Part 69

551 91 42
                                    

So guys here's the next part. Hope you all like it. Keep reading and voting and do comment. Thank you for all the love ❤️

Preeti looked at him with guilt eyes because Naina is away from them coz of Preeti only.
"Sameer wo..." Sameer showed his palm stopping her from speaking anything and looked at everyone furiously.
"Bohot shauk hai na aap logon ko kasmon ka, bohot Maza aata hai na us sab khel khelne mein, toh sunlo sab yahan pe - wo video mein naina aur MAIN Hain aur wo Naina ke birthday wali Raat ki hai. Galti se liquor cake aa Gaya tha jisse hum intoxicated ho Gaye the aur Hume hosh Nahi tha. Jo bhi Hua anjaane mein Hua tha. Recording Maine ki thi par is sab ki Nahi balki usse pehle ke saare moments ki jab maine usey propose Kiya tha sirf memories collect Karne ke liye Lekin is ek Galti jo hui bhi anjaane mein the usey gunah mein badal diya" completed Sameer angrily.

"Aur ye sab main sach hi keh Raha hoon NANU KI KASAM, NAINA KI KASAM, MUNNA PANDIT KI KASAM, MUMMY KI KASAM, ROHAN KI KASAM DEEPIKA KI KASAM" screamed Sameer vigorously.
"Mujhe toh vishwaas Nahi ho Raha ki aapko apni hi beti par vishwaas Nahi hai. Main yahan par tha Nahi warna aisa Kabhi Hota hi Nahi. Apni self respect ki protection ke liye Naina ko apni hi family ke saamne bheek maangni padi issey zyada ghatiya cheez Kabhi suni hogi kisine??? Bahar walon ki baaton mein aap itni asaani se aa Gaye wo bhi aisi Baat jispe log hardly believe karte Hain aur mostly Apne bacche ko bachate Hain aur aap logon ne toh Ulta usey usi aag mein dhakel Diya. Woah" exclaimed Sameer clapping loudly.

He walked towards Rakesh and said "So called papa Hain na aap uske? Haina? Kabhi Dekha hai, suna hai arey Kabhi socha bhi Hai ki koi baap khud Apne haathon se usey sadak par jaake pheke uski Baat poori Tarah sune Bina usey bolne Ka mauka bhi Nahi Diya na hi uski dhaal bane jabki sab usey zaleel Karne mein lage hue the!! Kehte Hain ki Apne papa ko sabse zyada pyaari hoti Hain betiyan par aaj Aapne prove Kar Diya ki Itne Saalon Aapne ussey Kitna pyaar Kiya hai usey Kitna samjha hai isey Kitna sambhala hai" lashed  out Sameer making Rakesh feel embarrassed and weak.

Moving towards chachaji, Sameer smirked laughing sarcastically in front of him "chachaji, Preeti ke baad agar sabse pyaar sabse zyada bharosa sabse zyada sammaan Ghar mein wo Kisi Ka Karti thi na toh wo aapka. Even Apne papa se bhi zyada pyaar Diya hai usne aapko, humesha aapko chuna hai par Aapne kya kiya? Bhed bhaav Karke Nikal Diya usey Ghar se, apni Zindagi Se. Ek Baar ek Baar bhi socha Aapne ki kitni buri Tarah se toot gayi hogi wo jab usne Aap se itna Bura bartaav Saha Hoga?? Humesha kehti thi ki chachaji ne aaj aisa Kiya, wo sabse ache Hain, Kitna pyaar karte Hain sabse best Hain aur na jaane kya kya. Uske Mooh se Kabhi burayi Kabhi Kuch galat nikla hi Nahi Aapke liye. Par Aapne kya kiya? Uske us pyaar ko, bharose ko uski himmat ko...sab Kuch Tod Diya Jo chahkar bhi wo samet Nahi payegi." completed Sameer making chachaji feel extremely guilty of all the things making him cry terribly.

"Chachiji, ek bhi din aisa Nahi hai jab usne Aapke haath ki Dal ki tareef na ki ho. Itni simple si choice uski khane ki par Aapke haath ki Dal Uske liye jannat se Kam Nahi thi. Aapki tareef karte Kabhi Nahi thakti thi aur humesha kehti thi ki Kabhi usey maa ki Kami mehsoos Nahi hone Di chachiji na, itna saara pyaar Karti Hain ki agar meri maa Hoti bhi na toh wo bhi utna Nahi de paati jitna chachiji Karti Hain. Par Nahi chachiji...Naina galat thi. Bilkul galat thi. Aap uski maa Nahi ban paayi" exclaimed Sameer as his voice turned heavy. Chachiji nodded in a no sobbing "aisa mat kaho Sameer"
"Yahi sach hai Chachiji kyuki agar aaj Rama aunty Hoti na wo Kabhi kisiko Naina ko chot pahuchane Nahi deti aur NA HI KHUD CHOT PAHUCHATI JIS TARAH AAPNE PAHUCHAYI. Ek beti ki khushiyon ke liye doosri ki Bali chadha Di??" exclaimed Sameer bitterly.

All the guests starting talking about them of how not trusting their own daughter and believing the outsider.
"Batao kaise gharwale Hain. Apni bacchi ki Baat na sunkar bahar walon ki baaton mein aa Gaye"
"Ek ki Zindagi barbaad hone se Bacha rahe the aur doosri ki barbaad Kar rahe the aisa kaise Kar sakte Hain ye log?!"
"Aur ab dono hi betiyon ne Ghar chhod Diya"

Is Love Measured On This ? 💔❤️ (COMPLETED)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें