CHAPTER - 23

13 3 3
                                    


Ussi din night

Shraavi: “aaj main bohot thak gayi hoon, bohot padhai ki hai ab aur nahi hogi mujhse main toh sone ja rahi hoon.

Maahi: “main bhi thak chuki hoon, aur sone ja rahi hoon”

Vaishu: “ha ha kyun nahi itni der tak toh kaise Instagram pe reels banani hai ye topic pe research kar rahe the na thakan toh hoga hi”dono ko taunt karte huye kehti hai

“Main bohot thak gayi hoon” unki nakal utharti hai.

Shraavi: “diii, humne toh bas do teen reels hi banaye the. aur uski baad toh padhai hi kar rahe the na”

Vaishu: “bas do teen reels hi banaye the” phir se unki nakal utharti hai. “maana ki do teen reels hi banye ho par uske liye poora din nikal diye the dono ne. aur kaunsi padhai ki tumne zara mujhe bhi batao. Ek page bhi poora nahi ki thi aur padhai ki baat karte hai.bekaar ki kaam mein itna interest dikhate ho toh thodi padhai mein bhi dikhao.”

Maahi: “ooo di aapko kya lagta hai reels banana itna aasaan hai. naa…

Pata hai ek ache reels banana ke liye humne kitna kuch socha aur kiya aur aapne ek pal mein hamari mehnat ko bekaar kaha, oh god!!!” woh ek dam dramatic tareeke se bolti hai.

Vaishu: “chal nautanki, bas ye sab karle tu har waqt. Thodi toh dhyaan de diya karo padhai mein bhi. Kam se kam Aami ko dekhe toh kuch seekhlo. Dekha na poora din jab tum log reels kar rahe the tab usne apni project kar rahi thi aur almost complete bhi kar diya aur tum log hai ki ab tak book bhi na khole hai toh project kya karenge?”

Shraavi aur maahi: “kyaaaa?”

Vaishu: “aaahhhh.. meri chudail behanon chup hojao warna tum dono ki mehrbaani se hamein bhi warden ki daat sunna padega”

Shraavi: “par dii project toh hum teenon ko milkar karna tha usne akele kyun kiya? “

Vaishu: “kya tum teenon ka group project thi ye aur tum logo ne bas apni reels banana mein busy the ki usne tum dono ki part of project bhi complete kar diya.”

Maahi: “haa di ye hum teenon ki project thi bas humne soche the ki usmein time hai toh aaram se discuss sab karke milke karenge.”

Shraavi: “par usne sab akheli kar liya aur aap humein daat rahi hai ye kya baat huyi di humein toh ye pata bhi nahi thi na ki woh aisa kar rahi thi.”

Vaishu: “haa par tum logon ko abhi pata chal gayi na? toh kal se baki jo kaam bacha hai research ki woh poori karna aur usko mat batana ya kaam karne dena. Bas Aami ko kehna ki ye meri decision hai.”

Maahi: “par di…” maahi kuch keh rahi thi tabhi aami room mein aati hai.

Aami: “kya hua aap log kya baat kar rahe ho?”

Maahi: “teri hi baat kar rahe the hum kahan thi tum?”

Aami: “main toh bas corridor mein hi thi. thodi thandi hawa chal rahi thi toh wahi rukhi thi. par meri baare mein kya baat kar rahe the tum log?”

Shraavi: “tumne project akeli kyun ki humne toh sath milke karne ki sochi thin a toh phir hamare bina tumne sab akeli kyun kar di?”

Aami: “bas itni si baat yaar woh toh mujhe laga ki tum log toh reels bana rahe the thodi der chill kar rahe the toh disturb nahi karna hai. aur waise bhi itna bhi tough topic toh nahi thi.”

Vaishu: “phir bhi ye tum teenon ko milke karna tha toh…”

Aami: “di ab chodo na iss baat ko. Chalo raat bohot ho gayi hai abhi jaldi so jao kal jaldi jaan hain a workshop jo attend karni hai.”

Shraavi: “oh madam kahan humein sone ko kaha aur tum khud kahan ja rahi hai tujhe nahi sona kya?”

Aami: “woh… main bas… thodi der aise hi tehalne ki soch rahi thi.”

Vaishu: “abhi tum hi keh rahi thi na ki raat bohot ho gayi sona chahiye toh phir khud iss waqt tehalne kyun jar ahi ho? Tum thik toh hai na?”

Aami: “haa di… main bilkul thik hoon bas thodi der tehalne ki mann kar rahi hai iss liye aur kuch nahi.”

Nervous hoke kehti hai. aur vaishu ya baki dono usse kuch aur poochne se pehele woh wahan se chali jati hai. shraavi aur maahi ko kuch samajh mein na aati hai. vaishu kuch sochne lagti hai.

Maahi aur Shraavi: “diii….”

Vaishu: “haa kya kar rahe ho meri kaan phodne ki iraada hai kya?”

Maahi: “hum toh kabse bhula rahe the aapko lekin aap toh kayi khoyi huyi thi.”

Vaishu: “woh main aami ki baare mein soch rahi thi. tum logo ko nahi laga kya ki woh kuch chupa rahi hai, pata hai thodi der pehele bhi jab use kisiki call aayi toh aise bahar gayi ki kayi unki baatein hum sun na le, aur jab woh waapas aane mein der huyi toh main usko bhulane gayi aur dekha ki woh kuch soch mein khoyi huyi thi. use dekhte hi pata chal raha tha ki woh ro rahi thi. par jab maine usse poocha toh woh bas topic change karke chali aayi.”

Shraavi: “ro rahi thi? aisa bhi kya baat hai jo woh chupa rahi hai aur khudko aise hurt kyun kar rahi hai?”

Maahi: “wahi toh ek baar share karti toh thodi stress kam ho jayegi uski. Par woh kehne ko hi ready nahi hai.”

Vaishu: “hum usko force toh nahi kar sakte sach kehne ke liye. Hamein sach janne ki sath uski health ki bhi toh khayal rakhna hoga na. yaad hain a doctor ne usko stress na dene ko kaha tha.”

Maahi: “par hum aisa kya karein jisse sach bhi pata chale aur usko stress bhi na de?”

Vaishu: “sochna padega woh bhi jaldi.”






◦•●◉✿ Anami ✿◉●•◦

Vote ⭐

comments ✍️

Hope you guys like this chapter 👆

Pardon me if there's any mistakes.

please give shout outs and follow

me if you haven't....

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now