ZIDD PART 51

45 7 1
                                        

Here is the part 51
Ignore all typing mistake
Ig:-tales_by_alisha
Dm me for feedback and review...
************************************************
Subah uski ankh 10 baje ke kareeb darwaze par dastak ki wajah se khuli thi .. usne idher udher nazrein ghuma kar dekha kamra khaali thi .. washroom se paani ki awaaz aarhi thi ziyad washroom main tha .. usne uth kar baalon ka juda banaya or duppata lekar darwaza khola

ASLAM o alaikum bibi jii... Mulaizma saamne khadi thi ...

Walaikum assalam.. Faiza ne muskurate hue kaha

Bibi jii badi bibi keh rahi hai agar aap log uth gaye toh neeche aajaye ... Mulaizma ne kaha

Jee thik hai aap bata dein hum aarhe hai ... Faiza ne kaha toh woh wapis chali gyi Faiza bhi darwaza band karke almari ki taraf badh gyi ... Shaadi ki pheli subah thi .. usne apne liye ek laal joda nikala ..phir dressing table par usse matching jewellery dhundne lagi ziyad tab tak washroom se aa chuka tha baal gile the jo woh towel se sukha raha tha

Aslam o alaikum.. usne Faiza ko muskurate hue salam kara  

Walaikum assalam.. usne masroof se andaaz main jawab diya

Kya koi problem hai ? Ziyad ne sawaal kara

Jii nahi koi problem nahi hai aap wait kare main bas 15 minute main ready hokar aati hoon .. usko kehti woh washroom main chali gyi

Agle 15 minute main woh naha kar halke make-up ke sath bahir aayi ziyad ki nazrein us par tik gyi ... Geele baal kamar par bikhre pade the .. woh hair dryer se baal sukha rahi thi .. ziyad ne aage badh kar uske hath se drayer le li .. Faiza ne chonk kar use dekha

Kya hua?? Usne sawaal kara

Main kardeta hoon ... Ziyad ne kehte hue uska rukh moda or uske baal sukhane laga .. ek hi raat par uski mohabbat nasha sar par chad chuka tha ... Faiza khamoshi se jewellery phen ne lagi .. 10 minute main woh mukamal ready ho chuki thi ...

Woh jab dinning room main aye wahan shazein or raima phele se mujood the .....

Aslam o alaikum... Dono aakar maa baap ko salam kara .. raima ne uth kar Faiza ke sar par bosa diya

Walaikum assalam beta ... Shazein se sar par hath rakhte hue kaha

Faiza muskura kar ziyad ki sath wali kursi par beith gayi ...

Aunty mama nashta nahi laayi abhi tak ... Faiza ne herat se pucha ... Use pata tha shaadi ke dusre din yeh rasam zaroor hoti hai

Beta unki call aayi thi maine kaha hum kar lenge aap kyun takleef karti hai .. toh maine mana kardiya ... Unhone muskurate hue use bataya

Par aunty rasam ke mutabik toh dusre din hume jana hota haina wapis .. Faiza ne confuse hote hue pucha

Badi jaldi hai aapko yahan se jane ki .. ziyad ne usko dekhte hue kaha .. uski baat par dono maa baap muskura diye

Na... Nahi mera woh matlab nahi tha .. Faiza satpatayi

Toh bas ab aap aaj toh bilkul nahi jayengi .... Ziyad ne faisla kara ...

Par beta yeh toh rasam hoti haina.. Faiza ki utri shakal dekh kar raima ne kaha

I know but mumma kal hi toh ayi hai aaj chali jayengi .. ziyad ne masoom bacche ki tarah kaha

Okay beta nahi bhejte inhe aap aisa karna khud milwa lena kal jakar ... Shazein ne mashwara diya

Hmm thik hai baba .. ziyad ne normal andaaz main hami bhari jabki Faiza khamosh thi kaise iss aadmi ke rang badal rahe the ki samjhko hi nahi aarhe ...

ZIDDWhere stories live. Discover now