CHAPTER - 12

17 7 14
                                    

Kuch din aise hi chale gaye. In dinon mein aami ki chehre ki ronak kabhi kam nahi huyi. Balki woh apni zindagi ki har pal ko enjoy kar rahi thi.

Baki teenon ne bhi yeh notice kar rahe the.

Ek din college ki lunch break ki time

Shraavi: “di, aami ko dekha aapne woh pehle ki tarah khush lag rahi hai na”

Maahi: “matlab, jab se mili hoon usse woh khush hi toh thi”

Vaishu: “nahi woh khush toh thi par aisa lag raha tha ki woh sirf bahar se khush lag rahi thi aur dil se kuch khoyi khoyi si thi”

Shraavi: “haa tumne dekha nahi baar baar kisi khayalon mein kho jaana, raat bhar jaagna, aur yaad hai ek sapna dekh kar itna dar gayi ki usse bukhaar hi ho gayi thi. Pehle toh woh aisi nahi thi”

Vaishu: “aur ab lag raha hai ki woh purani aami wapas aa rahi hai. Pata nahi aisa kya hua tha ki woh itni badal kyun gayi thi par aaj usse phir se dil kholkar haste dekh kar acha laga”

Night vaishu ki room mein

Maahi: “kal toh Saturday hai na aur koi class bhi nahi toh kahi bahar ghoomne chale”

Shraavi: “ha yaar waise bhi pichle weekends mein toh hum kahi nahi jaa paye the”

Vaishu: “par kahan jaana hai kuch plan hai”

Aami: “hum park chale”

Maahi: “park?  Really aami park toh hum kabhi bhi ja sakte hai na kuch naya sochna”

Aami: “are par suno toh sahi aaj class ke time pe naina (a random girl in their class) keh rahi thi ki pass waale park mein kal se leke poore one-week tak exhibition chalne waala hai. Who keh rahi thi ki itna badawaala hai ki poori din nikhal jayega pata bhi nahi chalega”

Vaishu: “ha main bhi suni thi meri classmates bhi kuch aisa hi keh rahe the”

Shraavi: “toh phir teek hai park mein hi chalte hai. Waise bhi mujhe kuch shopping karni thi.”

Aami: “haa aur kal breakfast ke baad nikhalte hai aur poora din wahi pe lunch aur dinner bhi wahi pe ho jayega phir wapas ok?”

Teenon milke: “yessssss”

Sab jaldi sone jaate hai. Aami phirse apni diary aur phone leke khidki ki paas jati hai. Aur kuch der apni phone mein kuch karte huye thodi si muskurati hai. Phir chaand ko dekh kar kuch der baithti hai. Aur baad mein jaake so jati hai.




Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now