#Episode49
KS (fumbling): hehe, nahi Bhabhs... Aa... Aisa baat nhi hai... Hum... Hum padhenge na... Par
HM (raised one eyebrow in a questioning manner and smiled inwardly seeing KS fumble): par kya?
KS: par... Par... Haa... Par ye ki bhabhi abhi toh aaye hai na school se hum... Aate hi padhne se dimaag ka churan ho jayega sab ek saath itna sara padhai hoga toh... thodi der baad padhte hai na...
Saying this, KS looked at HM with hopeful puppy eyes and HM smiled and nodded in assurance
HM: thik hai, 2 hours aap karlo jo karna hai, uske baad books leke khudse cabin mei aa jana, hume bulaane na aana padhe
KS: yeahh 🥳 (KS jumped from her seat in excitement and kissed HM on her cheeks) chalega Bhabhs chalega
HM nodded, smiling and at her and KS was about to leave the cabin
HM: agar bahar jaogi toh batake jaana
KS: na na, itna dhup mei bahar kon jayega
HM: thik hai
KS left and HM resumed doing her work.
After about 2½ hours, HM noticed the time and she was already angry because KS had not come yet. HM went to check on KS in the gym room to find her fast asleep with the mobile in her hand. HM brought a duvet from the almirah and covered KS
HM (in mind to herself): ye pakka raat ko time se nahi soyi hai... Tabhi abhi neend aa gayi hai, aur haalat toh dekho, mobile haath mei leke so gyi hai, matlab neend aa rhi thi toh chodh deti phone, par nahi, phone toh sabse ehem chiz hai na zindagi ki...
Then HM took the phone from KS's hand, she once glanced at KS, a small smile crept on her face seeing KS sleep as a innocent baby. HM took the phone and went back to her cabin.
In HM's cabin:
HM (in mind to herself): phone toh unlocked hai, check kare kya, nahi nahi, Haseena ye nahi karna, bharosa karti hai vo tumpe, use batakar karenge hum check jab bhi zarurat lage, aur uske saamne karengeSaying this HM locked the phone and kept it in her table's drawer and continued to work.
Time skips.
As the duty hours finish, HM goes to wake up KS as they have to go back home.
In the gym room:
HM: Karuu, utho
KS: 5 minutes bhabhss
HM: areh ghar jaana hai bacha, late ho rahi hai, utho
KS (sleepy): aaj exercise skip karte hai na Bhabhs, vaise bhi per bohot dukh rahe the
HM smiled at this cute complaint
HM: karuu abhi subah nahi Hui hai
KS: toh aap aadhi raat ko kyu utha Rahi hai
HM (in mind to herself): hey bhagwan, kya kare hum iska
HM: karu hum thaane mei hai, ghar jana hai na bacha
After multiple tries for the next 5 minutes KS woke up and they went and sat in the jeep, conversation during the journey:
HM: Karu apne bhaiya ko call karo aur pucho unse... Kaam ho gaya hai toh hum pickup karle?
KS: kyu? Vo khud aa jayenge na bhabhi Ghar chalte hai hum
HM: areh nahi, aaj hum unki car le aaye the na, toh unko fir auto mei aana padega
KS: toh karne dijiye mehnat us aalsi insan ko😂😂
HM: dhatt (HM playfully hit on KS's arm) call kariye
KS nodded and looked for her phone in pockets when she realised it was not there
KS: shitt
HM: kya 🤨🤨
KS: um... Vo... Bhabhs hum na phone apna thaane mei bhul aaye hai
HM: humare bag mei hai, ye lo, humare phone se karo (HM took out her phn from her pocket and gave it to KS)
KS: hum... Humara phone aapke paas kaise aaya
HM: us baare mei baad mei baat krenge
KS: humara phone dijiye na ekbaar
HM: uffo, bola na baad mei, Anu ko phn kariye abhi
KS: jii
KS dialled AS's number and put the call on speaker
AS: toh finally humari jaan ko humari yaad aa hi gyi
HM's eyes widened and KS looked at HM and started laughing
KS: kshama kijiyega bhaiya, par phone speaker pe hai aur Bhabhs drive kar rhi hai
AS: aa... Aap... Behna... Aap?
KS: jii, hum
AS: aapke paas khud ka phone nhi hai? Haseena Ji ke phn se kyu kiya
KS: hai na, par Bhabhs ke bag mei, aur unhone ne bola hume phn krne aise toh humne kr diya, hehee
HM: Anu kitna bolte hai aap... Karu ki baat toh sun lijiye
KS: vahi toh
AS(sighed): boliye
KS: aise kaise, bhabhi se toh itne pyaar se bol rhe the abhi, humse bhi pyaar se pucho tab batayenge
AS: behnaaa
KS: aap time waste kr rhe hai keval
AS: humari pyaari behna, kis karya hetu aapne hume durbhas kiya
KS: hmm, better, ye hui na baat, han toh humne ye puchne ke liye call kiya tha ki kya aapka kaam HQ mei ho gya?
AS: almost hone vala hai bas, kyu?
HM: toh Anu sab wrap up karke miliye hume niche, hum aapko pick up kar lete hai
AS: aap hume lene aa rhi hai?
KS: haan vo humne socha bechare laachar sheher ke DSP aise bus mei dhakke khaate hue ache nahi lagenge toh unki sahayeta karde....
KarEena bursted out into laughter
AS: behna
HM: kya behna behna kar rhe hai, hum bas pohochne vale hai so hurry up and pack up
Aajke liye bas itna hi...
(Aaj toh bada episode diya hai, ache se votes dena aur comments karna)
Aage kya hoga vo toh aaplog..
Sochte rahiye...Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

आप पढ़ रहे हैं
Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)
FanfictionKuch Rishte Aise bhi Description: Kuch Rishte aise bhi hote hai, jinhe hum kabhi describe nahi kar paate. Kehne ko toh har rishte ka naam hota hai, jaise dosti, marriage, etc etc... Par kuch rishte itne khaas hote hai ki unki value us diye gaye titl...