Rooh ki baat sun ker raza shab Fozia beghm pakiza chaaron herani sy aik dosry ko dekhty hain aur nofil hadi azlan sab ky tasurat ghor sy dekh rehy thy....itni bari baat
Ap logon ny humein batana gawara nahi ki pakiza beghum aik dam sy bolti raza shab rooh ko apny galy lagty mujhy fakhr hai tum chaaron per aur hath ky ishary sy hadi azlan aur nofil ko apny pas bula ker galy lagaya khush reho hamesha aur hamra sr fakhr sy buland rekhna dono baap toh khush hoty lakin maaein abhi tak yeh samaj nahi paa rehi thi ky wo khush hon ya udas
Oooo ladies ap log shock sy nikal aye aj ap ky bachy is mulk ky liye kam ker rehy hain khush hon ap log......
Nofil ki baat sun ker rizwana beghum aur pakiza ki ankhein nam ho gai rizwana beghum foran rooh ko galy lagati mujhy toh lagta tha meri rooh bhut hi bedtameez kamchor mou-phat nalaik hai lakin tum ny mujhy heran ker diya rooh......
Aik mint aik mint yeh meri tareef thi kya? Rooh ki baat sun ker sab hasny lagty
Tareef asi nhi hoti madam yeh hosla afzai ki chachi jan ny tumhari bari captain bani phirti ho bahir jis terah bahir waloun ki sans khusk ki hoti na tum ny kisi ko pata chaly tumhari gahr mein yeh izat socho kya ho ga tumhara phir kya hi image reh jaye gi tumhari......hadi rooh ki baat sun ker bolta...
Chalo utho ab kam hai thora rooh uth kheri hoi aur un teeno sy bolti....aik mint kahan chaly tum log? rizwana beghum charon sy pochty....
Thandi hawa khany rooh apni maa jo jawab dey ker hasny lagti (rooh ka jawab sun ker nofil azaln hadi bhi hasny) ....nahi rooh beta bahir sardi hai tumhari shaadi hai persun bemar ho jao gi mera bacha jao shabash apny kamry mein rest kero....tai jan pershan ho ker bolti....
Meri pyaari maa ap ko kya lagta hai hum roz is waqt kahan jaty hain?
Bahir ghoomny jaty ho aur kahan
Nofil ki baat sun ker us ki maa usy jawab deti....
Aur phir charoon zor ka kehka laga ker hasny lagty...
Nahi ammi hum ghoomny kahan jaty roz kon jata ghoomny azlan apni maa sy mukhatib hota...
Toh kahan jaty? Pakiza beghum heran ho ker pochti ab baki bary bhi bhut tawajo sy sun thy ky akhir yeh log roz jaty kahan ....
Jo kam log din mein kerty wo hum is waqt raat ky andhery mein kerty din mein hum dushman per nazar rekhty aur raat mein tapka dety....hadi sab ki malomat mein izafa kerta ky roz yeh thandi hawa ka keh ker apny kam pory kerty thy.....
Abhi sab baat ker rehy hoty rooh ka phone bolta....jisy dekh rooh sab sy bolti Acha ab ap log so jaye hum aty hain chalo jaldi aur phone utha ker jawab deti....han arehy hain bas 5-mint aur charon gahr sy nikal jaty....
.
.
.
.
Bhai bhai amber bhag ker sultan ky kamry mein ati kya howa wo sehar ny sehar ny
Kya sehar ny agy bhi bolo
Bhai wo sehar ny khudkushi ker li....kya???sultan foran bhaag ker sehar ky kamry mein jata sab log is waqt apny kamon mein masroof thy young generation dance practice ke rehi thi jab ky gahr ki aurtein apny kamon mein lagi hoi thi..
Amber sehar sy phone ka charger leny us ky kamry mein ati usi pal sehar apny hath ki nas kat leti aur amber foran sultan ko bula lati....
Sultan aur amber sehar ko ley ker hospital chaly jaty....waqt per puchny ki waja sy sehar ki jan bach jati lakin sultan ki raagein gusy sy ober ati......sultan is waqt bhut muskhil sy apna gusa control ke reha tha.....
YOU ARE READING
My Shining Star By S Khan Writer
Cerita PendekIt's a short story novel.... How a busy business man got married with a girl who recently completed her university and work as an secret agent with her cousin and brother without informing their parents and how they fall in love This novel shows a...