CHAPTER - 21

14 4 12
                                    

Night aami ki hostel

Shraavi aur maahi kuch reels banane mein busy the. vaishu aur aami kuch kaam kar rahe the apne laptops mein. Tabhi aami ko ek call aati hai. kaam mein itni busy thi toh woh phone speaker pe dalkar baat karne lagti hai sath mein kaam bhi karti hai.

Aami: “ hello kaun?”

Sm: “hello aami pehchana mujhe?”

Aami typing bandh karke phone screen ko dehti hai aur thodi nervous hoti hai aur baki teenon ki taraf dekhti hai.

Sm: “hello  aami are you there? Hello…”

Aami: “he..hello sw..swara”

Sm: “haa main hi hoon thank god tujhe meri naam toh yaad hai, warna tum toh hum sabko toh bhool hi gayi thi na?”

Aami: “ai..aisa kuch bhi nahi, ba..bas thodi inactive ho gayi thi saare social media ki friend circle se.”

Swara: “hmm. Jante hai ab tumhare paas hamare liye waqt kahan saara waqt toh hmm hmm”

Aami ki phone abhi bhi speaker pe thi toh swara ki ye baat vaishu ne bhi sun liya.  Vaishu laptop se nazar uthakar aami ko dekhti hai. aami bhi vasihu ki nazar apni taraf hai ye jan leti hai aur jaldi se phone ki speaker mode off karti hai aur phone leke room ke bahar chali jati hai.

Swara: “are chup kyun ho gayi yaarr main toh mazak kar rahi thi.acha ye chod meri baat sun”

Aami: “haa bolo”

Swara: “main iss liye phone kiya coz next week meri aur meri twinnie dhara ki engagement hai . aur tujhe bina koi excuse banaye huye aana hai. hamare saare friends aayenge.”

Aami: “congratulations swara. Par I’m sorry yaar main aa nahi paungi”

Swara: “yaar maine pehele bhi kaha na koi bahana nahi chalega. Socho yaar kitne time baad milenge hum sab. Itna maza ayega aur tum keh rahi ho ki nahi aa sakti. Yaar tum hi thin a jo hamare school time pe aise get together ki future plannings karti thi.toh ab kya hua?”

Aami: “are par sun toh lo main aise …”

Swara: “dekh mujhe kuch nahi sunna hai bas. Tumjhe aana hi padega ye meri engagement hai yaar aur tum keh rahi hai ki tum nahi aayegi. Thik hai gettogether ke liye nahi toh kam se kam mere liye toh aana”

Aami: “meri baat suno yaar aisi nahi ki main nahi aana chahti bas meri haalat aisi hai ki… please try to understand”

Swara: “aisi bhi kya haalat yaar tum thik toh hai na? kayi tujhe jane ke liye mana toh nahi kiya hai woh?”

Aami: “ aisi koi baat nahi main thik hoon bas main aa nahi paungi. Woh mujhe aise crowd ko face karne mein thodi uncomfortable feel karti hoon so Please aur force mat karo.”

Swara: “yaar please ek baar aa jana mere liye acha tum un sabse mat milna aur crowd se bhi dhoor rahna. Bas mere liye aa jao aur function khatam hone tak sirf meri paas khade rehna kisise milne ki zaroorat nahi please aana”(swara ye last line almost rone ki tone mein kehti hai)

Aami: “yaar swara aise mat bolo th..thik hai main koshish karti hoon par koi waada nahi kar rahi hoon ki zaroor aaungi.”

Swara: “yaay….love you dear. Main teri intezaar karungi.”

Sm: “ swaraa…”

Swara: “haa maa aayi…. Acha aami main rakhti hoon maa bhula rahi hai. abhi bhi bohot saare taiyari karna baki hai. toh see you soon bye”

Aami: “bye”




Who is Swara?

Why Anami get nervous after getting Swara's call?

What is Anami hiding from her friends?

What will happen next will she attend the function or not?


◦•●◉✿ Anami ✿◉●•◦

Vote ⭐

comments ✍️

Hope you guys like this chapter 👆

Pardon me if there's any mistakes.

please give shout outs and follow

me if you haven't....

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now