Aakhir kyun ham Roz yeah puuchte reh jaate hai ki hamare saath aisa kyu hua, waisa kyu nahi, kaash aisa ho jaata, kaash aaj ham yeah na karke yeah kar rahe hote aur pata nahi kya kya toh kaash hai hamari zindgi mei...
Aakhir aate kaha se hai yeah kaash?
Shayad beete hue samay mei ki gayi galatiyo ka ehsaas karke ?
Shayad dusro se apni zindagi ko compare karke ?
Shayad iss ummeed mei ki jo ham aaj dekh rahe hai woh na dekhna padta agar pehele better decision le liye hote toh ?
Ha shayad ?
Lekin in kaash aur shayad nei past mei hi reh Jana hai
Bachega toh sirf aaj jo hamne yeah sab sochne mei gawa dena hai
Kya aajeeb duwidha hai ki kaash aur shayad ko sochne mei jo samay hamne gawaya agar woh aaj kaam karne mei bita dete toh kal Aaj ko kaash aur shayad mei duwidha mei na rehete
At the end.. bass itna hi bolna hai
Sabki kismat mei sab nahi hota
Jo hamari kismat mei hai woh sab ki kismat mei nahi hoga
Yeah zindagi toh bass ek safar hai
Jo roo kar dukhi hokar na kato
Thoda muskurao
Thodi mehenat Karo
Kyuki sab yaha 2 ya 4 pal ke hi saathi hai
Toh khush raho
Aur iss khubsoorat zindagi ko kaash mei na gusaroo
Stay happy stay blessed 😀😊
YOU ARE READING
Get Inspired
Short StoryOnce you open your eyes, Everything inspires you. Inspiration is around us, Motivation is around us, Bass chahiye toh woh ek nazar jo uss motivation ko parakh le aur usse kuch seekhkar apni zindagi ko aur khubsurat bana le. Aur uss khubsurati ko ap...
