CHAPTER - 16

13 6 8
                                    

Kuch din aise hi chale gaye. Sab aami ke

khayal rakhte the, uski tabiyat ab theek

thi par woh zyaada baatein nahi karti thi

kisise bhi, phir bhi koi usse kabhi bhi

akhele nahi chodte the. Thaaki woh

akheli baith kar phir se khayalon mein

na kho jaye jise uski tabiyat bigad jaaye.

Aur abhi tak kisine bhi chahkar bhi usse

uski problems ki baare mein khulke na

pooch rahe the.

Ek din hostel mein

 

Vaishu: “aami teri laptop zara dena

mujhe jaldi apni project ke silsile mein

kuch kaam hai, aur meri laptop mein

kuch problem hai”

Aami: “aap pooch kyun rahi ho di ye

lijiye. Aur main zara washroom jake aati

hoon”

Vaishu: “thik hai”

aami jati hai aur  vaishu aami ki laptop

leke apni kaam karne baithi hai. Kuch 

der mein uski work poora ho jati hai. Aur

aami washroom se aati hai.

Aami: “di aapki kaam ho gayi?”

Vaishu: “ha almost abhi deti hoon. Ab ye

jo file create ki hai usse mail karna hi

baki hai. Par yaar mujhe woh file nahi

mil rahi hai jo abhi abhi maine save ki

thi”

Aami: “ahh di woh shayad aapne koi

dusre folder mein save ki hogi aap check

karke dekho, waise bhi mujhe jaldi nahi

hai. Main neeche library mein jaati hoon.

Aap aaram se apna file doondiye” woh

neeche jaati hai.

Vaishu apni file ke liye saari folders check kar rahi thi…

(Aami ki sath)

Aami neeche library mein jati hai, aur

kuch book dekhne lagti hai padne ke liye,

tabhi usse kuch yaad aya woh jaldi apni

room ke taraf daudne lagti hai.

(Room mein)

 Vaishu apni file doondte waqt kuch

dekhti hai jisse woh shock ho jati hai.

Tabhi aami waha pe daudti huyi aati hai,

vaishu ko dekhkar woh aur bhi ghabara

jati hai. Uski aankhein bhar aati hai.


Aami: “v..vai..vaishu di” bohot mushkil

se uski mooh se vaishu ki naam nikhal

aayi.

Vaishu uski taraf dekhti hai, aur uski

aankhein bhi aansoon se bhar rahi thi

par usse bhi zyada sawalon se uski dil

bhar aayi thi.

 

Aami samajh gayi thi ki jisse rokhne ke

liye woh daudti huyi chali aayi woh ab

vaishu ki saamne hai. Aur woh ab kuch

bhi bahana nahi kar sakti. Aami door ki

paas hi khadi thi apni sir jhukake, woh

wahan se hilna toh dhoor vaishu ki aur

dekh bhi na rahi thi.

Vaishu: “aami… ye… kya hai?”

Aami: ……………

Vaishu: “aa… aami…. kuch bolo”

 

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now