ZIDD PART 49

54 8 4
                                        

Here is the part 49
Ig:-tales_by_alisha
Dm me for feedback and review
************************************************
Faiza  wahin gir chuki thi kya woh shaks bas itne main hi thak chuka tha .... Dr mosaif  shehyaar family se achi tarah se waqif the ziyad halat ko dekhte huye unhone khud shazein ko ali ki khabar keh sunayi thi .. kuch hi der main sab log wahan maujood the .... Irum Faiza ka kandha thame use farsh se uthane ki koshish main lagi thi magar Faiza besudh beithi thi .... Nazrein ali se hatne ko tayyar nahi thi aali ke pass har shaks aansoo ankhon main liye usse hazaar gile kar raha tha magar woh behis shakas sunta toh aakhir kya ... Aaj raima ko apni galati ka ahsaas tha kaash uski zindagi main rehte unhone uski zidd maan kar alizey ko apna liya hota toh unka beta unke paas hota .....

Irum ab Faiza ke kareeb kuch keh rahi thi ..

Faiza meri jaan .. utho sambhalo khud ko .... Irum ke khud ke aansoo khud rukne ka naam nahi le rahe the

Irum .... Irum... Aali se kaho na woh uth jaaye woh.. so rahe haina .... Please inse kaho agar inko inki life main.. Faiza nahi chahiye toh main kasam khaa kar kehti hoon main inse dur chali jaungi bhut dur .. bas kaho na yeh uth jaaye .... Woh deewano ki tarah rote huye keh rhi thi ... Irum ne use apne sath lagaya ...

Nahi meri jaan aise nhi kehte chup hojao sambhalo khud ko ....

Irum... Unhone kaha tha.... Unhone kaha tha woh alizey ke alawa kisi ko apni zindagi main shaamil nahi karenge .. or dekho woh apni baat ke pakke nikle .. unhone mujhe qubool karne ki jagah apni mout ko gale laga liye .. unki mohabbat sacchi thi .... Woh kehte kehte apne hawaason par qaabo nahi rakh paayi or wahi behosh hogyi ......

Wahan maujood har shaks ka ek jaisa haal tha ... Ziyad or Insiya ka rote rote bura haal ho chuka tha ....
************************************************
25 july 2025

Arslan mention ki taraf aao .. toh aaj yahan khushgawar mahol tha ... Har taraf blue or pink colour ke balloon us ghar ki shaan main 4 chaand lagaye huye the ..... Idher se udher jaati mehmano or kaam walo ki bhaag dur bata Rahi thi ki khushi ki ghadi aa chuki hai ...

Ubaid.... Beta kahan hai woh dono .. sultan ne paas se guzarte Ubaid se pucha

Baba maine call ki hai aliyan se baat huyi woh bas puhachne hi wale hai ... Ubaid ne muskurate huye jawab diya ... Haan yeh shaks ab muskurata kam tha magar ab usne uske bagair jeene ki adat daal li thi ...

Woh unse keh kar aage bada ... Or saari arrangement ko ek baar dekhne laga ....
Phir car ki horn ki awaaz par sab darwaze ki taraf mutawjja hogye....

Phir sabki nazar andar aate aliyan or misbah par padhi jinko god main do pyaare bacche the.. jii haan aliyan or misbah ke twins baby huye the babyboy or baby girl .... Woh log andar aaye toh reeva ne foran dono ka sadqa diya ... Alizey ki family bhi yahi maujood thi

Mashallah mashallah mashallah... Allah nazar se bachaye mere baccho ko ... Reeva ne unka sadqa utar te huye kaha ... Aliyan ne aage badh kar Ubaid ko sath lagaya ... Woh dono misbah ki delivery ke liye peechle 1 saal se us shift hogye the ..... Or aaj dono wapis apne baccho ke sath lute the sab taraf khushiyon ki lehar thi ....

Kaise hai bhai ?? Aliyan ne muskurate huye pucha

Main bilkul thik hoon ... Ubaid ne muskurate huye kaha .... Or aage badh kar aliyan ke hathon se uska beta apni god main le liya ...

ZIDDWhere stories live. Discover now