Ek aandhi toofaan se takrakar gir jaye utne bhi kamzor nahi
Ham toh hai bargad ka woh vriksha jo andhi me vinamrata se jhuk jaye aur mazbooti se khada raheKhade hai mazbooti se fir chahe aage maut bhi.
Har mann jaye itne bhi buzdil nahi,
Roote baithe itne bhi kamzor nahi,
Mushkile toh aayengi hazar lekin hame hila paye utna unn mei dam nahi..Hm hai toh woh Sona jo tap kar kangan Bane
Aaj tute hai aaj hi judenge
Jo bacha hai usse sametenge
Fir uth khade honge aur aage badhenge
Jo chale gaye dur unki khushiya mangenge
Aur jo hai pass unka Sahara banenge
Mushkile hame gira de itne toh ham kamzor nahiAayenge toofan hazar lekin fir se Sundar sa jangal ( forest) banega iss ummid mei ham chalte rahenge
Rukenge nahi, thakenge nahi
Kyuki ham kamzor nahi
![](https://img.wattpad.com/cover/218259918-288-k671544.jpg)
YOU ARE READING
Get Inspired
Short StoryHonestly, rather than story it is my space of venting out my thoughts. # motivation 💫 #smile #laughter # inspiration # my space # thoughts # ideas # stories ..many more 😊 ::::::;;;;;;;;;;::::::::::; Spread smile spread love spread positivity:...