The nurse with the help of Sana's mom thought Sana how to feed the baby. The baby suckled on his mom. Sana had tears in her eyes when she first fed him. He was such a lovely baby. He is going to turn out handsome like his dad when he grows big. The baby went back to sleep in a cot next to Sana's bed, when his tiny tummy got full. They gave Sana tea and biscuits to eat.
Sid entered the room with Mahi She went to Sana, hugged and congratulated her.
Sid: Mummy, papa aap log ghar chale jaao. Maa breakfast ke leye wait kar rahi hai. Aap dono thoda aaraam karke fir chale aana. Puri raat neend nhi hue hogi na aapki. Driver wait kar raha hai aapka.
Sana's papa: Betaji aap thoda aaraam karke aate. Aap bhi to soye nhi na??
Sid: Nahi mai thek hu. Aap relax karo ghar jaakar.
Sana's mom and dad left. The baby started crying. Mahi picked him out from the cot and held him in her arms.
Mahi: Sid, Sana yeh kitna pyaara hai. Awaaz dekh, kitne zor zor se ro raha hai.
Sid was smiling at the baby. He looked proudly at him. Mahi shook the baby in her arms and he fell asleep again. Sid took him in his arms and kissed his forehead. All smiles for his baby. He was not looking at her. The doctor came on the round.
Doctor: So how's the baby?? How's baby's mama?? And how's baby's papa??
Sid: I'm fine doctor and thank you so much for everything.
Doctor: It was my job Sid. Aur Sana dara diya na kal sabko?? Kaha tha na stress nhi leena hai??
Sid gave a sarcastic laugh, which only Sana heard and saw.
Doctor: Anyway. Congratulations. Ab aage khayaal rakhna apna. Aaj sham me tumko uth kar thoda chalna hai. Dard hoga, par fir bhi thoda thoda walk karna hai. Ok. And baby is fine.
Sana: Thank you doctor.
The doctor left the room.
Sid: Mahi tum yaha ho na?? Mera ek kaam hai. Mai aadhe gante me aata hu. Fir driver chod dega tumko.
Mahi: Ek ganta lagega to bhi chalega. Don't worry I'm there.
Sid laid the baby in the cot and left the room.
Mahi: Kuch khaaya tune??
Sana: Hmm. Chai aur biscuit. Di kal raat ke leye sorry.
Mahi took a chair and sat next to Sana's bed. She took Sana's hand.
Mahi: Sorry vorry chod. Kal jo hua vo galat hua. Dekh Sana aaj mai tujse kuch kehne wali hu. Dhyaan se sun aur samajne ke koshish kar. Tum dono ek dusre se bahot pyaar karte ho. Par tum logo ka problem kya hai pata hai?? Tum dono ek dusre pe trust nhi karte.
Sana: Vo mujse pyaar nhi karta.
Mahi: Sana tuje sach me lagta hai vo tujse pyaar nhi karta??
Sana: Par kal party me vo do ladkiya aap ke kamre me....
Mahi: To tuje un dono ladkiyo pe bharosa hai. Sid par nhi??
Sana: Par di Rashmi ka kya??
Mahi: Mai tuje nhi batana chahti the. Par tune Sid ko apni safai dene ka mauka he nhi diya. Ab baat yaha tak aa gayi ke ab Sid tumhe safai nhi dega aur tum dono ke misunderstanding badti he jaayegi.
Sana: Di aap muje aaj bata he do Rashmi ke baare me.
Mahi: Rashmi aur Sid ek sath ek serial ke leye mile. Dono acche dost bane. Fir Rashmi shaayad Sid ko pasand karne lagi. Par Sid uske leye aise kuch nhi feel karta. Usne Rashmi ko mana kar diya. Yeh baat Rashmi ko acchi nhi lagi. Usne pehle Siddharth ko apnane ke leye bahot saare tricks khele. Par fir bhi Sid nhi maana. Ab unka serial aur yeh dono as a pair bahot hit ho gaye the. Fir vo Sid ko badnaam karne lagi. Kabhi uske kaam ke baare me bol kar to kabhi uska character assinate karke. Koi friend uski newspaper ke bade post par hai. Sid ke baare me aaye din sab galat chapne laga. Vo bahot disturb ho gaya. Vo itna apne kaam ke baare me particular tha fir bhi uski badnami hone lagi. Jab bhi Sid confront karta to rona dhona kar ke saaf jhut bol jaati. Aaye din Sid ke baare me media me, paper me nayi nayi controversy rehti. Vo ekdum depress ho gaya tha. Kuch friends aur uski family chod kar sab usse galat samjhne lag gaye. Aur fir uske life me tu aayi. Pata hai vo tujhe tere piche sunshine bulata hai. Vo kehta hai ke jab mere life ka darkest period chal raha tha tab Sana mere life me sunshine ban kar aayi.
