goal

4 0 0
                                    

Datte hue hai apne lakshay (goal) par aise
Jaise Arjun ka nishana machli ki aankh par
Fir chahe khade ho log hazar kahi
Neeche khechne ko hame
Mazak udane ko hamara
Dhyaan bhatkane ko hamara

Datte hue hai fir bhi
Khade hai khade rahenge yahi
Bhale hi aaj na ho kuch bhi ham
Kyuki bola toh duniya ne yahi-
Ki ho hi kya tum
Kuch nahi
Kuch bhi nahi

Khyahisho ko apni pankh denge
Hoosle ka sahara denge
Aur mehenat ki chattan denge
Ki aandhi bhi aaye
Toh bhi udti chale
Udti chale
Khyaahhishe hamari

Kyuki datte hue hai ham
Ek behtar bhavishye ka sapna liye
Ek khushnuma samay ke liye
Datte hue hai ham

Get Inspired Where stories live. Discover now