Ary wah is tasveer mein toh mein hun...rooh apni pheli tasveer dekhker bolti .....
Lakin jaisy hi agli tasver dekhti toh sari ankhein khol ker aik bar sab ko dekhti.....
Ab us ko samaj aya tha yeh log is waqt yahan kya ker rehy hain...
Sab tasveeron ko aik hi bar mein dekhny sy rooh ko apny point mil gya jis sy wo yeh sabit ker sakti thi yeh tasveerin us ki nahi hai...lakin rooh dekhna chati thi is ky susral waly kya kerty...is liye khamosh rehti...
Dekhein bhai shab mujhy rooh pheli nazar mein hi bhut achi lagi thi aur mein jani hun yeh tasveerein naqli hail lakin aik dafa ap sy baat kerna zaroori tha...fozia beghum bolti toh sab aik sath Fozia beghum ko dekhny lagty bahu jab tum janti thi yeh naqli hain toh gahr mein hi bata dena tha bi jan fozia beghum sy kehti....
Aunty ap ko kaisy pata chala yeh tasveerin naqli hai? Abhi Fozia beghum bi jan ki baat ka jawab deti rooh pochty...
Beta in tasveeron mein pheli tasveer ap ki baki ap ki nahi...jab mein ny yeh dekhi thi tab mera dil hi nahi mana ky yeh ap ho sakti hain phir is lerki ky bal aur ap ky balon ka hair color change hai yeh lerki thori moti hai aur ap thori palti Fozia beghum ki is bat per hadi aur nofil kehka laga ker zor sy hansty....
G aunty theek kaha ap ny yeh meri tasveerein nahi hain....
Pheli baat meri gardan par asa koi tattoo nahi jo is lerki ki gardan per hai dosri baat mein ny khabi flat chapal nahi pehni
Tisri baat mery hath mein hamesha aik gari hoti hai aur is mein koi bhi tasveer asi nahi hai jis mein gari ho rooh apni gari ki teraf ishara ker ky apni baat ko muqamal kerti hai...
Jis per sultan ky gahr waly mazrat kerty aur shaadi ki tyarion per baat kerty chai pi ker wapis chlay jaty....
Wah rooh tumhari toh saas bhi bari taiz nikli kasiy point niklay ny tasveeron sy achi saas mily hain tumhy mujhy toh laga tum aker humein apni saas ki baatein sunao gi hum mil ker unki jhugliyan kerin gay pr idr toh asa koi asaaar nahi nazar areha...nofil rooh ko cherta
.
.
.
In politics ky liye mery pas itna time na khabi tha aur na ho ga is liye yeh toh tumhara kawab hi rehna hai.....
Wasy sochny ki baat yeh wo tasveerin kahan sy ai kis ny banai aur kue tumhary hony wala susral mein behji.....azlan sochny waly andaz mein apni baat kerta....
kahin hamza.....
nahi nofil mery toh dushman bhi yeh sab points janty hain jo in tasveeron mein sy mein ny nikaly hain....aur hamza woh toh mujhy hazaron mein pehchan leta hai asi galtiyan who khabi nahi kerta....aur us ny mujh sy wada kiya tha aur mujhy yaqeen hai wo apny wady per pora rehy ga....
Yeh koi anari bandy ka kam choro mujhy fark nhi perta jab samny aye ga dekh lun gi....
Shaadi ki tyarian zoro shor sy chal rehi thi do din bad sultan ny Pakistan ana tha aur usi din sham mein haldi ki rasam kerny ka plan banya gya tha....fozia beghum ny sab shopping rooh ko sath ley ker us ki pasand sy ki rooh ny bhut mana kiya tha lakin phir bar bar Fozia beghum ky kehny per chali gai aur hamesha nofil ko sath ley ky jati thi....
Jao na nofil yeh cheezain rooh ky susral mein dey ao bhut kam hai please....acha chachi dey ata hun
Dekhein tai ami kaisy har waqt us ky dono cousin chipky howy hoty us lerki ky sath aur wo khud bhi unky begair koi kam nahi kerti aj bhi dekhein kaisy apny us cousin ky sath chapak rehi thi aik sath ice cream kha rehy thy abhi bhi waqt hai mana ker dein is rishty sy ....
Sab young generation aur gahr ki khawateen gahr per thy abhi sehar baat kerti hai ky nofil hal mein dakhil hota us ko dekh ky sab ko andaza ho gya tha k nofil sab kuch sun chuka hai...ary beta tum ao na kaisy ho? Bi Jan pochti hain ....nofil salam ker ky gusy sy hath mein pakra howa saman table per rekhta aur palt ker sehar ki janib ata rooh hamri behn hai hamri rooh ka hisa khabr dar aj ky bad apny mou sy yeh ghatiya ilfaz nikaly werna zuban khench lun ga mein tumhari begair kisi ky lehaz ky aik sard nazar sab per dal ker nofil chala jata hai....pichy sb nofil ky is andaz per dang reh jaty hain...yeh wo nofil bhai toh nahi jis sy hum mily hain noor sadmy sy kehti.... Sehar abhi nofil ki baat sy sadmy mein hoti...sehar api bas ker diya kerin aik toh ap pata nahi logon mein kiry kue nikalti hain ariz sehar sy bolta....apni bakwas band kero dekh liya ap logon ny kaisy baat ker ky gya hai wo sehar ulta apni galti many ky nofil ky bary mein baat kerny lag jati bas sehar apny kamry mein jao....sehar ki maa sehar ko dant ker kamy mein behj deti...
