sehar ki baat ka jawab diye begair sultan us ko apni baat kehta aur sofa per bethy tangein samny table per rekhy ankhein band ker gya....sultan mein kya bol rehi hun aur tum kya bol rehy ho..sultan ki is harket per sehar gusy sy bolti...sehar ky is jarhana andaz per sultan ankhein khol ker sehar ko gorta jaisy agr wo abhi kamry sy na gai toh wo us ka hasher ker dey ga....
sehar kamry sy nikalny per majbor ho jati abhi sehar darwazy per punchi hi thi ky sultan bolta darwaza band ker ky jana...sultan ki baat per sehar zor sy darwaza band kerti aur chali jati....sultan ny khabi bhi sehar sy apni muhabat ka Izhar nahi kiya tha kue ky usy khabi sehar sy muhabat hoi hi nhi...sehar bhi baki sab ki terah sultan ky liye aik cousin hi thi....lakin aj sy do saal phely sehar ny sultan sy apni muhabat ka Izhar kiya tha apni birthday waly din sultan ny yeh soch ker usy koi jawab nhi diya tha aj us ka special day hai wo kharab nahi kerna chata tha...lakin agly hi din shuba uth ker us ny sehar sy apni baat clear ki sehar ny sultan kisi baat py Zaida dehan nahi diya tha...sehar ky sr per is waqt sultan ka janoon sawar tha .....sehar aur sultan hum umer thy bachpan sy ley ker school college aur university dono ny aik sath hi ki thi sultan sehar ki pasand na pasand ko achy sy janta tha wo us ko apni dost manta tha lakin sehar sultan ki pasand na pasand ky bary mein nahi janti thi agr janti hoti toh usy pata hota sultan ko kesi lerkiyan pasand hain aur kesi nahi....us ny hamesha sultan per hukam chalaya aksr us ky office chaly jana usy zabrdati lunch per ley jana sultan sy zid kerni wo usy shopping per ley ker jaye....sultan hamesha sehar ki harkaton sy chirta tha lakin us ny khabi us ko mana nahi kiya kisi cheez ky liye aur yehi us ki galti thi sultan ko laga tha ky waqt ky sath sab badal jaye ga lakin sultan yeh nahi janta tha ky kuch bhi khud sy theek nahi hota hamesha humein khud har cheez ko theek kerny ky liye kosish kerni perti hai ...aik saal phely jab sultan ky liye aik rishta dekha gya toh sehar ny wo rishta nahi hony diya lerki ki fake photos banwa ker gahr waloun ko bola ky lerki ka character acha nahi jis per gahr waloun ny rishty sy mana ker diya tha...sultan achy sy janta tha ky wo sab sehar ny jan boj ker kiya tha sultan ny sehar sy baat bhi ki thi is bary mein ....lakin sehar ny sultan ko blackmail kiya ky agr us ny sehar ky elawa kisi aur sy shaadi ki toh apni jan dey dy gi ya is rishty ki terah har rishty per asy hi kery gi....us ky bad sultan ky liye jitni bhi lerkion ko pasand kiya gya sultan un lerkion ko pheli hi mulaqat mein rishty sy inkar ker deta yeh keh ker ky wo abhi shadi ky liye tyar nahi aur agr wo mana kery ga us ky gahr waly us ko gahr sy nikal dein gay..is ka natija yeh hota tha lerki ko sultan per tars ajata tha lerki waly khud hi mana ker dety thy....aur sehar ny waqt ky sath sultan ki chup ko us ki muhabat samaj liya...
.
.
.
.
5 din bad bi jan fozia beghum ka phone aya tha wo kal hamry gahr ana chah rehy thy mein ny han ker di....bi jan apny kamry mein bethi hoti hain ky sultan ki maa aker bi jan ko batati ..... bi jan khushi ka Izhar kerti akhir wo bhi chati thi un ky poty ki shaadi achi jagha ho ...
agli shuba gahr mein har teraf gehma gehmi thi sab apny apny hisy ka kam ker rehy thy sultan ki maa ny usy raat mein hi bata diya tha shuba lerki waly arehy hain jis per us ny sirf acha keh ker baat ko khatam ker diya....sultan shuba shuba tyar ho reha hota ky sehar us ky room mein ajati.... dekho sultan aj tumhary naa hony waly susraliye arehy hain tum is baat ko yehi khatam ker do werna mein apna tareeqa istamal kerun gi phely toh khabi tumhary rishty ki baat itni agy nahi bhari is dafa tum kue is ko itna normal ley rehy ho...
