CHAPTER - 2

47 11 10
                                    

“Aamiiiii… Utho naaa…”

Koi chilla rahi hai aur uss awaas sun kar ek ladki apne ankhein kholkar bisthar se utt rahi hai.

Ladki: “arey yeh kya mein toh… hmmm… toh aaj bhi sapna hi tha...”

Sm: “kabse bula rahi hoon tujhe Aamii… Anamiiii… tujhe college ki pehle din hi late hona hai kya? Utt bhi jaa”

Ladki apna phone pe time dekhne lagti hai.

Ladki: “oh... 7 baj gaye… ek toh raat bhar yaadon ke pinjare mein neend bandh rahte hai, jab woh pinjara   bhedh kar aaye toh khwaaish ki kwaab poore hone se pehle hi sooraj ki kiran woh cheenlete hai... Kismat toh pehle se hi mujhse roote hi the ab neend bhi dooriyaan banaa rahi hai mujhse...”

“Aamiiii…”

Ladki: “haa maa… utt gayi mein bas jaldi ready ho jati hoon”

Ladki (to readers): “hello guys ji haan mein hi hoon Aami, poora naam hai Anami. Aur jo mujhe pyaar se chilla chilla kar utta rahi thi woh meri maa hai. Aur yeh meri hi kahaani hai.Actually kahaani nahi yeh meri life hai jo aaj kal kiss aur mujhe le jaa rehi hai yeh mujhe khud nahi pata. Toh chaliye dekhte hai ye hamein kahan le chal rehi hai.”

Maa: “Aamiii… kisse baat kar rahi hai tu? Chalo jaldi warna college ke liye late ho jayegi tu woh bhi pehle din… chaloo…”

Aami: “ji maa, aa rahi hoon…”

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now