PROLOGUE

173 22 42
                                    

Ankahee .. Ansunee .. Pyaar Iss Dil Ki

Ek dil thi jo pyaar bhari..

Jo phasi thi ek uljan mein

Jiski seene mein ye dil thi basi

Woh thi ik masoom si pari...


Girl(mind) : "sab hai meri zindagi mein maa, papa, didi, friends phir bhi kaash aisa koi hota meri zindagi mein jisse mein apni dil ki baatein khulke bata sakti. Jo mujhe judge na kare balki mujhe sune aur samjhe jisse mein apne andar dhabi huyi har dard ko har gham ko bataakar apne dil ko iss tadap se un kaduvee yaadon se aazaad kar sakoon... Kaash aisa koi hota jo meri ankahee aur ansunee baaton ko sunle aur samajhle...

Koi apna ya ek dost ya phir koi farishta..."

(Pyaar to har ek dil mein hai har ek rishtey mein hai par usse jataane ki tareeke har kisi mein alag hote hai
Sirf pyaar nahi har ek ehsaas aisa hi hai
Kuch log apne un ehsaas ko batane mein aur jataane mein kaamiyaab hote hai
Kuch log woh nahi kar paate hai. Kabhi kabhi chahkar bhi apnon ke liya shaayad khudki ehsaas ko dhabaakar aage chalna padta hai...)

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now