ZIDD part 45

72 7 3
                                        

Here is the part 45
Ignore all typing mistake
Ig:-alisha__qureshi00
Dm me for feedback and review
******************************************
Ali badi gor se Faiza ki baat sun raha tha uske andar tufaan chal raha tha saamne woh thi jiske liye woh 1 saal se tadap raha tha or dusri woh thi jisne uski amanat ko amanat bana kar rakha tha mehfooz ... Faiza ne bolna band Kara toh alizey ne Faiza se kaha

Mere par inke bhut se ahsanat hai inhone jab mera sath diya jab siwaye Allah ke mere pass koi nahi tha .. main inki bhut shukar guzar hu .. alizey ki ankhon main ansu the ... Ali badi gor se unhe dekh raha tha

Phir ek gehra saans lekar usne ankhon ki nami saaf ki or ahista alfaaz jod-jod kar baat ka aagaaz kara

Samjh nahi aarha tumhe sahi salamat dekh kar khush hoon ya tumhari halat dekh kar sharminda..uski awaaz main kuch toh tha ki Alizey or faiza ne ek sath use dekha magar woh unhe nahi dekh raha tha aaj ali ki nazrein uthi nahi jhuki  thi us aziyat se jisse woh nazrein bachata raha tha ....

Tumhe Yun saamne dekh kar samjh nahi paa Raha apne ehsasaat kya kahun khush hoon maafi mangu kya karun khuda ki kasam kuch samjh nahi aarha ...ab toh sirf tumse kya faiza se bhi nazrein  mila ne ka kabeel nahi raha main toh ...faiza ne uski baat pe herat se use dekha

Aali aap..woh kuch kehti ali ne hath ke ishare se use rok diya

Accha bhi bacha logi mujhe kya ..aaj toh kaffara ada karne do naik ladki ..uske lehje main ajeeb sa karb mujood tha Alizey ki ankhein bheegne lagi ..ali ne pheli bar nazrein uthayi toh uski bhoori ankhein Alizey ki ankhon se jaa mili ..har bar ki tarah aaj bhi woh khali thi woh ankhein humesha se ali ke liye Khali rahi thi ali ne un ankhon  main kabhi apne liye mohabbat ka toh kya kabhi hamdardi ka jazba bhi nahi dekha tha ali ne foran ankhein neeche karli ....

Ali main aapse bhi mazrat karna chahti hu itna takleef main aapko dekhna mere liye bhi asaan nahi tha magar alizey se kara hua waada bhi nibhana tha mujhe .. Faiza ne ali se kaha

Ali ne nazrein utha kar baari baari dono ko dekha or phir kehne laga

Bat is waqt tumhari nahi meri safayi ki hai ...lehja saaf tha is waqt tum khamosh raho faiza chup hogyi

Al...al..Alizey ...ali ne aaj pheli dafa uska naam itni aziyat se liya tha ya shayad aziyat badh gyi thi ki naam lene ki himmat bhi nahi rahi thi ... Alizey ne dekha magar boli kuch nahi

Janti ho jab tum chali gayi thi maine tumhe dhunda buhut dhunda jahan dhunda jaa sakta tha main gaya us waqt laga tha shayad tum mil jaogi toh meri ban jaogi ...jaane kis zidd main is qadar andha ban gaya tha phir tum chali gayi shayad kabhi na aane ke liye ....ali ne ruk kar use dekha woh use sun rahi thi

Maine Ubaid se bhi maafi maangi buhut dafa khud ko dhutkara lanat bheji ..humesha tumhare liye duein ki janti ho yakeen jaano kayi raat bina soye guzar di maine sirf yeh sochte hue ki kabhi kahin tum mujhe mil gayi toh main tumse kya kahunga kaise apni safayi dunga ..mujhe bas yeh ek baat sone nahi deti thi ki kabhi waaqi tum aagyi or apni zindagi barbaad karne ki safayi mujh se maangi toh mere pass dene ke liye kya hoga ...main janta tha tumhara mujhse saamna zaroor hoga magar tum yahan yun mujhe milogi yeh mere wehm-o-guman main na tha ....or iss ladki ki badolat milogi yeh toh mere khawab main bhi tasawwur nahi kar sakta tha ....tum janti ho jaisi mohabbat maine tumse ki thi waisi mohabbat yeh ladki mujhse karne lagi ...woh faiza ko dekh kar ajeeb se andaz main hasa Alizey ko samjh nahi aayi woh kehna kya chahta hai

Faiza hamid ne ali shehreyaar se ali shehreyaar ki tarah mohabbat karli maine koshish yehi rakhi ki kabhi Alizey ke alawa kisi ladki ko apne pass na aane du magar na sirf yeh ladki bina meri ijazat ke meri zindagi main ayi balki isne aate hi ali shehreyaar ko badal kar rakh diya meri zidd ko todhne wali toh faiza hamid ban gayi ....mujhe apni galti ka ehsaas tab hua jab faiza hamid ne meri mohabbat main akar apni mout tak ka safar ada karliya tab mujhe samjh aya Alizey Rehman toh ali shehreyaar ka ishq thi junoon thi zidd thi magar faiza woh kya thi ali ke liye ....uski baaton ko gor se sunte hue faiza ko pata hi nahi chala uska chehra bheeg raha hai ...

ZIDDWhere stories live. Discover now