padhai session

805 78 48
                                    

Thank you so much for all the love and response❤️ aise hi banaye rakhna dosto❤️

As per promise!

Enjoyy Readingggg ❤️

#Episode 19

Scene shifts
In KS's room:

HM dragged KS holding her ear to the room and closed the gate and left her ear. KS rubbed her ears as they were red.

KS: ahh... Bhabhs... Kitna zor se pakda

HM (still angry): thappad bhi lagana chahiye tha...

KS (scared): kyu😶

HM: kitni baar bola tha humne aapko? Padhne baithne? Room mein jaane?

KS (fumbles): umm vo... Vo...

HM (sternly): vo vo mat kariye... Kabse bol rhe hai hum, aap taali (postpone) jaa rhi hai... 1 hour hone ko aaya...

KS: (silent)....

HM: ab suniye... Humare saath ye sab nahi chalega... Aaj first time tha... par agli baar se... Hum ekbaar bolenge... 'Repeat' (stressing on the word) nahi karenge... Agar aap baat maan ke padhne baith gyi ya kaam kar liya toh thik hai... Varna fir humse bura koi nahi hoga... Hum apne tarike se le jayenge padhne... Kyuki padhna toh hai hi...

KS (shocked on HM's anger and strictness, in mind she says): sahi hi kehte the saare seniors di ke baare mein... Ye toh bohot strict hai, ab tera kya hoga Karu🥺 aur maine toh Anu bhaiya ke saath deal bhi karli thi... Uska kya... Main toh gayi...

HM: ab kuch bolengi??? Ya khade rehna hai pure raat?

KS: ha vo, thik hai di... Nahi hoga aise firse... Sorry...

HM nods in positive

HM: umeed karte hai... Chaliye ab shuru kare... Copy, pen laaiye....

KS brings the stuff and goes to sit on the bed.

HM: ye kya kar rhi ho?

KS: baith rahe hai padhne, aapne hi toh kaha

HM: bed pe?

KS: umm haa?

HM: nahi nahi, study table kis liye hai room mein, yaha aaiye...

HM settles herself on the study table while making place on the table as it was full messy

HM (while arranging): kya haalat hai table ki, aise kon rakha hai... Karishma agli baar se hume ye saaf chahiye, aise bikhra hua saman nahi... Samjhi?

KS nods in positive

HM: muh se bolo...

KS: haa... Samjhi..

HM: hmm... Aaiye fir... Aaj jo tumne kiya, uski punishment hai ki tum ek haath se likhogi... Aur ek haath apna kaan padogi...

KS: hai? Parr....

HM glared

HM: koi problem?!

KS: thik hai... Hum... Um .... Humko koi problem nahi hai... Humko kaisa problem ho sakta hai bhala... Heheh...

The study session continued for 2 hours ab it was still on with KS holding one of her ears. KS was already tired and frustrated as she did not like the subject but as already HM had been angry on KS she did not dare to say a word.

KS (in mind): yaarr... Aur kitna padhayengi ye... Kabse padha rhi hai... 2 ghanta ho gya... par kitna acha samjhai bhabhs.... pehli baar humko maths karne mein acha laga... bas ye agar dusra haath bhi free hota toh.... par ab ho gaya yaar... Amma aur ammi ne chetaya tha isliye humne koi nautanki bhi nahi ki, dono haath dukh rha hai ab toh... Hey bhagwan... Koi farishta bhejo, ya di ko samjhao, kuch toh karo aur hume yaha se bachao... Ekdum icha nahi hai aur karne ka... Koi toh phone aa jaaye inhe, ya koi important case. Yaarr....

HM (sternly): Karishmaa

KS: aa...  haa?.... Kya hua dii?

HM: kaha khoyi hai aap?

KS: .... Umm..  hum? Hum kaha? Kahi bhi nahi, hum toh aapko sun rahe the...

HM: acha? Toh bataiye abhi humne kya padhaya?

KS: haa? Hum?😶

HM: nahi toh aur kon... Bataiye...

KS (in mind): yaar... Maine toh suna hi nahi ye last vala sum... Ab kya karegi Karu...

HM: boliyeee... Chup mat raho ...

'Knock knock'

And KS opened the door on HM's instructions. It was the trio... Ammi, Amma and AS.

HM: ji kahiye? Koi kaam tha kya?

AS: priye time toh dekhiye .... Bhojan ka waqt ho gya hai

Ammi: haa, aur kitna zurm karegi bachi pe 😒

HM: ammiii...

Amma (to ammi): meri Haseena ke liye aise mat bol ....

AS: jo bhi ho, ab bhojan karte hai na....

KS (in mind): Bach gyeee....

HM: hmm, vaise bhi iski (referring to KS) toh padhne ki icha vaise bhi nahi thi... Thik hai toh fir hum dinner ke baad....

KS (interrupted): nhii... Aur maths nhi Bhabhs... Firse dinner ke baad nhi...😩

KS paused when she saw HM glaring at her.

KS: vo um... Hum keh rahe the ki .... Voo... Hume koi dikkat nahi hai... Aap jab bhi padhaye... Vo hum aise aa rhe the (doing the famous step)

Everyone except Kareena chuckled at this... Even HM chuckled but inwardly....

HM: behrahl... (Teasingly) Aap jaise bhi aa rhi thi... Hum toh keh rahe the ki dinner ke baad icecream khane jayenge... Par agar ab aapko ye subject itna hi pasand aa raha hai toh padh lenge fir ... Ye toh achi baat hai

Everyone again chuckled at it except KS.

KS: icecream!!! Yeahhh!! Nahi nahi... Hum toh icecream khaane jayenge!!!
(She hugs HM) aap kitni achi ho...

HM: ha ha, icecream ki baat aayi toh hum ache ho gye... Ab tak mann mei kos (criticize) rahi hogi hume itna padhane ke liye... Par hum bata de... Ye kam tha.. sirf 2 hours enough nahi hota ekdin mei...

Ammi: par aaj ke liye itna theek hai... Chal na... Bhook lagi hai Haseena...

HM: jii jii...



Aajke liye bas itna hi...

Toh aaplog ke bhaari demand pe haazir hai HM ka thodu ka strict avatar... Ab aur aisa dekhna hai? Ya nahi? Merko comments mein bataye!

Aur konsi deal ke baare mein soch rahi thi KS?
Sochte rahiye...
Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें