ZIDD LAST PART 01

52 10 4
                                        

Here is the last part 01
Ignore all typing mistake...
Ig:-tales_by_alisha
Dm me for feedback and review
*****************************************************
Subah anuman uski ankh fajar ki azaan se khuli thi ... Ghadi uss waqt 5 baja raha thi woh angdai khati uthi toh usko herat ne aa ghera saamne sofe par beitha woh use hi dekh raha tha ... Alizey ki herat par woh beikhteyar muskuraya tha

Good morning... Usne muskurate hue kaha

Tu.. tum itni subah uth gaye ... Alizey ne sawaal kara

Phele toh main tum nahi aap hoon or dusra soya hi kahan tha jo uthunga ... Ubaid ne muskurate hue jawab diya ... Woh saalon baad subah ke iss peher saamne thi MUSKURAHAT thi ki jaane ka naam hi nahi le rahi thi

Toh kya tum saari raat jaagte rahe .. alizey ne uski thaki thaki ankhein dekh kar pucha

Keh sakti ho ... Ubaid ke itminan main kami nahi aayi thi

Magar kis liye ??

Dar tha kahin tum phir yahan se gayab na hojao or main dubara risk lene ki position main nahi tha .. usne muskurate hue kaha tha alizey ka dil ek pal ke liye naram hua magar dusre hi pal usne khud par kaabu karke use dekha tha

Khair galatfehmi dur karlo tumhare jaagne sone se mujhe koi garz nahi hai main yahan se waise bhi gayab ho sakti hoon.. ek bar meri bacchi maan jaaye main yahan se chali jaungi .. woh kehte hue washroom ki taraf badhne lagi thi tabhi Ubaid uske saamne aagya tha

Beech main se hato .. usne use dekhte hue kaha

Jahan jaogi mujhe hi paogi aazma lo ...

Saste dialogue suit nhi karte apni khushfehmi dur karna seekh lo Haqeeqat ka saamna nahi kar sakoge warna ... Usne uski ankhon main dekh kar kaha .. Ubaid ko gussa toh bhut aaya tha magar usne koi bhi aisa lafz bolne se guraiz kra tha

Kyun nafrat karti ho itni ... Usne afsoos se pucha ... Alizey tanziya muskurayi

Khud se badh kar ishq kara tha tumse meri Chand baatein tumhe nafrat lagne lagi kabhi apne lafzon par gor kara hota toh pata chalta nafrat hoti kya hai ..... Alizey ne muskurate hue kaha tha Ubaid ne nazrein uspar jama li

Nafrat karti ho karti raho ... Mujhe farq nahi padhta shart itni hai jo karogi mere sath reh kar karogi kyunki jaane toh main tumhe ab kahin nahi dunga ... Usne uske kandho par zor dete hue kaha tha .. dard toh hua tha phir bhi labon par MUSKURAHAT barkarar rakhte hue woh boli thi

Khawaish insaan ko maar deti hai Ubaid arslan apne dil se KHAIWSIH nikal do kabhi tumhe alizey maaf karegi 1 hafta bas ek hafta bardasht kar rahi hoon tumhe .. or iss bar bhagungi nahi izzat se tumhare muh par talaqnama phenk kar jaungi ... Yaad rakhna .. woh hath churati ... Washroom main ghuss gayi jabki woh herat zyada wahin khada reh gaya tha .....

Woh sab dinning table par mujood the ... Alizey ne neeche aakar salam kara ayeza izhan inshira ke sath beithi thi .. alizey ne use apne sath wali chair par beithaya or use nashta karane lagi ..sab nashta karne main masroof the Ubaid ne bhi use nahi dekha tha woh khamoshi se nashta kar rha tha ..sultan ne nazrein utha kar dinning table ko dekha aaj unki family poori tarah mukammal huyi thi ..unhone dil hi dil main Allah ka shukar ada kara tha ...magar reeva thi jo alizey ke aane ke baad bhi khush nazar nahi aarhi thi wajah thi unki bhanji saniya ... alizey ke jaane ke baad unhone kayi bar koshish ki thi Ubaid ki shaadi saniya se kara de magar Ubaid ne inkaar ne yeh khawaish radd ki or ab jab uski biwi laut aayi thi tab toh yeh or bhi namumkin tha ..woh chahti thi Ubaid ab bhi alizey ko talaq de kar saniya ko qubool karle ... isliye woh alizey se zra sakt or ukhdi ukhdi thi ...

ZIDDWhere stories live. Discover now