Here is the part 44
Ignore all typing mistake
Ig:- alisha__qureshi00
Dm me for feedback and review
*******************************************
Faiza ankhein kholo ... Ali to raha tha tabhi ziyad kamre main aayaKya hua ali tum ro rahe ho .. usne pareshani se usse pucha ...
Bhai .. yeh itni zidd kyun hain unhe na apne maa baap ka khayal hai na Mera .. inki heartbeat slow ho rahi hai or yeh ankhein nahi kholi rahi ... Ali ne usi lehje main ziyad se kaha
Hosla karo mere bacche yeh theek hogi apne ali ke liye .. tumhare liye yeh har takleef qubool karne ko tyyar thi abhi tum isse kaho ki tum isse shaadi karoge toh yeh foran ankhein khol degi ... Ziyad ne use tasslii dene ke liye use kaha .. woh ek lamhe ke liye soch main pada phir uski dheemi hoti dharkan ko dekha .. usne Bina kuch soche samjhe uska hath thaam liya .. or ahista ahista se kuch kehna shuru Kara....
Faiza hamid jisne ali shehyaar se mukhlis muhabbat ki hai jisme ali ke khatir apni yeh halat ki hai .. agar uski muhabbat waaqi sacchi hai toh sabit Karo kholo apni un ankhon ko jisse badi hasrat se tum mujhe dekhti ho .. agar tumne apni ankhein khol di toh main tumhari muhabbat ke aage jhuk jaunga main tumhe apna lunga suna tumne ... ALI SHEHYAAR jisne sirf ALIZEY REHMAAN se muhabbat ki thi woh apni muhabbat Dafna kar FAIZA KA HATH THAM LEGA tum bas ek baar ankhein kholo ...
Usne Aaj woh keh diya tha woh minnat kar li thi .... Isbar ziyad ko laga Faiza waaqi sun legi .. usme sun liya hoga ..... Dono bhaiyon ne hasrat ke sath bed par lete us wajood ko dekha ..
Faiza ne dheere dheere apni aankhen kholni chahi
Ali dekho woh ankhein khol Rahi hai ..uski timtimati ankhein dekh kar.muskurate hue ali se kaha ..ali ne uski taraf dekha woh ankhein khol Rahi thi ....
Faiza...Faiza meri awaaz sun rahi ho na please ankhein kholo ..ali ne usse kaha ...usne koshish ki or apni ankhein khol lo
M...mai..main Kahan hu ..usne ladkhadte ladkhate lafz ada kiye
Tum hospital main ho or theek ho..ali ne use btaya
Ziyad jab tak dr ko bula laya tha ....
Dr ne uska checkup kara ....uski heartbeat ab normal hoti chal rahi thi ....use takreeban 6 ghanty baad hosh aa chuka tha
Mr.shehyaar she is out of danger now ...Dr ne muskurate hue kaha
Shukr Allah....ziyad ne kaha
Allah ka shukar ..Dr ab aage kya karna hai ...ali ne shukar ada karty hue dr se kaha
Dekhe inke hath ki chot bhut gehri hai ..or abhi inki condition itni behtar nhi hai ..hum inko room main shift kar rahe hai magar 2 4 din inhe hospital main hi rakhna hoga .....Dr ne use tafseel batayi ...
Okay thank you so much dr...ali ne usse kaha
Dr uska checkup karle jaa chuke the ....
Bhai ap inke pass beithe mujhe zra ek kaam hai main aata hu ..ali ne ziyad se kaha
Okay jaldi aana..ziyad ne muskurate hue kaha
Woh chala gaya toh ziyad Faiza ke qareeb lagi kursi par aakar beitha
Toh miss kaisi hai aap ..usne muskurate hue Faiza se kaha
Main....theek hu....Faiza ne zra muskurane ki koshish karty hue kaha
Waise zuban toh aapki itni tez hai magar hai kitni kamzor aap zra se hadse itna dar gyi ..woh ab mazak bana raha tha
Faiza ne ghoor kar unhe dekha
YOU ARE READING
ZIDD
Non-Fictionthis is a triangle love story of ALI , ALIZEY , UBAID there so many twist in the story how ali love alizey and alizey love Ubaid ... so let's see who will win this war and please let this story as fictional don't connected with real life .......mai...