CHAPTER - 25

6 2 0
                                    


Next day

Aami: “shraavi uthna ab kab tak soyegi tu, der ho rahi hai utho na”

Shraavi: “are yaar sabko meri neend se kya dushmani hai, jab dekho mujhe chain se sone hi nahi dete.”

Aami: “acha ji, tum apni neend poori karo hum chalte hai. par jab late pahaunchne par principal sir ki lambi speech sunna padena tab humein blame mat karna.”

Shraavi: “speech dene ke liye sir ka yahan hona bhi toh zaroori hai na. woh toh koi official trip par gaye hai.”

Maahi: “ji nahi, sir toh kal hi wapas aa chuke hai. aur aaj humein half day unki hi class hai. itne din ki syllabus jo cover karna hai.”

Shraavi: “kya ye toh mujhe pata hi nahi tha”

Aami: “ab pata chalana ab toh jaldi uthke ready ho jao”

Kuch der mein sab ready hoke college ke liye nikalte hai.

Baki din aise hi chali aur evening mein sab college canteen mein kisika wait kar rahe the.

Vaishu: “waie tum log kiska wait kar rahe hai?”

Aami: “woh di Shalini ma’am keh rahi thi ki koi workshop honewala hai college mein toh uske liye kuch students ko volunteers bana rahe hai."

Vaishu: " Toh tum log bhi volunteers ban rahe hai kya? "

Aami: "clearly kuch bhi nahi kaha hai bas humein aur kuch students ko yahan class ki baad milne ko kaha hai."

Shraavi: "yaar par ye ma'am kahan reh gayi, kitni der ho gayi abhi tak nahi aayi"

Maahi: "par ye workshop kiss cheez ki hai?"

Aami: "woh toh hamari course se hi related hai. Baki details toh ma'am ki aane ke baad hi pata chalega"

Kuch der baad unki ma'am aati hai .

Ma'am: "hello students, jaise maine kaha college mein next week  jo workshop honewala hai uske liye aap mein se kuch students ko volunteers banna hai. Aur workshop poori one week hogi. Aur usmein kuch special vip individuals aur kuch aur college ki students aur bhi bohot log aayenge.  Toh i hope aap log samajh sakte hai ki ye kitni badi responsibility hai. Hum pehele 4 team banayenge aur sabko unki duties bhi bata denge."

Ma'am students ki groups banake aur duties sabko samjha dete hai.

Ma'am: "aur ek baat bahar ki college students bhi aa rahe hai unki colleges ki bhi sath milke ye workshop arrange ki hai toh unki taraf se bhi kuch volunteers do din mein yahan aayenge. So aap sabko unki sath milke ye sari duties karna hai."

Uski baad sab wahan se nikalte hai.




◦•●◉✿ Anami ✿◉●•◦

Vote ⭐

comments ✍️

Hope you guys like this chapter 👆

Pardon me if there's any mistakes.

please give shout outs and follow

me if you haven't....

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now