ZIDD part 36

61 9 0
                                        

Here is the part 36
Ignore all typing mistake....
Ig:-alisha_qureshi00
Dm me for feedback and review
*******************************************
Uske jaane ke baad kaayi der tak ali table par hath rakhe gehri aziyat main the ... Aaj uska sab kuch khatam hogya tha akhiri umeed jo usne usko hasil karne ke liye badhi thi woh bhi toot kar choor choor hogyi thi ... Usne khud ko bamushkil sambhala ....... Tabhi darwaze par dastak huyi or Fahad andar aaya ... Fahad ko dekh kar usne apne ankhon main aaye ansu saaf kiye ........

Sir ???? Fahad ne usko dekhty hue pucha

Haan kya hua ?? Ali ne hathon se anso saaf karty hue usse pucha

Ubaid sir aaye the ??? Kuch hua hai ??? Fahad ne darty darty pucha

Ali ne use dekha ..or phir naram lehje main. Kaha

Meri muhabbat ka janaza aaj nikal gaya Fahad haar gaya aaj ALI SHEHYAAR haar gaya aaj ...usne ansu zabt karty hue kaha ..Fahad ko uski takleef ka ahsaas hua tha

Himmat kare sir Allah sab thik karega .....Fahad ne use tasslii di

Umeed badi buri cheez hoti hai Fahad toot jaaye toh insaan ko Reza Reza kar deti hai ...ali ne nam awaaz se kaha .....Khair tum jao or neeche zaid se kaho car ki keys mujhe de de or apne ghar chala jaaye Aaj main khud drive karke jaana chahta hu ....ali ne usse kaha

Jii sir ...or sir Aapse ek baat karni hai ??? Fahad ne jaise kuch yaad karty hue kaha ....

Hmm bolo kya baat hai ???? Ali ne use dekh kar usse pucha .....

Sir..woh ziyad sir ka phone aaya tha ...Fahad ne usse kaha ziyad ke naam par ali chonka ..or use jaise yakeen nhi aaya

Ziyad ....ziyad ka phone aya tha ..usne pucha

Jii sir ...Fahad ne kaha

Toh mujhe kyun bata rahe ho baba ko btao unse baat karni hogi ....ali ne kuch yaad karke apne aap ko normal karty hue kaha ....

Magar ziyad sir aapse baat karna chahte ha ....Fahad ne use btaya ..yeh naqabeel e yakeen tha ali ke liye ...ziyad or usse baat kare

Ky....kya..waaqi woh mujh se...ali jumla mukammal hi nahi kar paaya ..

Jii sir ....Fahad ne muskurate hue kaha ....

Tum jaanty hona Fahad ziyad mujh se baat nahi karta shayad tumhe galatfehmi huyi hai ......ali ne ek baar phir tasslii nhi huyi

Sir ziyad sir aapke Bhai hai woh aapse baat karna chahte hai ..Fahad ne usse kaha

Fahad woh mera bhai nahi hai woh bas mere baba ki biwi ka beta hai ziyad shehyaar.....ali ne use yaad dilate huye kaha ....

Jii sir ....Fahad ne kaha

Thik hai mujhe agar usse baat karni hogi toh karunga ....tum pata karo uski khairiyat ki ..or zaid se chabi laakar yahan rakh do ..woh kehta hua khudki ki taraf mud Gaya .....

Fahad kamre se jaa chuka tha ....

Ab ali khidki ke pass khada tha aaj aisa kya tha jo use nahone wali cheezon ko bhi ho jaane main badal raha tha ...

Flashback

Shazein shehyaar ki dusri biwi Raima shehyaar tab bani thi jab shazein ki pheli biwi Maham sartaj blood cancer ki wajah se mar chuki thi .. unka ek 5 saal ka beta tha ziyad shehyaar... Jo apni baba ki dusri shaadi se nakhush hokar Canada apni Nani ke Ghar chala gaya .... Use apni maa se bhut muhabbat thi .. unke Marne ke 10 tak woh tez bukhar main rakha tha .. or shazein apni Mari huyi biwi ke gam main itna the .. ki apne 5 saal ke bete par dhyan na de paaye ... Ziyad ki halat dekhty hue ... Shazein ki maa ne unki dusri shaadi karne ka faisla kra tha .... Magar jab Raima shazein ki biwi bankar shehyaar mention main aayi toh unhone sirf shazein ki fikar ki or ziyad ko kabhi bhi maa kar pyaar nahi diya .. woh har waqt ziyad ko daant ti rehti maarti rehti thi ... Is rawaiye ko dekh kar shazein ne ziyad ko uski Nani ke Ghar Canada bhijwa diya .....
Or jab ali shehyaar paida hua toh ziyad usse Milne India aaya tha magar Raima ne use ali se milne nhi diya tha ... Ziyad har waqt ka zulm bardasht karty karty ek sakht baccha ban gaya tha ..... Woh wapis Canada chala aaya tha or tab se yahin rehta tha ... Shazein kayi baar ali ko ziyad se milwane Canada lekar aaye magar woh usse kabhi bhi milta nhi tha .. ek baar jab ali apni PhD complete karne canada mein aaya tha ...toh usne ziyad se milne ka socha tha ..or woh kuch soch kar uske university chala gaya tha

ZIDDWhere stories live. Discover now