CHAPTER - 11

20 8 21
                                    

Next day morning

Medicine aur thakan ke wajah se aami raat ko ache se so gayi thi. Jab sooraj ki kiran uski ankhon ko chua toh woh dheere se apni aankhein kholi.

Woh dheerese uthne ki koshish ki toh usse kisika haath apni upar mehsoos huyi. Tabhi uski nazar apni pass soyi huyi vaishu par padi.  

Aami ko dekhne ke liye woh raat ko unki kamre mein hi rukh gayi thi. Aami vaishu ko disturb kiye bina uthne ki koshish karti hai par vaishu ki neend khul jaati hai.

Vaishu: “are, aami... tum uth gayi.. ab kaisi lag rahi hai kuch chahiye tumhe? Abhi….”

Aami: “di, di… shanth ho jao main bilkul teek hoon, bas thodi si thakan hai aur kuch nahi”uth kar baithe huye kehti hai.

Vaishu: “(aami ki fever check karti hai) haa fever bhi uthar gayi hai. Aur tumne toh daraayi di thi. Ek sapna kya dekh li itna dar gayi ki bhukar hi chad gayi tujhe, aisa kya dekh li tumne?”

Aami: “di… woh… chodo na uss sapne ko waise bhi bhura sapna tha”

Vaishu: “teek hai toh tum fresh hokar aao main bhi ready hokar aati hoon”

Aami: “teek hai di”

Woh dono ready hote hai tab tak maahi aur shraavi bhi uth jaate hai. Aami washroom se aati hai tabhi maahi ne use dekhi

Maahi: “aami… tum kyun itni jaldi uthkar taiyaar huyi ho? Teri tabiyat teek nahi hai na?”

Aami: “nahi ab bhukar nahi hai mujhe, thodi thakan hai woh bhi teek ho jayega”

Thodi der baad sab ready hoke breakfast karne jaate hai. Uske baad sab college ke liye nikalte hai aami ke sivaay. Aami poori tarah se teek nahi hai toh woh log ussko mana karte hai. Woh log uski saath rukhne ko kaha par aami ne unko mana karke college bej diya. Par jaane se pehle teenon ne milke usse rest karne ki strict warning diye the.

Aami (pov)

Aise baithe baithe main bore ho rahi hoon. Neend bhi nahi aa rahi hai. Par acha hai agar main so gayi aur phir se who sab baatein aur woh sapna…. Nahi nahi main phirse aise kamzor nahi padna chahti sab ke saamne. Mujhe kuch karke apna mind divert karna padega. Par kya karun… hmmm... haa yahi acha idea hai. Waise bhi abhi toh main akheli hoon yahan pe toh kaam bhi ho jayega mind bhi thoda divert hoga.

(pov end)

Aami apni laptop lekar usmein kuch kaam karne lagti hai.

Evening

Sab college se wapas aa gaye the. Aur sab dinner ke baad aami ki room mein aakar baith gaye the.

Vaishu: “aami medicine khayi tumne?”

Aami: “haa di khaliya tha, aap batayiye kaisi thi aaj college mein sab?”

Maahi: “college mein kya hai roz ki tarah thi, acha tu batao tum kya kar rahi thi poora din?”

Aami: “main kya tum log nahi the toh bore ho rahi thi”

Shraavi: “don’t worry yaar ab toh teri tabiyat bhi thik ho gayi hai toh kal se tu college aa sakti hai”

Maahi: “waise aami aaj tum kuch badly badly si lag rahi ho”

Shraavi: “ha mujhe bhi laga, kya baat hai bolna”

Aami: “are kuch nahi aise hi poora din rest karke uthi toh fresh feel kar rahi hoon bas”

Sab log kuch aur der baatein karte rahe phir sone gaye. Aur aami apni book leke khidki ke paas jaake baith gayi. Par sach mein kuch alag ronak thi uski chehre par, har din ki tarah udaas nahi thi woh. Kuch der baad medicine ki asar se aami bhi so gayi.

Aisa kaunsi sapna hai jo Aami ko pareshan kar raha hai

Aisa kya badlaav aayi hai Aami ko?

Aur kyun?


Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now