First of all, wishing our hero, our Randeep aka Deepu aka RD a very happy birthday ! May all his wishes and dreams come true and may he achieve great heights of success 🙌.
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
__________________________________________
"Kaisi ho Preeti ??" Preeti looked at him and sensed someone known. Staring at him for some moments she recognised "Sameer ? Omg ! Hero" "Haan main Sameer. Wahi Sameer Maheshwari school wala. Kaisi ho ?" "Main theek hoon. Tum kaise ho ?" "Main bhi theek. Zyada dard toh Nahi ho Raha sir mein ? Waise koi zyada chot Nahi aayi hai and koi internal injury bhi Nahi hai. Maine reports Dekh li thi" assured Sameer. "Tum ?? Tum bhi doctor ban Gaye ? Wow Yaar" exclaimed Preeti happily while Sameer smiled. "Naina Kahan hai ??" asked Preeti. "Wo usey kaam se senior doctor ne bula liya tha isliye wo gayi hai. Naina bhi doctor ban gayi. Wow. Itne Saalon mein Kitna sab badal Gaya par Naina ? Wo Kitna zyada badal gayi hai. Itne Saalon wo Kahan thi Preeti ? Hua kya tha" asked sameer. So many questions in his mind. "Nahi abhi tumhe rest Karna chahiye. Fir Kabhi" answered Sameer on his own. "Arey Nahi Ruko Ruko. Abhi Naina Nahi hai aur yahi Sahi mauka hai sab Kuch jaan'ne Ka. Toh suno" "Di !!! Aap theek ho ??" asked Naina as she entered in while Preeti sealed her mouth and Sameer gave a scared look to Preeti. Naina gave a quick hug to Preeti just to assure herself that she was fine. "Theek ho na ?? Sameer reports Dekhi Tumne ?? Koi bhi internal injuries ya Kuch bhi complications toh Nahi Hain na ?? Koi medications wagerah ??" asked Naina. "Naina relax ! Preeti bilkul theek hai koi complications Nahi Hain. And medications ki bhi aisi koi khaas zaroorat Nahi hai phir bhi main ek Likh doonga. Shaam ko jaate waqt le jaana" assured Sameer while Naina sighed. "Di Aapke boss Ka phone Aaya tha. Maine unko bata diya ki Aapka chota sa accident Hua hai." "Office toh Nahi bulaya na phir ??" asked Preeti with an unintrested face. "Arey Nahi. Unhone toh bas take care rakhke kaat Diya tha phone" shrugged Naina. "Toh abhi mujhe yahan kab tak rehna hai ?? I mean Kuch hua toh hai Nahi toh main Ghar jaaun ??" asked preeti. "Haan bas ye drip complete ho jaaye phir tum jaa Sakti ho" answered sameer. "Par Di main aapko abhi chhodne Nahi aa paaungi. Wo Dr. Rupali ke Saath Kuch kaam hai toh" "Arey toh main chali jaaegi khud re. Tu kaaye ko tension le rahi Hai. Main bilkul theek hoon. Chill maar." assured Preeti smiling fully but Naina wasn't satisfied. "Naina main chhod doonga." said Sameer while Naina smiled slightly and nodded. Naina got busy in the day while Sameer and Preeti were on their way to Preena's home. "Toh kabse reh rahe ho tum dono yahan ??" "Main toh 2 saal pehle aayi thi and Naina abhi 2 hafte pehle hi aayi hai. Aur tum ?? Tum yahan ho koi idea ho Nahi tha" exclaimed Preeti. "Main schooling ke baad yahan aa Gaya tha. College and baaki padhai sab yahin ki aur fir abhi Kuch almost ek Saal se yahi hoon." answered Sameer while Preeti made an "oh" face. "Hey tum kaunsi field mein ho ??" "Cardiology mein" "Oh. Naina ko bhi pehle yahi Karna tha but phir usne paediatrics chuna. Par wo Khush hai wahi Accha hai" sighed Preeti remembering the previous years. "Par Preeti, ye kaunsi Naina Hai ?? I mean Naina kitni zyada badal gayi hai. Jo ladki humesha Khush rehti thi wo aajkal sirf tension mein doobi hui si aur chup chup si. Meri nai ... I mean Naina toh aisi Nahi thi ??" poured out Sameer all his questions. "Changes toh tumme bhi Aaye Hain. Tum bhi Itne serious Kahan the. Lekin now you are a perfect doctor with an absolute doctor face." chuckled Preeti at her last words. "Mazak mat Kar Yaar" giggled Sameer while he continued "Sachme bata na Naina kaise itna badal gayi". In the mean time they reached home. "Aao Ghar chalke batati hoon" said Preeti while sameer's phone ringed. Recieving the call Sameer answered "abhi toh jaana Hoga. Urgent call aaya hai". "Umm ek kaam karte Hain. Let's catch up tonight. Apan teeno. Umm BKC ?? Around 8 ?" "Yaa sure" "Ok then. Seeya"