My shining star Part 25

6 0 0
                                    

rooh ap aik dafa baat toh kerein sultan sy ho sakta koi hal nikal aye......hamza ny baat shuro ki jinhy ehsas hi na ho hamza un ky sath gily sikway kiasy...tmhy pata hai hamza khabi khabi insan zindagi mein bhut dair ker deta ehsas kerny mein kuch cheezain itny dair sy milti hai ky insan kehta hai ab na hi mily wo toh acha hai....sultan ny aik bar bhi mujhy sehar ky bary mein batana zaroori nhi samjha bas mein ny fasla ker liya

ap kisi sy baat kue nhi ker rehi yeh fasla ap ny khud liya toh kisi sy baat na kerny ki waja?

Wasy hi dil nhi kerta...kya baat kerun

kitni ajeeb baat hai na khabi khabi hum aik shaks ki waja sy sab sy bezair ho jaty hain kisi sy baat kerna tak chor dety hain....

Rooh ny hamza ko dekha dono ki nazrien mili kuch tha hamza ki nazron mein jo aj bhi rooh nhi samajna chati thi

Tum batao rubab kesi? Rubab ky zikr py hamza ny herat sy rooh ko dekha ap kaisy janti rubab ko?

Tumhari cousin hai

Theek hai apny sohar aur bachy ky sath khush hai....kya matlab tum ny shaadi ker li aur batya bhi nhi

Hamza ny phir herat sy rooh ko dekha

Pheli baat ap rubab ka poch rehi mein ap ko rubab ka bata reha

Dosri baat ap ny bhi mujhy apni shaadi ki khabr nhi hony di....bhut kuch tha is aik fikry mein shikwa dukh dard jisy rooh ny achy sy mehsos kiya

Asa ho nhi sakta meri zindagi ki itni bari baat tumhy pata na ho mujhy pata tha tum yahan na ho ky bhi yehi thy....itna yaqeen tha

Phir mana kue kiya tha ap ny?

Rubab ai thi mujh sy milny rooh batana nhi chati thi lakin bol peri

Apny aur rubab ky darmayan hoi baat hamza ko batai .....

Rubab mery liye meri behn ki terah thi us sy Zaida kuch nhi ap aik dafa mujhy bata deti inkar ki waja ....

Hamza waqt guzar gya kya faida purani baton ko yaad kerny ka.....

Rubab ki shaadi us ky cousin sy hoi hai canda hoti hai bhut khush hai apni zindagi mein...mein ny hamesha us ko apni behn hi samja aur mana

Acha phir tum kab shaadi ker rehy ho?mery hisy ka shaks koi aur ley gya abhi mein ny socha nhi is bary mein

Rooh jawab mein kuch na bol saki.....mein ap ko yehi mashwara dun ga jald bazi nhi kerin aik dafa sultan sy baat kerin ho sakta koi hal nikal aye .....

Rooh chup hi rehi thori dair ky bad rooh apny gahr chali gai jab ky hamza dor kheri gari ko dekhny laga jahan aik gari mein hadi nofil basil aliyan ariz thy jo isi ko dekh rehy thy hamza uth ky un ky pass aya

Nhi bola kuch unho ny....yeh plan bhi kam nhi kiya aliyan bola

Ab aik hi hal hai....sab ny basil ko dekha

Aur aik sath boly kya? Aaahhh ahista bolein sab mein behra thori hun

Hal batao baatein nhi kero....

Shuba shuba rooh tyar ho ker dining table py ai sab hi pershan thy nashty ky bad rooh ny apny baba ko matwaja kiya

Baba ap log ajaye ga thori dair tak court mujhy kuch kam hai mein phely nikal rehi hun....

Allah hafiz keh ker rooh dining sy uth gai bahir ki teraf bahr gai....

Thora dur jaa ker rooh ny note kiya koi gari us ka picha ker rehi thori dor jaa ker rooh ki gari band ho gai aur achanak aik gari rooh ki gari ky samny aruki gari mein sy kuch larky nikly rooh ki teraf bahry larkon ny mou py mask pehna howa tha rooh akeli thi

My Shining Star By S Khan WriterWhere stories live. Discover now