ZIDD LAST PART 02

111 13 5
                                        

Here is the part 02
Ignore all typing mistake...
Ig:-tales_by_alisha
Dm me for feedback and review...
Important:-
Next novel ko please reading list main add karlein use bhi isi ki tarah pyaar dena .. shukriya ♥️...
*******************************************
Woh pagal hone ki akhiri hadd bhi cross kar gaya tha .. use khud par yakeen na tha usne pheli baar kisi aurat par hath uthaya tha woh bhi uski biwi uski mankhua par .. woh toh mazak main bhi kisi ladki ya aurat ko thappad maar dena bhi bura samjhta tha or woh yeh khud kar guzra tha ... Woh chhat par udher se udher chakkar kaat raha tha raat ho rahi thi saari taraf sannata tha shor tha toh bas uske andar ka jo use iss khamoshi main bakhubi sunayi de raha tha ....

Ye maine kya kardiya mai .. maine uspar hath uthaya wo... Woh kya sochti hogi mere baare main Ubaid yeh tune kya kardiya ... Woh khudse keh raha tha

Galti meri thi ilzaam maine diya the use .. tu chahta toh uske aage hath jod kar maafi maang le laata magar teri ana tujhe karne se rokti reh gyi or tune kya dala... Uske andar se awaaz aayi .. usne herat se apni usi hath ko dekha jisse usne alizey ko thappad de mara tha ....

Magar usne kaha woh mujhe chor degi usne talaqnama tayyar karwa liya tha .. usne jaise khudko safayi deni chahiye

Toh tum uske aage jhuk jaate use daleelein dete magar tumne apni mardangi ko jhukne nahi diya ... Tumhe lagta hai woh iss sab ke baad Maan jayegi ... Yeh dil se awaaz aayi thi

Mai.. main kya karta main use dubara kho nahi sakta tha main toh tumhre aage hi bebas tha...tumhi toh ho jo mujhe uss 5'10ft ki aurat ke aage mujhe majboor kar dete ho tumhari hi har baat man kar main usse woh bhi keh jaata hoon jo uske liye kabhi maine khud se bhi nahi kaha ..usne jaise saara kasoor apne dil ko de diya tha ...uska dil muskuraya

Toh aaj saalon baad ilzaam bhi mere sar hi aana tha .. dil ne duhayi de daali

T.. tum .... Mujhe batao ab main kya karu .. kyunki jo main kar aaya hoon main usse ab ankhein milane ke qabeel nhi Raha ... Woh biwi hai meri .. agar main hi uska tahfuz na de pau toh kya fayeda mere uske muhafiz hone ka .. usne dil se dubara iltija ki

Huhh jaise jo main kehta hoon tum Maan lete hona .. dil aaj dil ke darbar main tha .. uske andar ki awaazein use gussa dila Rahi thi ...

Tum ullu ko pathay ho tumhi the na jisne uss ek qurrelsome ladki hi mohabbat ko khud main jagah di thi yeh maine nahi kaha .... Ubaid ne jaise apne hi dil ko daanta tha

Toh chalo nikal bahir karo use mere andar se or hojao sukoon se .. dil ne muskurate hue kaha ...

Khabardar..... Maana jagah dene wale tum the magar use apni rooh ka hissa maine banaya hai .. or ab woh mere marte dam tak mujhse juda nahi ho sakti ... Woh meri ek ek saans main. Basti hai .. Ubaid ne aitraaf kara

Dil beikhteyar muskuraya tha

Toh jao UBAID ARSLAN.. jaao usse aage ghutne tek do maag lo usse maafi karlo apni galti ka azala .. jab tum sab jaante ho toh kyun iss ana ki deewar ko sar chadaya hua hai tum ispar aik thokar mar kar toh dekho ek bar alizey ki taraf qadam badao phir dekhna yeh deewar rait ki maanid na gir jaaye toh kehna ... Bilakhir dil ne mashwara diya tha

Haan kyun nahi uske aage meri zaat bhi kuch nahi toh yeh ana kya cheez hai .. Ubaid ne ehd kara

Magar.. kya... Kya mujhe woh maaf kardegi .... Usne sawaal kara ..

woh raat ke iss pher khudse iss tarah baat kar raha jaise kisi or ko jawab de raha ho agar koi use iss tarah dekh le toh hath pakad kar pagalkhane chor aaye

ZIDDWhere stories live. Discover now