#Episode2
Enjoyy Readingggg and tell me your views in the comment section ❤️❤️
HM: ek kaam karte hai... Humlog dinner order karke ghar manga lete hai... toh koi pareshani bhi nahi hogi, bahar ka dinner bhi ho jayega.... Aur aap thakenge bhi nahi
AS: ye sahi kaha aapne... Acha hai... Aisa hi karte hai...
HM: hum hai hi itne smart😂😎
AS: avashya Haseena Ji, ab aap aaiye, hum bahar car mein wait karte hai
HM: ji, zarurrr...
HM arranges everything, instructs the constable and goes in the car. They take food from a restaurant on the way and directly go to their house.
At home:
HM goes to change and get fresh, meanwhile AS arranges the food.
HM: Lag gya kya khaana? bohot bhook lagi hai hume
AS: Itni hi bhook lagi thi toh late nahi karna tha na...
HM (teasingly): vo kya hai na, humare khadoos dsp hai, jo time pe kaam nahi khatam hone pe humari line hazir kar denge
AS: vo toh kar hi denge
HM: haww
AS: kyuki kya hai na priye, line hazir karne par aap humare paas hi rahengi na, head quarters mein😁
HM: uff... Aap bhi hai na, ab khana khilayege ki meethi meethi baato se hi pet bharne ka irada hai?
AS: jo aap kahe
HM: khaana khate khate baatein😁
AS: smart😏
AS serves the food and while having dinner their conversation continues:
AS: ummm... Vaise Haseena jii
HM: haa?
AS: Aapka kaam kaisa chal Raha hai...
HM: kya?
AS: aapka...
HM: areh nahi, ye chodhiye, aur vo puchiye jo aap actually puchne vale the aur sentence change kar diya....
AS: aap kaise sirf humara face dekhke pehchan leti hai?
HM: bas, aise hi
AS (murmurs): chalta firta lie detector ... Uff
HM: sun rahe hai hum...
AS: toh sach kaha humne...
HM: ha toh bataiye ab, kya kehna tha apko... Vaise bhi hum dekh rhe hai kuch samay se aap kuch kehne ki koshish kar rahe hai, par keh nahi paa rhe, abhi dil kholke jo kehna hai keh dijiye
AS: uhm, Acha toh suniye... Hume aapse koi baat karni thi
HM: haanji, zarur, kya batana hai
(Note: here, in my FF, they've done court marriage 5-6 days ago and only their colleagues and mothers were present)
AS: hmm, jii.. aapne hume sab bataya hai shaadi ke pehle, par hum aapse ek baat shaadi se pehle karna chahte the .... Taaki baad mein koi sankat (problem) na ho... Par hum tab kar nahi paaye, par ab toh karni hogi, ise aur nahi taalna chahiye
HM: aisi konsi baat hai Anu, jisse aapko lagta hai hume apati (pareshani) hogi?
AS: batate hai, acha aap ye bataiye ki humare parivaar mein kon hai?
HM: aapki maata shree jo bhi gaav mein rehti hai..... Aur dur ke rishtedaar hai kuch
AS: aur humari behna
HM: kya?
AS: ji Haseena Ji
HM: toh shaadi mein kyu nahi aayi vo? Aur aap? Aapne hume bataya kyu nahi
AS: Vo unke exams chal rahe the... Isliye...
HM: toh fir batana tha na Anu, hum date shift kar dete... Aur kitne saal ki hai aapki behen? Kaha rehti hai? Kaisi hai? Kya naam hai?
AS: areh areh... Haseena Ji ek kshan shaant ho jaiye... Hume bolne ka mauka toh dijiye...
HM: ek toh aap ab bata rahe hai... Aur fir hume hi shaant rehne ko bol rahe hai...
AS: haa maante hai hum ki humari galti hai, humne aapko nahi bataya, isliye toh batana chahte hai aapko sab kuch... Ab aap hume bolne ki ijazat dengi, tab na bolenge...
HM: di ijazat, par ab sab sach sach bataiyega hume...
AS: Avashya... Toh baat aisi hai ki humari ek choti behen hai, humari Karu... Vo abhi class 9 ka exam di hai, unka humare vivah vale dino mei exam tha... Humne usse puch ke hi us din ki date set ki thi, uske baad ka koi mahurat nahi tha, aur hum dono ki mata-shree chahti thi ki hum court marriage ek shubh din pe kare, isliye humare paas koi chara nahi bacha...
Aapko batate toh aap bhi shaadi rok dete uske liye, par hum taalna nahi chahte the, aur usne khud humse kaha ki aaplog 1st anniversary ache se manaiyega, usme sabhi rishtedaaro ko bula ke mast party karenge... Tabhi fir humne proceed kiya... Toh ye hai pura sach, hume maaf kr dijiyeHM: hey allah, kya haal hai anu aapka bhi, batana toh chahiye tha kam se kam, usse baat toh krta na hum... Khair... Abhi exams ho gye unke?
AS: han vahi toh batana hai, abhi unki vacations chal rahi hai, toh 10 mein gayi aap samajh lijiye
HM: itni choti si bachi, kaha hai vo...
AS: vo Haseena jii... Vo Kanpur ke "ABC School" (ab koi bhi school imagine karlo) mein padhti hai, aur udhar hi hostel mein rehti hai...
HM: par kyu Anu? Itni si toh hai vo... Hostel mein kyu? Aapke sambandh kaise hai uske saath?
AS: vo baat ye hai ki hum chahte the ki Karu sheher mein padhe, aur achi education prapt kare... Isliye hum use gaav se yaha le aaye par...
HM: par?
AS: par aapko toh pata hai ki hum toh thehre special agent, aur hume kabhi bhi mission pe jaana padhta tha... Toh hum Karu ko gharpe akele thodi chodh sakte the... Uski jaan ko bhi khatra rehta... Aur hum kisi house help pe bhi itna bharosa nahi kar sakte the ki humari Jaan se bhi pyaari Karu ko hum unke bharose chodhke missions pe jaaye isliye...
HM: isliye aapne uska dakhila (admission) hostel mein kara diya
AS: jii
Aajke liye bas itna hi...
Next part aayega after minimum 25 votes! Toh pls don't be a silent reader!
Aage kya hoga, kaisi hogi Karishma Singh? Kya lagta hai...
Sochte Rahiye❤️Thank you for all your love for the previous part(s).
Love you all❤️

आप पढ़ रहे हैं
Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)
FanfictionKuch Rishte Aise bhi Description: Kuch Rishte aise bhi hote hai, jinhe hum kabhi describe nahi kar paate. Kehne ko toh har rishte ka naam hota hai, jaise dosti, marriage, etc etc... Par kuch rishte itne khaas hote hai ki unki value us diye gaye titl...