CHAPTER - 22

16 3 14
                                    

Aami's pov

Flashback

Sm1: “are yaar main keh raha hoon na ye sab baatein kehne sunne ko toh acha lagta hai bas, par aisa karna toh itna bhi easy nahi.”

Sm2: “oy kyun ,easy kyun nahi? Aur Tera ye hamesha aise negative bolne ki bimari kab jayega?”

Sm3: “are aami chodo na usse ye nahi sudharne wala. Tum batao kya keh rahi thi tum?”

Aami: “ha toh main ye keh rahi thi ki hamein na abhi ki tarah schooling ke baad bhi milna chahiye. Saalon baad sab phir se ek sath kitna acha lagta hai na aise gettogether ke baare mein sochkar hi. Hai na swara?”

Sm1: “ waise iss baare mein itna plan karne ka kya zaroorat hai ye toh har saal hamare school aur colleges mein hota hi hai na, reunion programmes ismein itna bhi kya naya feeling jagne ko hai?”

Swara aur Anami: “Rudy…”

Rudy: “aahhh…chilla kyun rahe ho chudailon meri kaan kharab karne ka irada hai kya?”

Swara: “nahi actually tere kaan nahi balki tera mooh bandh rakhne ka kuch soch rahe hai. jab bhi dekho ulta hi sochta hai.”

Rudy: “par maine kya kiya sach hi toh bola aisa kaunsa nayi plan bata rahi thi ye?”
Aami: “budhu maharaj reunion toh schoolwaale har saal karte hai par usmein aaj tak ki har purane students aate hai. par main uski nahi sirf hamari batch aur friends ki baat kar rahi thi. socho, na koi faculties na koi restrictions sirf hum friends.  Woh bhi saalon baad ek sath bilkul aise jaise hum abhi hai.”

Swara: “waah aami, sochkar hi itna acha lag raha hai”

Rudy: “haa sochne mein toh bohot achi toh lagta hai par kya pata kaun kahan honge aur kaise honge? Sab ek hi samay free bhi toh hona chahiye”

Swara: “tu toh rehne do, waise bhi tabh bhi tum aise hi hone wala hai jaise abh hai ek dam bhudhu maharaj.”

Teenon baat kar rahe hote hai tabhi kuch aur log bhi wahan aa jate hai.

Neena: “are par iss baar iski baat se main bhi sehmat  hoon.”

Rahul: “haa main bhi yaar. kya pata hum sab saalon baad ek duje se itna baat bhi karte honge ya nahi. Sab apne apne life mein busy honge toh kahan in sabke liye time nikal payenge?”

Aami: “guys, wahi toh samay toh nikalna hi hoga. Life mein na hum aage badte waqt aisa ho sakta hai ki jo abhi hamare sath hai un sabse contact hi toot jaye par dil mein ye yaadein aur rishte toh tab bhi honge na. toh kisi tarah un sabke liye ek din ya kam se kam kuch ghante toh nikalna hi hoga. Waise bhi hum sab apne life mein itna busy hone ke sath stress bhi toh badenge. Toh usse thodi relax hone ke liye ek break toh chahiye na. aur aise breaks mein apni friends bhi hai toh maza hi alag hai yaar”

Baki sab: “haa ye baat toh bilkul sahi hai.”

Aami: “toh phir thik hai, ye toh final hai ki hum sab kuch bhi ho ya kahan bhi ho par saal mein ek din ya kam se kam kuch ghante toh zaroor nikalenge aise sab ke sath apni har yaadon ko taaza karne aur nayi yaadon ko banana, promise?”

Sab: “promise.”

Sab group hug karte hai.

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now