Rooh ko stage per betha diya gya tha shaadi ki tamam rasmy jo behnein kerti ab tak nofil hadi ker chuky thy azlan kue ky phely nhi tha aur us ny khud bhi saaf mana ker diya tha ky wo yeh har giz nahi key ga....
Ab sultan stage per khera tha aur rooh ky aik side nofil aik side hadi bethy thy...
Dekhein duhly bhai humein paisy dein hum ap ko bethny dein gay werna bhool jaye ap ky ap ka koi nikah howa hai kue hadi ?....han bilkul nofil sai keh reha....
Nahi bilkul nahi yeh rasam Dulhan ki behn kerti Bhabhi ki behn nhi hum yeh rasam nhi kery gay....basil aur aliyan ny sultan ki teraf sy bolna shuro kiya....
Toh hum ker rehy na hum rooh ki behnein hi hain abhi tum log paisy nikalo Zaida taiz nahi bano.....
Kitny paisy chaye? Sultan nofil sy pochta ......nofl hadi ki teraf dekhta aur dono hum awaz bolty
Ummmmmm Zaida nahi 1 lkh bas
Kya 1 lkh basil ka toh mou hi khol gya pory ka pora...
Han lkh hum toh Zaida mangny ka soch rehy thy phir tars agya ap sab per...
Yeh tars aya hai abhi is sy acha taras na hi khaty ap log.....nofil ki baat sun ker aliyan bola
Toh theek hai phir dein humein 5 lkh.....
5 lkh? Stage per khery sab logon ny aik sath bola....
Shakl hai ap logon ki 5 lkh wali wasy? Amber nofil ki baat sun ker kehti....
Han amber api theek keh rehi 5 lkh kis khushi mein dein hum ab ariz bola....
Tum chup kero chutko aur ap miss chasmish Allhumdulilah shakl toh hamri is sy bhi Zaida wali hai bataoun kya?....nofi un ko jawab deta
Ary nhi nhi yeh lo 1lkh sultan nofil ko paisy deta aur nofil hadi sofa sy uth jaty....
Yeh hoi na baat....nofil paisy ley ker sultan sy kehta aur amber ko zuban dikha ker ishara kerta ky dekho ley liye....
Rawayat ky muatabiq nofil ny rooh ki bhut sari tasveerien banai...
Chalo nofil bas ker do ab mein thak gai ary asy kaisy abhi toh duhly bhai ky sath banani...
Acha bethi bethi ab bana lo aur himat nhi mujh mein ab.....
Han nofil tum ab asy hi bana lo thak gai rooh bhi...sultan nofil ko kehta
Oho Bari fikr ho rehi biwi ki
Han jab tumhari aye git oh pochun ga
Ary rehny dein is bechary ki qismat mein single rehna likha howa rooh sultan ki baat py bolti
Tum in dono ko rasty sy hatao mein tumhy dekhaoun ga phir single rehna likha hai ya double rehna
(Nofil azlan aur hadi ki teraf ishara ker ky bolta)
Rooh be-fikri sy shany uchka deti ky mein kya kern...
Rukhsati ka waqt agya......bari bari rooh sab sy mil rehi thi.....ary chapkili tum itna kue roo rehi ho isi planet py toh shaadi hoi bas 30 mint ki dori per tum toh asy roo rehi jaisy dosry planet per behj rehein hain.....nofil rooh ko rota dekh kehta...
Socho chamcharik tumhary dushman tumhy is terah roty dekhein kitna maza aye ga hadi rooh ky galy lag ker kan mein halka sa bolta....
Chup kero tum chamgadar dafa ho jao mein nhi milun gi tum sy rooh usy pichy ki teraf dhaka detii.....
Ary ary meri pyaar behn jao jao khushi khushi jao.....
Babul ki duaein leti jaa ja tujhy ko sukhi sohar mily na tujh ko hamri yaad aye na tu khabi yahan wapis aye....hadi aur nofil mil ker gany ki tangein torty
Yeh mery bhi walid shab ka gahr hai acha hato samny sy ab....
Jaye duhly miyan Allah ap ko bhut himat dey is virus sy larny ki taqat dey ameen sab ameen bolo hadi sultan sy keh ker onchi awaz mein kehta jis per nofil hi onchi awaz mein jawab deta AAAAAAmmmmmmmmeeeeeennnnnnn.....
Rooh unko ankhein dikha ker gari mein beth jati aur pichy sab hasny lagty.....
Sara rasta khamoshi sy guzar jata na sultan koi baat kerta na hi rooh kuch bolti....rooh ki nazar masalsal side mirror sy pichy thi jahan koi gari un ko follow ke rehi....rooh ki nazar itni hi taz thi foran hi note ker leti thi kya normal hai aur kya abnormal...
Apny phone sy kisi ko messge kerti.....ap gari thori taz chalein please....
Sultan ny aik nazar rooh ko dekha aur phir samny dekh ker apni speed mein gari chalany laga...
Nikah sy ab tak rooh ny sultan sy koi baat nhi ki aur ab ki toh kya gari taz chalein(sultan yeh baat dil mein sochta)...
Sultan ki wohi speed dekh ker rooh chir ker phir bolti gari taz chalein na kya nahi chalani ati mujhy dey mein khud chala leti......
Sultan toh heran tha ky akhir kya howa....kya problem hai is speed mein isi mein chaloun ga...
Gari rukein...han? Gari rukein ...
Sultan gari rok deta pichy jaye.... kya?
Pichy jaye na aik bar samaj nhi ati kya? Ab rooh ka dil waqi mein taz dharak reha tha kue ky pichy wali gari qareeb arehi thi...
Sultan pichy jata rooh foran driving seat sambhal ker gari bhaga leti......
Pichy sultan misbalance ho ker gari mein gir jata
Yeh kya tareeqa hai gari chalany ka?sultan rooh sy kehta hai....
Rooh sirf mirror mein us ko dekhti aur phir back view dekhti ab gari unky pichy nahi thi...
Location bataye....
Kis cheez ki location? Sultan na samji sy rooh sy pochta....
Jannat ki...gahr ki Zahir hai gahr nhi jana kya..... rooh chir ker bolti
Sultan rooh ko directions batata.....10 mint mein wo log gahr punch jaty....rooh ko driving seat per dekh sab herat sy aik dosry ko dekhty....
Hum sab ko bolein gay ky ap ko chakr arehy thy is liye mein ny bola ky gari mein drive ker leti....
Abhi rooh gari kheri kerti aur sab ko samny dekh ker sultan sy kehti....
Sultan ny sirf hmm kiya aur utar ker rooh ki side ka darwaza khola...
Rooh ny sultan ka hath pakra aur gari sy bahir nikli......
Wo mujhy chakr arehy thy is liye rooh ny gari chali....rooh ny herat sy sultan ko dekha aur bazo aik chutki kati...
Sssssss.....rooh ki teraf dekha
Aur ankhon mein pocha ab kya?kisi ny pocha ky mein ny kue ari chali?
Nhi,....toh ap kue boly?
Tum ny hi kaha tha asy bolna hai...rooh gehri sans ley ker reh gai( Ya Allah itna sada sohar diya ap ny mujhy...rooh dil mein hi Allah sy kehti)....
Rooh ka achy sy welcome kiya gya ...
Jao beta rooh ko kamry mein chor ao Bi jan noor aur amber sy kehti jo is waqt rooh ky sath mil ker tasveerian bana rehi thi...
Amber g bijan keh ker rooh ko ley ker kamry ki teraf chal perti
Rooh abhi kamry ka jaiza ley rehi thi ky darwaza knock howa....
Rooh ny abhi palt ker darwazy ko dekha hi tha koi darwaza khol ker andr agya....
G fermaiye?
YOU ARE READING
My Shining Star By S Khan Writer
Historia CortaIt's a short story novel.... How a busy business man got married with a girl who recently completed her university and work as an secret agent with her cousin and brother without informing their parents and how they fall in love This novel shows a...