ZIDD part 17

63 3 1
                                    

Here is the part 17
Ignore all typing mistake
Ig:alisha_qureshi00
Dm me for feedback and review
*******************************************
Ab yeh dono car main the alizey ka chehra ali se milne ke baad utar Chuka tha jo Ubaid kahin na kahin note kar chuka tha .....

Alizey...Ubaid ne car start karte hue kaha

Jii ...jawab bhut murjhaye hue andaaz main tha

Kya hua main janna chahta hu ali se milne ke baad aap itni upset or tensed kyun lag rahi hai

Nh...nhi aisi baat nhi hai bs bhut dino baad dekha na unhe toh zra isliye...usne jhoot bola

Kya yeh aapke friend hai ...usne sawaal kiya

Nhi ..yeh meri bestfriend ke bhai hai ....

Magr woh toh aapko apna friend keh rahe the ....

Unke kehne se kya hota hai ...woh mere koi nhi the na hai na kabhi honge ...usne apne lafzon par zor dete hue kaha

Ubaid khamosh hogya ....

Kuch khayengi ..Ubaid ne baat badli

Nhi ...usne saaf inkaar kiya

Magar main toh khaunga or aapko khilunga bhi .....usne zid ki

Magar mujhe bhook nhi hai ...

Magar mujhe toh hai bhook aapko nhi hai toh kya hua

Ap manege nhi ..usne bebasi se kaha

Shakal se manne wala lag rha hu ..usne uski taraf muskurate hue kaha

Nhi ... chalein phir ....usne haar maante hue kaha

Woh kareeb 6 baje Ghar waapis aaye Ghar main kuch mehmaan mujood the jaise ki Reema ne bataya tha kuch neighbour milne aayenge alizey se ....

Aslam alaikum...dono ne andar aate hai sabko Salam kiya

Walaikum aslam ..sab ne jawaban kaha

Aao bete hum aapka hi wait kar rahe the ..Reema ne alizey ko apne pass beitha te hue kaha.....

Mama main upar Jaa Raha hu mujhe kuch kaam hai ...Ubaid ne kaha

Jii bete ..uski mama ne kaha

Alizey aap bhi jaldi upar aa jaiyega ..usne seedhiyan chadte hue kaha

Kyun bete biwi ke bageir dil na lage aapka ..ek aunty ne usse kaha

Alizey ne Ubaid ko ghoor ke dekha

Nhi aunty nayi nayi biwi haina dil nhi karta typical logo main chodne ka ...woh kehta hua upar chala gaya peeche sab uska muh dekhte reh gaye ....

Nhi aap mind na karna uski aadat hai mazak karne ki ..Reema ne baat sambhal ni chahi

Dekhle Mrs arslan abhi se biwi ke aate hi zabaan main kadwahat aagyi iske ...un aunty ne alizey ko dekhte hue tanz kiya

Nhi aunty aisi baat nhi hai Ubaid mazak kar rahe honge ... alizey ne kaha

Khair khana bana leti ho ...aunty ne sawaal kiya

Jii ...

Kyun aapka dhaba hai ...kehta hua aliyan aaya
Or aa kar maa ke pass beith Gaya

Aliyan tameez se badi hai tumse ...uski mama ne kaha

Magar mama yeh bhi toh 1945 ke sawaal kar rahi hai bhabhi se ..usne dheet bankar kaha

Maaf karna Reema tumhare dono bete kaabu Amin nhi hai .....

Toh aunty yeh batane aayi hai aap yahan yeh toh phele se hume pata hai ...or peechle aadhe ghante se kabhi isko target kar rakha hai kabhi kisi ko ..aliyan ne kaha

ZIDDWhere stories live. Discover now