf dekhe toh Ubaid ghar puhach chuka tha
Aslam alaikum mama..usne sofe par beithi reema ko salam kiya
Walaikum assalam beta ..unhone muskurate hue kaha
Kya baat hai mama Aaj ghar main badi Shanti hai ..kaha se sab ..usne alizey ko dhundte hue pucha
Sab ya tumhari begum ..saaf saaf bolo alizey ka puchna hai..unhone mazakiya andaaz main kaha
Chale ab aap batana chah rahi hai toh bata dein kaha hai woh ..usne ulti tareeke se maa ke sath mazak Kiya
Woh zra liberary tak gayi thi bol rahi thi kuch borrow karni hai magar abhi tak aayi nhi ...
Ubaid heran hua
Magar mama unki saari books toh maine leli car main hai ..woh kounsi books lene gayi hai ..or kitni der hogyi unhe ..usne tajjus se pucha
Yahi koi 1 ghanta hone wala hai beta ..ab woh bhi thodi pareshan huyi
Kya ?? Ek ghanta ...woh pareshan hua ..usne foran apna cell nikala or alizey ko call ki ... number switch off aaraha tha
Kya hua beta call nhi lag rahi ..unhone pareshaan hoty hue pucha
Nhi cell off aarha hai ...driver ko call karta hu ..usne keh kar driver ko call ki ..magar uska phone bhi band jaa raha tha ..Ubaid mazeed pareshan hua ...
Bety aajayegi woh pareshan mat ho
Mama kaise pareshan nahi hoon 1 ghanta hogya yaar unhe gaye huye ...main aisa karta hu liberary jaakar dekhta hu ..or agar woh aajaye toh aap mujhe call kardena ..
Thik hai beta or agar woh library main ho toh tum bhi mujhe bata dena ..
Jii mama ..woh kehta hua bhar aaya or car start karke liberary ki tarah gaya..car main woh musalsal alizey ko call kar raha tha magar phone switch off tha ..uski pareshani ki hadd badhti jaa rahi thi ....woh car ki speed tez karke liberary puhacha ..or store ke andar gaya ..
Usne wahan recipientnist se maloom kiya magar wahan alizey aayi hi nhi thi ..yeh sunkar woh or heraan hua ...woh library se bahar aaya
Agar alizey books lene nhi aayi toh yeh gayi Kahan hai kya yeh kuch chupa Rahi hai agar aisa hai bhi toh kyun kar rahi hai aisa yeh ..yeh Allah meri alizey jahan bhi hai unki hifazat karna ..meri jaan ko kuch nhi hona chahiye..usne asmaan par dekhte hue allah se kaha ..tabhi iska phone Baja ..screen par mama calling show ho rahi thi isne foran call receive ki
YOU ARE READING
ZIDD
Non-Fictionthis is a triangle love story of ALI , ALIZEY , UBAID there so many twist in the story how ali love alizey and alizey love Ubaid ... so let's see who will win this war and please let this story as fictional don't connected with real life ......
