Idea ✨🎊

1K 97 26
                                        

Thank you so much ache response ke liyee!!

Toh ye lijiye BONUSSSS

ENJOYY READINGGGG ❤️

#Episode 8

KS: MS sach bataye toh hume insab mein interest nahi hai ki khudko sudhare vagera... Boring hota hai vo sab...

(By this time AS was done talking with R and was waiting for Kareena's conversation to end and so he came forward and heard the last sentence of HM and KS)

AS: Uski ab zarurat bhi nahi padegi behna

Both KS and HM stand up seeing AS

KS: aa... Bha... Bhaiya aa... Aaapp... Aap yahaa?

(Lag gyii)

AS: ji vo aap itni der se baat kar rhi thi toh socha aake dekhke kya chal raha hai... Aur ab aapko khud ke liye kasht lene ki zarurat nahi padegi... Kyu Haseena Ji, sahi keh rhe hai na hum?

KS was shocked on why AS was addressing HM as Haseena Ji and not Miss Malik, as he addresses other officers... But she kept quite...

HM: bilkul Anu... Kyuki ab hum toh hai hi...

KS: ek second? Anu? MS, aap jaanti hai Anu bhaiya ko?

HM smiles...

AS: jii... Ab toh MS nahi... Bhabhi kahiye... Yehi hai vo jinke baare mein humne aapse zikr kiya tha... Aapki bhabhi...

KS (in mind): lag gyii... Humne ye sab kya bata diya inhe...

AS: kya hua? Khush nahi hai aap?

KS: areh, kaisa baat karte hai bhaiya aap... Ekdum jadhbuddhi ki tarah... Hume toh ye kitni pasand hai... Aur as bhabhi toh hum dhanya ho gye...
Bhabhiii (she hugs HM)

KS (whispers while hugging HM): humne abhi jo bhi kaha tha na... Usse bhool jaiye pls... Hume laga tha ye humari first and last meet hai isliye humne khushi ke overflow mein jyada bol diya...

HM (in same tone and posture): us baare mein toh baad mein baat karte hai hum aapse...

KS smiled nervously

HM (breaking the hug): acha laga aapse milke Karu, aapke exams the toh aap shaadi mein nahi aa paayi... Suna tha humne...

KS: jii

AS: vaise, ek khush khabri hai aapke liye Karu...

KS: kya hua bhaiya? Shaadi toh abhi hui na... Itni jaldi khush khabri🤐🤭🤭

AS: bhak... (Hitting on her hand lightly) puri pagal hi hai aap... Kitna bigad gayi hai...

KS (teasingly) : ab aapke paas sudharne ka time ho toh na 😏 aap toh aate hi 3 months mein ekbaar hai...

AS: humare paas ab samay ho na ho... Aapki bhabhi toh samay nikal hi legi...

KS: kya matlab?

HM: matlab ki ab aapki sudharne ki journey shuru hogi... Aur masti wali life bhi...

KS: hume kuch samajh nhi aa raha...

AS: aapki ab tak humse kya shikayat rahi hai, yehi na ki hum saath nahi rehte, hum aapko time nahi dete, haina?

KS: ha toh...

HM: toh ab Anu ne desk job le liya hai aur unhe Lucknow ka DSP appoint kiya gaya hai... Ab vo comparatively Kam missions pe jaate hai aur...

KS: aur?

AS: Aur hum agar gye bhi mission pe toh Haseena Ji hongi na gharpe... Toh hum aapko Ghar leke Jaa rhe hai...

KS: kya??? Sachiii?

KS was happy because she always wanted to stay with her brother and now she had HM in the form of her bhabhi, she was already much inspired by her but somewhere she also had little fear in mind because of the upcoming restrictions that would come over her...

AS: haa...

KS: Kab jayenge hum?

AS: kal hi shayad... Haseena ji ne baat ki hai...

HM: jii, humari baat ho gayi hai principal se.. Unhone kaha hai ki kal hum Karu ko lejaa sakte hai... Toh humne kuch socha hai...

AS and KS: kya?

HM: humne socha ki ab jab itne samay se Karu yaha pe rahi hai.... Toh uske jo friends hai, unke saath ek party toh banti hai na... Toh humne permission le li hai uski bhi... Aap apne dosto ko aaj lunch ke liye ready rehne bol dijiye... Aur hume bata dijiye kitne jan hai...

KS: partyyy... Sachii?? Woww... Humlog party karenge... Par kaha? Aur kaise?

HM: sab batate hai...

AS was just smiling throughout...

HM: abhi aap apne sabhi friends ko inform kar dijiye ready hone ke liye... Hum teeno ghar chalte hai, jaate hue aapke(KS) liye ek dress le lenge aapke pasand ki... Aur fir Chalke taiyaari karte hai...

KS: aur mere dost kaise aayenge?

AS: uske liye hum ruk jaate hai... Unhe apne saath gaadi mein le aayenge...

HM: ha, ye thik rahega...

KS: toh hum dono Ghar kaise jayenge bhabhi? Bus mein?

HM: vo toh aap jaate time dekh lijiyega...

KS: acha par... Bhaiya aapki ek car mein humare sab dost nahi aayenge...

AS: kitne jan hai?

KS: 23

AS: hain? Pure hostel ko bulayengi kya!!

HM: Anu kya hai... Aap 2-3 cars bulwa lijiye na... Yaa fir aap chodhiye... Hum cabs arrange karke bhejwa dete hai...

KS hugs HM

KS: aap kitni achi hai, thank you so much bhabhiiii

HM kisses KS on forehead 😘

HM: chale ab Karu? Taiyaariya bhi karni hai na?

KS: haa... Chalo... Par humara saman...

HM: shift aap kal hoyengi... Hum aapko baaki ka plan raste mein batate hai... Chaliye toh

KS: okayy... Bye Anu bhaiya

KS kisses AS on cheeks, AS smiles

They bid AS bye and leave the hostel


Aajke liye bas itna hi...

Partyy time hai!!
Aage kya hoga vo toh aap...
Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें