ZIDD part 43

36 6 2
                                    

Here is the part 43
Ignore all typing mistake
Ig:-alisha__qureshi00
Dm me for feedback and review
*******************************************
Raat ke 9 baj chuke the Faiza or irum ko koi pata nahi tha ....

Hello bisma ??

Aslam alaikum iqra kya baat hai iss waqt call ki sab khairiyat... Dusri taraf se awaaz aayi ..

Bisma irum aagyi kya ghar par... Iqra(Faiza s mother).. usne pareshani se pucha

Nahi Iqra irum ka toh tumhe pata hi hai woh aksar dair se aati hai kya baat hai khairiyat... Bisma ne laparwahi se kaha ....

Pareshani ki nhi bas woh Faiza uske sath gayi huyi hai kabki.. uska phone bhi band jaa raha hai...darasal jab se hum yahan shift huye hai Faiza office se jaldi ghar aane lagi jab tak tumhare yahan rehti thi isliye itni fikar nahi hoti thi magar aaj kal zra bhi der ho toh dil ghbra jaata hai ... Iqra ne pareshani se kaha

Acha iqra tum pareshan na ho waise toh maine irum ko phone kara tha magar uska phone band hai ... Thadi der or dekh lo bacche aajayenge or agar irum aati hai toh main phone karti hu tumhe ... Bisma ne use tasslii dety hue kaha

Haan theek hai ... Jaise hi irum ka phone ya woh aaye toh bta dena ... Iqra ne kaha

Acha theek hai don't worry.. bisma ne muskurate hue kaha

Iqra phone band karke apne kamre ki taraf badi jahan hamid tv dekh rahe the ...

Hamid Faiza ab tak ghar nahi aayi or aap yahan tv dekh rahe the 9:15 ho gye meri bacchi Kidr hai kuch khabar hai aapko ... Iqra ne unhe araam se beitha dekh kar gusse se kaha

Are bhii aapko beti bacchi nahi hai mashallah se 24 saal ki hai samjh daar hai der sawer ho jaati hai pareshan na ho ... Hamid ne uth kar unke pass aakar kaha ....

Mera Dil ghabra Raha hai hamid aap dekhe na kahan hai meri bacchi ... Iqra ne pareshan hoty hue kaha

Accha aap pareshan na ho main dekhta hu .. aap yahan beith jaaye .. woh Iqra ko sofe par bitha kar bahar aagye ...

Hello beta .. unhone kisi ko call ki

Aslam alaikum mr. Hamid kaise hai aap is waqt call ki sab khairiyat..... Ali ne dusri taraf se pucha

Jii beta alhamdulillah sab theek hai bas Faiza abhi tak ghar nahi aayi kya aapko pata hai kahan ho sakti hai woh abhi ... Hamid ne sawaal kra

Kya matlab uncle Faiza ghar nahi aayi ... Woh toh office se seedha Ghar jaati hai infact aaj woh office bhi nahi aayi ... Ali is waqt apne kamre main tha unki baat sunkar usne pareshani se ghadi ki taraf dekha .....

Haan beta pata nhi Kahan hai phone bhi nahi lag raha uska ... Park ka bol kar gayi thi .... Hamid bhi ab pareshan hone lage the ...

Acha uncle ab fikar na kare main or bhai dekhty hai unhe jaakar .... Ali ne usse tassalii deni chahi

Haan beta aapki aunty badi pareshan hai aap zara aajye main aapki aunty ko aise chor kar jaa nahi sakta .... Hamid ne kaha

Aap befikar rahe uncle bas aunty ka khyal rakh main Faiza ko sahi salamat aapke pass laata hua ... Allah Hafiz... Ali ne keh kar phone band kardiya ...

Kya karti hai yeh ladki koi itna laparwah kaise ho sakta hai ... Jaanti bhi hai aaj kal ka mahol kitna bura hai ... Specially girls ke liye .. ya allah inki hifazat karna .. ali sochta hua kamre se bahar aagaya ..... Usne ziyad ke kamre ka darwaza knock Kara

ZIDDWhere stories live. Discover now