CHAPTER - 13

22 7 24
                                    

Morning

Sab ready hoke neeche aa gaye the.

Vaishu: “are wah aaj tum dono itni jaldi ready ho gaye, aur aami kahan hai?”

Maahi: “di aaj full masti karni hai toh jaldi ready ho gaye hum”

Shraavi: “aur aami aa rahi hai”

Aami: “a..aa..  correction aa gayi hai”

Vaishu: “aamiii.... aaj kitni achi lag rahi ho tum… ab lag raha hai meri purani aami”

Shraavi: “haa aami sach mein bohot achi lag rahi hai tu.waise kya main jaan sakti hoon ki iss badlaav ki wajah kya hai?"

Aami: “kuch bhi toh nahi bas mann kiya toh…”

Vaishu: “acha kiya aur aaj se roz aise hi taiyaar hona”

Maahi: “ha yaar, roz aise ready hogi toh pakka har roz ek proposal aate rehenga dekhna”

Woh sunkar aami kuch uncomfortable feel karti hai par dikhaati nahi.

Aami: “ab chale der ho gayi toh lambi line mein hi adha din jayega”

Sab jaldi nikhalte hai. Traffic ki wajah se unhein adha ghante lage park pahuchne mein. Toh ticket counter pe line toh bani chuki thi

Vaishu: “are jaldi aana pehle hi lambi line hai waha pe”

Kuch der line mein rehne ke baad unhein bhi tickets mil gaye. Maahi aur shraavi toh dress ki section mein hi rukhe the. Vaishu aur aami kuch jewellery accessories aur books ki collections ki taraf gaye the. Sab apni apni shoppings khatam hone ki baad baki entertainment area ke taraf chale gaye.

Shraavi: “guys ab mujhmein energy nahi hai kuch karne ki, chalo kuch kha lete hai bhook lagi hai”

Vaishu: “haa thik hai waha pe chalte hai uss taraf thodi bheed kam hai”

Sab paas ki ek stall mein chalte hai khana khane uske baad ice cream ki stall pe jate hai. Sab ice cream kha rahe hote hai tabhi aami ko apni pair par kuch mehsoos hua.

Aami neeche dekhi tho…………

 Ek chotusa bacha tha lag-bag 3saal ka. Woh aami ki pair pakad kar muskhura raha tha. Par uska chehra dekhkar hi pata chalata tha ki ro raha tha.

Aami jaldi usko apni godh mein uthaliya.

Aami: “alele kaun ye cute baby” aami uski aansoo ponchkar cheeks par kiss karte huye boli toh baby aur bhi khush hogaya tha. Usne apna donon chote chote hath aami ki cheeks par rakha aur usse dhyaan se dekh kar thodi der aise hi raha.

Vaishu: “are itna chota hai ye aur itni bheed mein akhela.”

Maahi: “haa dekho toh lagta hai bohot roya hai, Bechara dar gaya hoga”

Shraavi: “par iski parents kaun hai aur kahan honge? Aur kitne careless log hai itna chota bache ki care nahi sakte kya, itni bheed mein kuch toh dhyaan rakhna chahiye”

Ankahee .. Ansunee ..  Pyaar Iss Dil KiWhere stories live. Discover now