CHAPTER 3

32 10 18
                                    

Aami aur uski maa apne car mein kahi jaa rahe the.

(Aami pov)

Aaj meri PG classes shuru ho raha hai. Waise classes toh pehle hi shuru huye the lekin Corona ke wajah se online classes the. Lekin ab toh lockdown khatam ho gya hai aur mere offline classes shuru ho raha hai aaj se. Aur isse bhi badi baat yeh hai ki zindagi mein pehli baar mein hostel mein rehne waali hoon.

(Pov end)

Aami ko college chod kar uski maa wapas chali gayi. Aur Aami ki pehle din toh sabke saath achi thi. Online class ki wajah se sab Ek dusre ko jaante the toh sab bohot khush the. Aur shyaam ko Aami ki maa aakar usse hostel mein join karne ki formalities puri ki. Aur do din baad se hostel mein rahne ki intzaam karke dono ghar chale gaye. Uski saath uski do doston ne bhi usi  hostel mein join kiye the aur woh teenon  ki room ek hi the.

At night

Aami har baar ki tarah soch mein doobi thi aur raat bhar jaagi thi. Jab usko neend ne apne aanchal mein chupane lagi thi aur sapnon ki duniya mein le jaa rahi thi, tabhi sooraj ki pehli kiran apne tandi razaai leke so rahi phoolon ki gaal se lekar aasmaan tak indradhanush ki roop sajane lage the.

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now