CHAPTER - 18

9 5 6
                                    



Raat ki 12 baje

Aami ke alaava sab so rahe the. medicine

ki wajah se aami in dino raat ko so jati

thi. Par aaj uski neend khul gayi thi.


Aami (POV)

Aahhh… ye phir se…  oh god… ab kya

karun main toh apni ghar mein bhi nahi

hoon. Hmmm… itna dard… pata nahi iss

baar kitni din pain sahna padega, waise

bhi almost one-month ho chuka hai toh

pain zyaada hi hogi, aur kuch dinon se ye

log meri wajah se pareshan the ab toh

meri haal aur bhi kharab honewaala hai

toh pata nahi ab kya hoga…ab so bhi

nahi sakti. Dard toh badti jaa rahi hai.

Maa ko call karun… nahi iss waqt call ki

toh woh pakka pareshan ho jayegi upar

se woh ghar pe akheli hai toh… ab tujhe

ye dard bardash karna hi hai aami…

(POV ends)

Aami Dheere uthkar apni pet pakadkar

baith jaati hai, aur uski aankhein bhi

bhar aati hai. usse bohot dard ho rahi thi

par woh apni aawaz bahar nahi aane di,

thaki bakiyon ki neend na toote. Woh

raat bhar aise hi baithti hai aur bohot

der baad woh aise hi so jati hai.

Next morning

Sabse pehle vaishu jaag jati hai. Woh

uthkar baithe hi uski nazar aami par

padti hai jo uncomfortable position mein

so rahi hai.

Vaishu (POV)

Are, ye aisi kyun so rahi hai. Raat ko toh

medicine khake thik se let gayi thi toh ab

ye aise baithe baithe kyun so rahi hai.

Chehra dekhe lagta hai royi bhi thi, Kahi

raat ko kuch hua toh nahi. Ye ladki bhi

na, zaroor hum thik se soye issliye chup

rahi hogi. Aur pata nahi kabse aisi baithi

hai aur kab soyi hai.

(POV ends)

Vaishu aami ko jagane lagti hai.

Vaishu: “aami… aamii utho”

Aami dheere apni aankhein kholti hai.

Aami: “vaishu di, good morning”

Vaishu: “good morning. Waise tum aise

kyun so rahi thi, sur kabse aisi baithi thi,

kya hua?”

Aami: “woh di main… aahhh” Aami kuch

kehne waali thi par usse phirse pain

hone lagti hai. Woh apni pet pakad kar

chillane lagti hai.

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now