The big palace show under a beautiful city .
A lady is shouting on some servants.
Lady - Jaldi jaldi kaam karo . Wakt nhi hai .
An other lady come there and said .
Lady - Maa aap kyun pareshan ho rhi hai sari taiyarian ho jayengi . Is rajya ki badi rani ko aise pareshan hona sobha nhi deta hai .
BR - Toh hum kya karein laxmi kitna sara kaam baki hai . Kal Sujangarh ke 200 varsh pure hone wale hai . Bahut khash din hai kal ka .
Laxmi - Maa aap chinta na kare sare kaam ho jayenge .
Then a girl come and said .
Girl - Ji Nani koi samasya nhi hogi .
BR - Aradhya aapne apne pita ke liye tohfa le liya.
Aradhya - Ji Nani aur aap dekhiyega ki is baar sabse acha tohfa hamara hi hoga .
Laxmi - Lekin mujhe lagta hai ki is baar bhi sabse acha tohfa Nandini ka hi hoga . Pata nhi kaha se har baar woh itne alag alag tohfe lati hai aur is baar bhi woh kuch khash layi hogi.Listen this Aradhya make faces.
BR - Waise Nandini hai kaha .
Laxmi - Pata nahi .
Laxmi called a soldier and tell to find Nandini .A small dark room is show and a girl and a man doing sword fight.
Suddenly the soldier come and said .
Soldier - Rajkumari ji apko badi rani ne abhi haram mein bulaya hai .
Listen this they stop fighting.
Man - Aaj ke liye itna bahut hai rajkumari ji aage ka abhyas ( practice) hum kal karenge .
Nandini - Dhanyawad Senapti ji jo aap humein talwar chalana sikhate hai warna aap toh jante hai ki mehal main kisi ko pasand nhi hai ki hum ya koi bhi ladki talwar chalaye par pata nhi kyun humein talwar chalana itna pasand hai.
Senapati - Rajkumari ji mera manna hai ki ladkiyon ko astra ( weapons) chalane Ane chahiye isse woh khud ki bhi suraksha ( safety ) kar sakti hai .
Nandini - Thik hai ab hum chahte hai agar nani ko pata chal gaya ki hum mahal main nhi hai toh pata nhi hamara kya haal karengi .
Senapati - Ji rajkumari ji pranam.
Nandini - Pranam senapati.
Saying that Nandini leave for there.
Senapati - Aap ko nhi pata rajkumari ji ki aap dusri ladkiyon ki tarah nhi hai . Aap ke jeevan ka ek bahut bada maksad (motive ) hai jo apko bahut jaldi pata chalega .Nandini reached the palace and change his dress and go to meet badi rani. Laxmi and Aradhya also present there .
Nandini dress
BR - Kya hum jaan sakte hai ki aap kaha thi subah se .
Nandini - Woh nani hum mandir gye the .
BR - Mandir
Nandini nodded his head.
BR - Thik hai aapka tohfa taiyar hai apke pita ke liye.
Nandini - Bas thoda sa baki hai kal subah tak ho jayega .
Listen this BR is about to say but maharaj surya singh come there. Seeing him every one is stand on his respect .
Laxmi - Maharaj aap yaha apne bataya bhi nahi .
Maharaj - Agar bata dete toh humein yeh kaise pata chalta ki badi rani hamari beti par naraz ho rhi hai.
BR - Maharaj par .
Maharaj - Badi rani Nandini bacchi hai abhi aap uspar itna naraz mat hua kijiye . Nandini meri bacchi koi baat nhi agar apka tohfa pura nhi hai to hum jante hai ki aap kal tak pura kar lengi .
Nandini - Ji pitaji. Abhi humein jana hai aaj sham ko pure rajya ke liye bhojan hai na mahal mein uski taiyari karni hai .
Maharaj - Thik hai .
Then Nandini leave for there.BR - Maaf kijiyega maharaj par aapko nhi lagta ki apne nandini ko kuch jyada hi azadi de rakkhi hai . Ek toh waise bhi usme apka khoon nhi hai .
Badi rani is about to say futher but maharaj stop her.
Maharaj - Bas hum apki izzat karte hai iska matlab yeh nhi ki aap kuch bhi kahe . Hum apse pehle bhi keh chuke hai ki nandini ke bare mein hum kuch nhi sunenge .
Saying that maharaj leave for there.Laxmi - Maa ap janti hai maharaj ko bilkul pasand nhi ki koi bhi Nandini ke bare mein kuch bhi kahe .
BR - Humne sirf sach kaha hai aur tum dekhna ek din is ladki ki wajah se Sujangarh mein koi badi musibat ayegi .
YOU ARE READING
Manan FF - Tum Dena Sath Mera
FanfictionThis is a historical love story show that how you support your partner in every situation. so let's see a beautiful love story of Manan.