Part 49

548 94 16
                                    

"Bhagwaan jhoot na bulaye bohot hi Acha Ghar hai. Meri bacchi bohot Khush rahegi. Aur pandit bhi bada sanskaari Ladka hai" praised chachiji caressing her hairs softly while she blushed a little. Naina was keeping all the plates into the kitchen while the family had been talking about Pandit's family.
"O bai ab iska toh ho gaya. Ab isey dekhne bhi aa rahe Hain wo log shaam ko. Ab bas iska bhi sab ache se ho jaaye toh main Ganga nahaun. Ae Naina! Idhar aa"
"Ji Taiji" answered Naina rushing out of the kitchen and coming towards them.
"Dekh tujhe firse samjha rahi hoon, dhang se rehna aaj Sharad aur Uske gharwalon ke saamne. Koi naatak nahi. Jo kahein wo Karna aur kehna. Aur zyada hoshiyaari toh dikhana hi mat. Aur ab ye ladko se chipka chipki bhi band Kar. Kaise us pandit se chipak rahi thi. Kya sochenge Uske gharwale"
"Arey par auntyji ne khud Bola ki dono Bhai Behen Hain toh f"
"Tu chup reh samjhi na. Tera rishta Tay ho Gaya hai aur ab iska bhi ho jaane de warna pata Chala ki iske Chakkar mein tera bhi toot Gaya. Kuch bhi ooch neech ho gayi toh kya izzat reh jaaegi humari"
"Izzat samaj ke Chakkar mein Naina ki Zindagi barbaad Karne mein lage Hain sab. Bohot pachtaoge aap log. Humara Mooh toh Aapne band Karwa Diya lekin agar Sameer ko pata Chala na toh bohot Bura Hoga fir kyuki wo Naina ki aankhon mein ek bhi aansu Nahi Dekh Sakta aur ye sab jaanke toh wo poori duniya Apne sar pe utha lega. Chal Naina" warned Preeti and took Naina into the room.
"Chinta mat Kar Yaar. Pandit ne Bola hai wo sab theek Kar dega. Wo Kuch na Kuch toh samajh hi Gaya Hoga. Dekhna wo Sameer ko Zaroor batane ki koshish karega aur wo samajh jaaega ki Hume uski zaroorat hai toh wo Zaroor aaega."
"O bai!!! Nahi Raha Gaya na dono se. Todli kasam. Apni Behen ki zindagi ki koi parwah Nahi hai na! Bata Diya na Apne aashiq ko" screamed Taiji furiously slapping her harshly.
"Taiji!! Hum dono mein se Kisi ne bhi kasam Nahi todi hai. Na hi kisiko phone Kiya hai na hi kisika phone uthaya hai aur na hi pandit ko Kuch Kaha hai. Balki khud saamne se Sameer ko uska phone Aaya tha toh usey realize ho Gaya ki Kuch gadbad hai. Humne apna Mooh tak Nahi khola. Arey kaise parivaar wale ho aap sab! Kya sukh milega aap logon ko Naina ki Zindagi barbaad Karke?"
"Bas Preeti! Bohot sunli Teri Naina ki taraf se. Ab toh jitni jaldi Iski Shaadi hogi bhale hi tujhse pehle, utna hi behtar Hoga. Agar unki razamandi ho toh aaj ke aaj hi iska Shaadi Sharad se Kara denge" declared Taiji. Taking their phones, Taiji locked them in the room instructing to get her ready in the evening.
Naina's head spinned and she sat on the bed with a thud.
"Nahi Nahi. Sab theek hai. Sameer aaega aur main bilkul bhi haar Nahi manungi. Wo mujhe dekhne aa rahe Hain na. Theek hai. Main taiyaar hoon un logon se Milne ke liye. Lekin bas Itne ke liye hi. Issey zyada nahi." said Naina while Preeti gave an unbelievable look to her.
"Pagal toh Nahi ho gayi hai Tu? Wahan uski Baat Riya se yahan Teri wo ...kaun... Haan sharad. And Hume parso Mumbai ke liye bhi nikalna hai. Ho kya Raha Hai ye sab"
"Pata Nahi. Lekin jahan tak Baat jaa Sakti hai, jaane do. Agar limit cross hui toh bas. Fir pata Nahi kya hoga" said Naina in determination.

__________________________________________

"You know Sameer mujhe aaj wo Apne school wali Ms. Stout, umm Naina right? Wo Mili thi Mandir mein. Kya gajjab ki badli hai wo. Attitude bhi aa Gaya hai. I was impressed" exclaimed Riya while Sameer was shocked as Naina didn't mention anything about her when they met.
"And when I told her na ki aaj Mai Tumhare Ghar aa rahi for our rishta talks, Uske chehre Ka rang to aise ud Gaya tha Jaise usey koi horror story suna di ho" laughed Riya.

She knew it! Before me only she knew it but didn't express! Damn god Naina! How are you so strong?!

Seeing him lost Riya asked "Sameer! Waise I'm ready for this coz I've liked you from starting. Beech mein kayi boyfriends bhi bane Lekin didn't work out then socha ki arrange marriage hi Kar loon but still your agreement matters. Tum kya chahte ho?" Sameer stared at her for some moments nervously.
"Sameer, tumhari life mein koi aur Hai kya?" uttered Riya nervously. Sameer slowly nodded in agreement.
"Sorry Riya par I'm already in a relationship. Maine mummy ko bata bhi Diya tha Lekin unhone Kaha ki tum aa rahi ho toh ek Baar bas mil hi loon. I'm really sorry Riya. Mera tumhara Dil todne Ka koi irada Nahi tha and you really deserve someone better than me." explained Sameer.
"Kkaun hai wo ladki?" asked Riya furiously as her anger was rising every passing minute.
"Naina" declared Sameer without any hesitation and proudly while Riya was drinking water to cool down herself, she chocked.
"You okay?" asked Sameer in concern as she started coughing.

Is Love Measured On This ? 💔❤️ (COMPLETED)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें