Zidd part 47

53 6 0
                                        

Here is the part 47
Ignore all typing mistake...
If:-_vintage_tales
Dm me for feedback and review
******************************************************
Alizey is waqt apne room main ayeza ke sath khel rahi thi jab mulazma kamre main aayi ....

Alizey bibi... Usne darwaze se andar aaty hue kaha

Jee farha bolein .... Alizey ne ayeza se nazrein hata kar usse pucha

Bibi aaj Faiza bibi ki shaadi thi ... Toh aap wahan jayengi kya??.. mulazma ne pucha

N.. nhi ... Mera wahan kya kaam haan albatta maine uske liye kuch gifts liye the woh main use bhijwa dungi ...... Alizey ne tahmul se jawab diya...

Thik hai bibi jee ...mulazma mudne hi lagi thi phir kuch yaad ne par kehne lagi

Bibi jee woh Faiza bibi ne kaha tha ki aapko yaad dila du aaj kisi Ubaid arslan ka birthday hai ...or unhone kaha hai aap unse baat karlein please yehi unki shaadi ka gift hoga aapki taraf se ...mulazma ki baat par jaise alizey ka saans ruk gaya woh jaanti thi aaj Ubaid ka 29th birthday tha ..woh saara din use hi phele se yaad karti rahi thi jis baat se bachna chah rhi thi uss baat ko Faiza ne uske saamne laa hi Diya tha ...

Acha..acha aap jaaye main dekhti hoon .. alizey ne bamushkil kaha ....mulazma Jaa chuki thi toh alizey ayeza ki taraf mukhatib huyi

Babydoll aapko pata hai aaj kounsa day hai ...usne ayeza ko bata Rahi thi jo hasty hue apni mama ko dekh rahi thi ...

Aaj aapke baba ka 29th birthday hai ..babydoll aaj apke baba is duniya main aaye the aapke or mere liye ....I know aapne kabhi baba ko nahi dekha but woh bhut pyaare hai bas mama aapko unse mila nahi sakti ....but I promise main kabhi aapko unke baare main galat sochne nahi dungi woh aapke ideal honge always...chalein ab aap bhi baba ko birthday wish karyyy ...usne ayeza se kaha jo bare gor se uski baat sun rahi thi .. alizey ne use god main uthaya or phir uth kar apne phone screen main lage Ubaid ke wallpaper ko use dikha kar kaha

*_HAPPY BIRTHDAY UBAID ......YOU ARE THE BEST THING THAT EVER HAPPENED TO ME ...I M REALLY SORRY MAIN WAQT MAIN KUCH BADAL NAHI SAKI MAIN TUMHE MISS KARTI HOON BHUT KARTI HOON TUMHARI KASAM AYEZA BHI AAPKO MISS KARTI HAI ..._*

WOH USKA PHOTO DEKHTY HUE KEH RAHI THI OR AYEZA BAAR BAAR SCREEN PAR HATH RAKH KAR UBAID KK GHOOR GHOOR KAR DEKH RAHI THI .....

Alizey ne ahista se apna phone band Kara Diya or aansoo saaf karti huyi wapis bed par beith gayi ...

Allah tala tumhari zindagi main har woh sukoon le aaye jo meri wajah se kahin kho gaya hai Ubaid ab toh har koi apni zindagi main aage badh gaya woh bhi ho mujh se muhabbat ke daawe karta tha ...Khair Allah Faiza or ali ko humesha khush rakhe ....usne sacche dil se dua ki thi .....or dubara ayeza ke sath khelne lagi ....

******************************************************
Baraat venue puhach gyi thi ...Faiza ko stage par beitha diya tha golden colour ke kaam wale sharare main woh dulhan bani behad khubsurat lag rahi thi ......har aane wala shaqs usko rashk ki nigahon se dekh raha tha .......baraat aa gyi thi magar ali abhi tak nahi aaya tha usko sherwani lekar ana tha magar 7 baj chuke the woh abhi tak nahi aaya tha ..

Beta ali ko phone Karo kahan reh gaya hai yeh larka mr.hamid kitni dafa puch chuke hai uska ....shazein ne ziyad ke pass aakar kaha

Baba main use call kar raha hoon uska phone nahi lag raha ....ziyad ne unhe bataya

ZIDDStories to obsess over. Discover now