tumhy kitni dafa bola hai sehar darwaza knock ker ky aya kero...(sultan ko sehar ka is terah room mein ana sakht na pasand tha...yeh baat gahr mein sab janty thy ky agr koi begair ijazat sultan ky room mein jaye toh us ko bura lagta lakin sehar hamesha hi mou uthaye ajati hai .....jis py sultan us ko kafi dafa tok chuka tha)
yeh meri baat ka jawab nahi hai sultan... akhir tum chup kue ho...sultan ko jawab na dety dekh sehar gusa ho jati hai aur zor sy bolti hai
mein aj is baat ko khatam ker dun ga agli dafa mery samny awaz onchi kerny sy phely hazar dafa sochna werna mein nahi sochun ga....itna bol ker sultan kamry sy chala jata aur sehar bhi paoun patakh ker apny kamry mein chali jati ...
a nooran kahan ho yeh dusting kero yahan sy dekho yahan kitni miti hai bi jan hal mein beth ky aik mulazmia ko awaz lagati hai...jo foran hazir ho ker table saf kerny lag jati....
ary bi jan wo log kon sa yeh dekhny arehy ky gahr saf hai ya nahi asy sab pagal kue ho rehy hain saf safai ky pichy....wo bhai ko dekhny arehy ap aik kam kerin bhai ki safai py dehan dein kahin asa na ho ky bhai ko dekh ker lerki waly yeh bol ky mana ker dein larka ganda hai....aliyan ki baat sun sabhi hasny lagty ...
sultan jo seerihyan utar reha tha aliyan ki baat sun ker us ko kehta tumhy na saaf ker dun aj mein apny hathon sy jab wo mujhy mana kerin gay toh tumhary susral waly bana dein gay unhy kya kehty ho?
wasy bhai ap ka option bura nahi hai...sultan ki baat sun ariz foran bolta...nahi bhai ab un ko mein dil sy bhabhi man chuka hon mujhy apka option pasand nahi aya ariz ki baat ky bad foran aliyan bol perta....chalo bas kero tum dono aur jao apny Kamron mein khabrdar aj agr kisi ny koi drama kiya choti chachi foran bolti....
sultan jany lagta ky fozia beghum bolti beta jaldi ajana wo log 6 bajy ajaye gay sham mein ....acha ammi
.
.
.
.
idr nofil azlan aur hadi yeh planning ker rehy hoty ky wo is rishty ko kaisy mana kerin...bas bhut ho gya mein toh larky ky mou per bol dun gi ky mujhy shaadi nahi kerni us sy jab kafi dair koi idea nahi ata toh rooh foran bol perti....han agr us ny sab ko bata diya ky tum us sy shaadi nahi kerna chati toh phir kya jawab do gi? ammi baba ko hadi rooh sy kehta
wasy lannat hain tum teeno per koi aik idea nahi tum logon ky pas kaisy officers ho tum log....apna mou band kero rooh ki bechi...rooh ki baat sun azlan bolta
han toh koi acha idea do na
hadi tum bolo rooh hadi sy kehti mein yahan physiologist bany aya hun rishty torwany mein degree leny nahi aya tum toh dafa hi ho jao hadi...azlan tum batao yeh toh kisi kam ka nahi rooh azlan sy kehti dekho rooh galti sy mein bhi paishy sy aik doctor hun mein kon sa sara din hospital mein yeh sochta rehta ky kis ka rishta kahan kerwana aur kahan sy torwana...dafa ho jao tum dono kisi kam ky nahi ho...
nofil! dekho rooh (abhi rooh nofil ko kuch kehti phely hi nofil bol perta) mein pichly aik ghanty sy ideas dey reha jo tum logon ko pasand nahi arehy toh mein bhi engineering ki degree ker reha kasam ley aik bar bhi agr kisi professor ny batay ho ky kaisy rishty sy mana kerty...
YOU ARE READING
My Shining Star By S Khan Writer
Short StoryIt's a short story novel.... How a busy business man got married with a girl who recently completed her university and work as an secret agent with her cousin and brother without informing their parents and how they fall in love This novel shows a...