.
.
.
.
Mein bata reha hun ap sb ko agr ab us lerki ny kuch ulta seedha bola mein chorun ga nahi us ko nofil gusy sy gahr mein chila reha hota hai....gahr aker us ny sab ko batya ky sehar ny yeh baat ki jis per hadi aur azlan gusy sy motjiyan binch gaye aur bary shocked thy koi un ki beti ky bary mein asy baat kaisy ker sakta hai....acha nofil bas kero baat kerin gay hum qasir bhai sy nofil ky papa nofil sy kehty...
Acha chalo ao kamry mein chlaty hain....chalo batao mujhy detail sy kya bola us churial ny rooh nofil sy pochti aur nofil dubara us ko batata hadi aur azlan in dono ki baatein sun rehy thy chup chap...aur in dono ki chup tofan sy phely ki khamoshi thi....
Acha toh tum ny kya bola phir..,rooh nofil sy pochti hai. Mein ny kuch nhi bola mein kya bolta acha nhi lagta apni behn ky susral waloun ko kuch bolta mein nofil sirf sehar ki hi baat bar bar pochny pr bata reha tha wo kya keh ker aya tha wo nahi...
Dekho nofil mujh sy acha tumhy kon janta hai? Dekho rooh mein sach keh reha hun...han janti hun lakin yeh ada sach hai pora nahi chalo shabash batao tum kya bol ky aye sach mein kuch nhi bola rooh...
Rooh hadi aur azlan ko ankh sy kuch ishara kerti jo nofil dekh nhi paya aur wo dono ishara samaj ker boly
Kitny besharam ho tum itna kuch bola us lerki ny aur tum chup chap wapis agaye mou mein dahi jami hoi thi tumhary...azlan gusy sy bolta
Asy kaisy kuch nhi bola pora jawab dey ky aya hun bata ky aya hun ky agr rooh ky bary mein kuch bola dubara toh zuban kench lun ga us ki ....shabash mery bhai yehi Umeed thi tum sy nofil ki baat sun ker hadi nofil ko kehta hai aur rooh zor sy kehka lagati hai
Ab nofil ko pata chala ky us ko phasa rehy thy.....bhut hi bary kaminy ho tum log nofil azlan aur hadi sy kehta hai aur rooh ki bechi tum tum in ky sath mil gai...
Ary mery hero mujhy pata hai koi mery bary mein kuch boly aur tum chup ker jao ho hi nahi sakta ab tum seedhy terah sy nahi bata rehy thy toh kya kerty hum...
Chalo khair choro yeh sab acha kiya jo bhi kiya tum ny nofil thank you tum dono waqi rooh ka khayal mujhy sy behter rekhty ho hadi un sy kehta....
Yeh hamri bhi kuch lagti hai apna shukriyan apny pas rekho kamry mein lagana aesthetic vibe dey ga nofil tap ker bolta....
Rooh chup ker ky kuch sochny lagti ...Rooh ko sehar ka raweya kafi ajeeb lag reha tha kaisy us din sehar ny rooh sy behas ki thi haldi ky dress ky liye(nahi sehar mein asy dress nhi pehnti is liye mujhy yeh nahi lena aj unhy rooh ky sab functions per pehny ky liye dress leny thy aur sehar hamesha ki terah tai jan ky sath ai thi kue ky un ko lagta tha sehar sultan ki pasand na pasand ko Zaida janti wo rooh ki madad ker sakti shopping mein ab wo aik shop per rooh ko pily rang ka suit deka rehi thi jo hai toh pyaara tha lakin us per sleeves nahi thi aur sehar ny zid pakr li thi yehi suit wo apni haldi per pehny gi sehar achy sy janti thi asy dress per gahr waly sary rooh per tanqeed kerin gay aur rooh ka image kharab ho ga....sehar beta rehny do rooh ko nahi pasand toh koi aur dekhny do usy tai jan sehar sy bolti.....rooh kuch soch ker wo dress ley leti nhi aunty agr sehar itna force ker rehi hain toh theek hai per beta ap koi aur dekh lo tai jan ko bhi wo suit pasand nahi ata lakin yeh soch ker chup ker jati ky sehar sultan ko Zaida janti ho sakta sultan ko asy hi pasand ho.....
Phir rooh ko sehar ka dakha dena yaad ata jo rooh janti thi ky sehar ny jan boj ker kiya lakin sehar ki mazak sy ki gai sharat samaj ker wo usy ignore ker gai thi)
Rooh abhi inhi sochon mein hoti hai...
Itny mein hi rooh ki ghari mein sy aik peep ki awaz ati jis per wo chaaron alter ho jaty...we have to go guys rooh ky kehty hi sab aik sath nikal jaty...
YOU ARE READING
My Shining Star By S Khan Writer
Storie breviIt's a short story novel.... How a busy business man got married with a girl who recently completed her university and work as an secret agent with her cousin and brother without informing their parents and how they fall in love This novel shows a...