Sana was by now all in tears. Mahi gave her a issue paper and she wiped her tears.
Sana: Aur fir brazil me dono kaise karib aa gaye??
Mahi: Sana tera problem kya hai pata hai?? Tu apne lagne ko sach samjhne lagti hai.
Mahi told Sana what had happened in brazil.
Sana: Par di maine khud Rashmi ko debo se bolte suna ke vo officially announce karne wale hai.
Mahi: Yahi to Rashmi ka kaam hai. Jhut bolna. Usko pata hai Sid usse nhi milne wala aur Sidra se uski dukaan chati hai. To yaha vaha jaakar vo jhoot bolti hai.
Sana: Di yeh mujse kya ho gaya. Mere Siddharth ne life me itna kuch saha hai aur maine kabhi usse samjhne ke koshish he nhi ki. Vo mujse kitna pyaar karta hai yeh muje dekhayi to de raha tha, par muje apni aakho pe rashmi ke naam ki patti band kar ghumna tha. Vo meri har khwaaish meri mangne se pehle puri karta hai. Usne mera itna khayaal rakha di aur mai uspe bharosa bhi nhi kar saki.
Mahi: Tu har jagah galat nhi the Sana. Tum dono galat the. Tu yaha akeli the. Pregnant the. Sid brazil jaakar, reason koi bhi ho tuje ignore karne laga. To tere paas koi option nhi tha yaha se usse bina bole nikal jaane ke alawa. Aur koi bhi self respect wali ladki hoti to yahi karti.
Sana: Jab muje pata chala ke mai pregnant hu mai bahot dar gayi the di. Muje nhi pata tha Sid kaise react karega. Ek baar mann me aaya ke isse abort kar du. Par kaise karti, yeh Siddharth ka baby tha. Jisse mai bahot bahot zyada pyaar karti hu.
Mahi: Tu akele hote hue bhi iss baby ko kuch nhi hone diya. Yeh baat Sid jaanta hai. Usne brazil wale baat call pe he kisi tarah clear karni chahe the. Vo uski galti hai. Aur Sid ko apni galti ka realisation hua. Vo gussa hua ke tune apni pregnancy ke baare me chupaya, par fir tumhare point of view ko samjha. Usne tujhe kitne baar batane ke koshish ke Rashmi ke baare me. Tu nhi sunna chahti the. Isme koi galat baat nhi the. Kyuki tu darti the ke tujhe aise kuch na sunna pade jisse Sid tujhse dur ho jaaye. Par kal tu galat the baby. Tune kisi anjaan logo ki baate sun kar aise react kar leya ke tere aur bacche ke jaan par ban aayi.
Sana: Matlab??
Mahi: Kal doctor ne kaha tha ke tere aur bacche ke haalat bahot kharaab hai. Sid ko tum dono me se ek ko chun na tha. Usne tuje chuna Sana. Baby ko nhi. Tuje. Usne consent form par agar zarurat padi to tuje bachane aur bacche to na bachana ka option chuna. Tu yeh jo kahti hai na, ke usne baby ke leye tujhse shaadi ki. Sooch vo tujhse kitna pyaar karta hai. Kal raat uski haalat bahot kharaab the. Pagal hua pada tha vo.
Sana: Yeh maine kya kar diya di. Mujse galti ho gayi.
Mahi: Tu rona band kar pehle. Maine tuje isleye bataya yeh sab ke mai aur Jay tum dono ko khush dekhna chahte hai. Aur kal raat Sid ke haalat dekh kar hame samaj aa gaya hai ke tum dono ko baccha to ho gaya, par tum dono abhi bhi bacche he ho.
Sana: Ek baar bhi mere taraf nhi dekha usne.
Mahi: Naraaz hai tujse ke tune apne aap ko mushkil me daala. Time de usse thoda. Thek ho jaayega vo. Aur ab tu rona band kar. Raat bhar vo roya, ab tu ro. Matlab hospital ko dubo do apni aasuo me.
Sana laughed through her tears. All things had started clearing up for Sana now. He really loves her the most. She felt so proud of herself. That this wonderful man loves her so much. Now its her turn. She will have to wait patiently for him to forgive her. She had gone so crazy yesterday that, she has not seen or realised Sid had got so scared seeing her condition. He has the right to be angry. She will wait for him to cool down and then they will talk. They will be no misunderstanding from now on. No one will be able to break the trust Sid has build and Sana has so foolishly ignored. She will make it right. For her husband, for her baby and their love.
आप पढ़ रहे हैं
Unspoken Desire (Completed)
أدب الهواةWhen Sana flees from punjab after her controversy she lands up in Mumbai and work as a crew member to a production house. Sidharth Shukla who is alone and feels himself in darkness finds a ray of sunshine. Sana. Finding herself pregnant sana flees...