Part 50

612 109 32
                                    

Flashback

"Ugh samajh Nahi aa Raha kya karoon. Kya hone wala hai" murmured pandit worriedly.

"Arey bhaisahab! Aap Zara Batayenge ye nirmal Jyoti society kidhar hai?" asked a man peeping out from the window of his car.
Pandit looked strangely at them and asked "Kiske yahan jaana hai aapko?"
"Aapse matlab. Aap hume bas bataiye ki Kahan jaana hai" asked the man rudely.
"Dekhiye main bhi wahin rehta hoon isliye pooch Raha hoon kiske yahan jaana hai. Bataiye na main aapko exact Ghar Ka number floor sab bata doonga" said pandit with an assurance smile.
"Hume Mr. Naresh Agarwal ke Ghar jaana hai" told the man. Pandit paused for a moment and looked intently at everyone.
"Bataiye jaldi"
"Haan. Yahan aage ke chaurahe se right Lena fir ek Mandir aaega ussey left. Wahin se seedhe jaaenge toh colony mil jaaegi. Flat 102. 2nd floor."
"Acha thank you ji." thanked the man. "Acha Hua ab jaldi kaam nipat jaaega". Their car rushed off while pandit was still stuck at them thinking about everything.
"Ye log kaun Hain aur kyu jaa rahe hain Naina Preeti ke Ghar" said pandit thoughtfully.
"Bhaiya, hume ye log kahin dekhe dekhe lag rahe hain" said his driver Shyam.
"Sachme? Please batade Kahan Dekha hai. Please Yaar. Please please. Bohot zaroori hai jaan'na." pleaded pandit almost joining his hands.
"Bhaiya hum abhi Pune Gaye the Kuch din pehle Apne dost ke saath. Toh hum log kahin se guzar rahe the toh ek hotel pada tha raste mein toh usne bataya tha ki ek do mahine pehle Uske Sahab aur wo Pune Gaye the toh unhone online hotel book Kiya tha aur wahi wala Hua tha par baad mein pata Chala ki wo toh aiyaashi wala hotel hai jahan tawaif wagerah Hoti Hain. Ye aadmi jahan tak mujhe Yaad hai Maine isey wahin Dekha tha. Yahi tha us hotel Ka manager kyuki hum dono wahin rukne wale the toh main Chala Gaya tha Wahan aur Maine ye sab Dekha tha aur fir mere dost ne wo sab bataya." completed Shyam.
"Kahin ye Naina ko ddekhne??!! Shyam jaldi gaadi Sameer ke Ghar le chalo. Kitni jaldi ho sakte utni jaldi" panicked pandit. 

Sameer!" called pandit entering the mansion.
"Pandit?"
"Bhai wo... Bhai Kuch toh gadbad hai...Tu jaldi chal...nain"
"Naina?"
"Tu chal main sab raste mein batata hoon. Tu abhi chal please" pleaded pandit. Sameer quickly went with him leaving behind his confused family.
"Shyam Tumne Apne dost ko phone Kar Diya hai na?"
"Haan sahab wo pahuch jaaega"
"Haan theek hai" Pandit narrated everything to Sameer leaving him shock and numb at the moment.
"Mujhe Lagta hai shayad wo log nnnaina ke liye rishta.."
"Nahi." exclaimed Sameer stopping him. "Kuch Nahi Hoga meri Naina ko" said Sameer in determination.

"Dekhiye aap please humari Baat samajhne ki koshish kijiye kisiki poori Zindagi barbaad ho jaaegi." exclaimed Sameer.
"Arey par koi proof bhi toh Nahi hai na. Aur upar se ye bhi confirm Nahi pata hai ki wo log kyu Gaye Hain unke Ghar. Toh hum aise kaise jaa sakte Hain" said the inspector.
"Arey hum keh rahe Hain na ki wo usi hotel ke manager the." tried Shyam.
"Acha aap ek kaam kijiye, Pune ke police station phone kijiye. Unhe boliye us hotel ki saari information nikalne ke liye. Aur us ladke ki photo jald se jald bhejne ke liye. Humare paas zyada time Nahi hai" exclaimed pandit.
"Haan aur agar aapko koi bomb ki khabar dega aake toh kya aap Uske bhi proof Ka wait karenge ya phir jaake enquiry karenge boliye? Please main Aapke haath jodta hoon. Please humari madad kijiye" said Sameer as his eyes turned misty.
"Theek hai. Hum unke Ghar ke liye nikalte Hain. Saari information Hume raste mein milti jaaegi. Chaliye" said the inspector and all settled in their vehicles and left for Nirmal Jyoti Society.

"Kya pata Chala sir?" asked Sameer impatiently as the inspector kept down the phone.
"Us hotel ke manager Ka naam Sharad hai. Uske against kayi case bhi filed Hain kyuki usne kayi shaadiyan ki hain. Wo pehle ladkiyon se Shaadi karta hai taaki unki fir trafficking Kar sake. Hume bas uski photo aur identify karani hai. Agar Aapke Saath Jo witness Hain, unhone identify karli toh we'll be confirmed. Jaise hi Wahan pahuchenge sabse pehle yahi karenge. Shayad jinke Ghar wo log Gaye Hain unki ladki ke liye bhi yahi planning ho." sighed the inspector. Sameer shuddered listening the whole thing.

Is Love Measured On This ? 💔❤️ (COMPLETED)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें