My shining star part 5

11 2 2
                                    

jooton ki awaz per sab aik sath guest room ky darwazy ki teraf dekhty kuch seconds bad rooh nofil aur azlan aik sath dakhil hoty......

dekhny waloun ky liye wo teen aik sath aye thy lakin thy wo chaar nofil ki shirt ky button mein lagy camery sy hadi ba asani manzir dekh sakta tha....

dekho dekh asy rehy jaisy cinema hal mein aye hain...hadi ki baat sun ker nofil muskhil sy apni hansi control kerta ...wo teen aik sath sab ko salam kerty...nofil aur azlan aik side per beth jaty jab ky rooh BI jan fozia beghum ,Raziya aur Raheela sy miti baki sabko bhi bari bari salam kerti ...

phir qadam nofil ur azlanki teraf berha leti rooh ko ata dekh ker dono foran apny bich mein rooh ky bethny ki jagha banaty rooh wahn aker beth jati...

Bi jan baat shuro kerti beta phely toh mein bhut mazrat chahun gi ky hum itny sary log aik sath pheli bar mein hi agaye ....koi baat nahi maa g rooh ki maa bi jan ko jawab deti jis per rooh ahista awaz mein bolti han koi baat nahi cinema mein bhi film dekhny jao toh ticket lena perta aur yeh sab log muft mein hi agaye wo bhi mujhy dekhny....rooh ki baat sun azlan hadi aur nofil hasny lagty nofil aur azlan ko hansty basil dekh leta aur aliyan ki teraf ishara kerta ky wo hans rehy jis per aliyan usy ankhon hi ankhon mein choro kehny ka kehta....

basil aur aliyan ko dekh hadi bolta dekho zara in dono larkon ko ankhon sy baatein ker rehy zalil insan nofil kon hai in mein sy larka zara pocho toh...hadi ki baat sun nofil jhat sy bolta larka kon hai jis ky liye *ap sab* nofil ap sab py zor deta aye hain yahan....nofil ki bat sun sab us ko dekhny lagty bi jan jis ka jawab deti beta wo nahi aya....bi jan ka jawb sun azlan bolta MashAllah wohi nahi aya aur kon kon nahi aya? azlan ki baat per tariq shab pakiza beghum jo rooh ky taya tai hain aur rooh ki maa ny in teeno ko ghora jab ky raza bas muskhura gaye....kahin na kahin raza shab ko in sab ka ana bura laga tha....abhi koi kuch kehta pakiza beghum bolti ary chorein baatein toh hoti rehy gi chalein khan khaty hain sab khana Thanda ho jaye ga....

aur ab sab kahny ki teraf rajo kerty khany ky dermyan fozia aur pakiza sab ko rooh nofil azlan aur hadi ka bataty sab halki phulki baton mein khana khany lagty nofil azlan aur rooh ab bhi aik sath bethy thy ky nofil apni maa sy bolty ammi mujhy bhi khana dein mein bhi dekhun hamari sherni ny kaisa banya...nofil ki baat sun ker rooh zor sy us ky paoun per paoun marti...zalil admi apna mou band rekho ammi aur tai kam tareefein ker rehi ky tum ny yeh bhi bol diya khana mein ny banwaya hum ny rishty sy inkar kerwana hai han nahi kerwani ....

churail orat sabr kero na dekho mein kya kerta hun itni zor sy kue mara...nofil zabrdasti ki muskan ky sath rooh ki teraf jhuk ker bolta pakiza beghum in teeno ko bhi khana deti aur jaty howy ankhein nikal ker jati...rooh kabab mein namak Zaida hai...aur biryani mein tum ny food colour Zaida dala methy mein metha bhi kam hai....abhi nofil khany mein kery nikal reha hota ky basil bol perta lagta hai ap ko khano ky zaiqy ky bary mein nahi pata isi liye asy bol rehy werna khana bilkul perfect hai.....basil ki baat sun ker rooh apni muskurat chupany ky liye mou pichy ker leti aur azlan nichy dekhny lag jata nofil herat sy khabi aik ko dekhny laga aur khabhi dosry ko....aur basil ki nazrein b rooh per thi us ki muskurahat us ki nazron sy chup nahi pai ....itny mein hadi ki awaz in teeno ky kano mein peri rooh dewar toh supportive lag reha....

khany per sab ny khany ki bhut tareef ki aik cheez jo rooh ny note ki thi wo thi amber jo jab sy ai thi khamosh thi werna khabi koi rooh sy kuch poch reha tha toh khabi koi kuch....lakin rooh ny ignore hi kiya...bi jan ny jaty howy rooh ko khushi sy kuch paisy diye aur fozia beghum sy pocha ky wo kab aye gi unky gahr....Bi jan ka paisy dena saf zahir ker reha tha ky unhy rooh pasand ai ab baat lerki walon per thi...

g hum bataye gay any sy phely fozia beghum ny jawwab diya......

chai ky bad wo log gahr ko rawana ho gaye...is mulaqat mein nofil ki nazrein toh aik wajood per bar bar uth rehi thi.....muhabat ny dil mein qadam rekh liya tha.....ab dekhna yeh hai ky kya wo us ki qismat mein likhi hai ya nahi....

un ky jany ky bad foiza pakiza ny in teeno ko khoob baatein sunai jis per wo chup rehy aur uth kery hamesha ki terah azlan ky kamry mein aa dera lagaya...

dosri teraf sab log bhut khush thy young party ko toh apni hony wali bhabhi bhut hi pasand ai thi aur gahr ki khawateen bhi rooh aur us ky gahr waloun sy mutmin thy....sab log hal mein beth ker baatein ker rehy thy...basil sultan sy kehta bhai ap toh bhut lucky hain bhabhi bari hi pyaari hain MashaAllah...phir noor bolti han bhai bhabhi ny itna mazy ka khana banya tha khas tor per kaba aur biryani aahhhhh haaa dil ker reha tha un ky hath chumon lun jis ny banya.....khany ky nam per sab ny aik dosry ko dekha aur nofil ki baat yaad ker ky sab hans pery....bi jan boli waqi khana bhut acha tha....ab bari thi ariz ki bhai bhabhi ky bal bhi bhut pyaary hain kasam sy....sab janty thy ariz ko lerkion ko lamby bal bhut pasand isi liye ariz ny apny bal aam larkon ki nisbat zara lamby rekhy howy thy.....sab hi rooh ki tareef mein kuch na kuch bol rehy thy aur sehar yeh sab sun ker tap rehi thi jab ky sultan begair kisi baat ka asr liye sab ki baatein khamoshi ky sath sun reha tha...tum bhi kuch bol lo amber tum hi reh gai ho werna yeh sab toh kab sy kuch na kuch keh hi rehy hain...amber ko khamosh dekh sultan amber sy kehta hai...jo aik nazar apni behn sehar pr dal ker phir sultan ki baat ka jawab deti bhai rooh waqi hi bhut pyaari hain ap ky liye bilkul perfect itna kehny ky bad wahan sy uth ker apny kamry mein chali jati ....sultan amber ki baat mein yeh note kerta hai ky us ny rooh ky liye bhabhi ka lafz nahi istamal kiya aur yeh baat basil sy bhi chupi nhi rehi lakin begair koi jawab dey dono khamosh rehy....sehar bhi amber ky pichy hi uth ker us ky kamry mein agaii...kya waqi wo lerki bhut pyaari hai ya sirf tum logon ki baatein hain? sehar amber sy pochti hai jo bed per laitny ky andaz mein bethi hoi thi sehar ki baat sun ker amber bed sy uth ker kehri hoti ...

wo waqi bhut pyaari hai aik khubsurat peri ki terah....amber jawab dey ker apni behn ky tasurat ko gor sy dekhny lagti..sehar ky chehry per aik rang aya aur ik gya phir foran amber ko jawab deti jitni bhi pyari ho mujh sy Zaida pyaari nahi ho sakti....itna keh ker sehar wapis jany lagti abhi darwazy mein hi punchati ky amber ki baat sy us ky qadam ruk jaty lakin wo hai...aur begair koi jawab diye sehar kamry sy nikal jati .......

gahr ky sab baron ko rishta Manzoor tha ab bas lerki walon ki teraf sy razamandi ki dair thi...sab uth ker apny apny kamry mein chaly jaty...sultan ko andaza tha ky abhi sehar aye gi is liye us ny darwaza khola chora howa tha aur khud sofa per beth ker chai piny laga sath sehar ky any ka intazar kerny lagy abhi chand pal hi guzray thy k sehar sultan ky kamry mein hazir ho gai....jis ko dekh sultan dil hi dil mein hansta....

tum janty ho mein kya kehny ai hun yahan....

acha? Sultan anjan banany ki acting kerta

lakin mujhy nahi lagta ky mujhy pata hai tum kya kehny ai ho...sultan jan bojker anjan banany ki acting ker reha tha...aur is ky jawab per sehar sultan ko dekh ky reh gai....gahr waly pori kosish mein hain tumhara rishta us lerki ky sath kerny mein.....

hmmm jaty howy darwaza band ker jana....... 

My Shining Star By S Khan WriterWhere stories live. Discover now