BONUSSSS!!!
Itne time baad aaplog ne BONUS maanga, toh humne socha neki aur puch puch... Bas ab aur ek mat maangna Bhai kyuki Maine hi nahi likha hai🤣🤣 chalo abhi ye toh padhlo... Aur comments zarur karnaaa
Enjoyyy Readinggg ❤️
#Episode38
KS: yaar, kalse fir jaldi uthna padega...
SS: jaldi matlab... Kitne baje uthti ho tum?
KS: 10 baje tak... Usse jyada bhabhi sone nahi deti
SS: rule alag kyu hai yaha... Yeh cheating hai diii... Aap sirf merko daat te ho...
AS: areh Santu shaant shaant... Vo ye abhi aayi hai na... Isliye
HM: haa... Karishma jab aayi tab just aayi thi exams ke baad... Aur tab aapko bhi hum chutti dete the, fir hum Delhi aa gye... Toh ab uska bhi shuru hoga, use bhi rule follow karna hoga
KS felt weird when HM referred to her as Karishma and not Karu or bachaa but she did ignored it
KS: kaisa rule??? Hume bhi toh bataiye
SS: mai batati hu... Areh di toh kehti hai 5am se ek minute late nahi hona chahiye uthne mei, maximum 5 baje hota hai... (To HM) Toh karu ko kyu sone dete ho itna... 5 hours extraaaa
HM: madam... 5 baje ground pe.. bhul gyi lagta hai aap sab
SS: nahi vo bas...
HM: bohot faaki maar liya tune bhi, mil kal ground mei
KS: par 5 baje kyu?
HM: training, exercise, jo aap hostel mei miss kar deti thi
KS: par Bhabhs this is not my cup of tea
HM: no arguments, I want both of you in ground by 5am tomorrow, and that's final, late hue toh punishment milegi...
KariTosh: Bhabhs/dii yaarrrr
AS was smiling silently while HM got up and cleared the table
KS: bhaiya aapko pata tha?
AS: obviously 😂
KS: areh par aap unhe samjhao na...
AS: pagal hai kya aap behna... Vo trainers ki head hai, ye jaanti hai na aap... She is very firm about her decisions... Aur ground pe bhi
SS (interrupted): bohot strict hai... Purane din yaad aa gye yaar... Kalse waatt lagegi
KS: kyu?
SS: kal pata chal jayega...
KS: areh...
SS: chal abhi niche park mei chalte hai jaisa decide kiya tha....
KS: ha chal...
KariTosh: bhabhiii/diii
HM came out of the kitchen
HM: kya hua? Kyu chilla rahe ho?
SS: hum na niche Jaa rhe hai
HM: niche kaha?
SS: park hai na... Complex mei hi, bahar nhi...
HM: thik hai... Santu tum humara phone leke jaao, 1 hour mei aa jana...
KS: mera phn toh hai na bhabhi
HM: aap kahi nahi jaa rhi hai
KS: kyuu?
AS: kiya hoga kuch kaand, acha priye hum bhi walk karke aate hai...
HM: nahi, aap bhi rukiye... Chhoti tum jao... Aap dono kahi nahi jayenge...
SS: par dii
HM: tumko Jana hai ya padhne bithau?
SS: nai nhi, padhai kalse na... Mai jaa rhi hu... Byee...
HM: one hour
SS: haa dii
SS toh patli gali se nikal li ab bach gye humare bichare Anu bhaiya aur Karu
AS: kya hua priye...
KS: Bhabhs aapne jaane kyu nahi diya hume ....
HM: chup rahenge aap dono... Bata rhe hai na hum... Pehle ye bataiye... Aap dono ne baatein chupana kabse shuru kiya hai?
AnuShma: kya?
HM: sahi suna aapne... Karishma aapse humne pucha tha na test papers ke baare mei, aapne humse kya kaha tha? Ki result toh guardians ke bina nahi milta... Jabki aapko papers mil chuke the... Marks mile the aapko, bhale hi result nahi mila tha... Aur Anubhav aap... Aapko ye baat pata thi... Fir bhi aapne hume batana zaruri nahi samjha
KS: bhaiya aapko pata tha?
AS nodded his head in yes
HM: ab aap kuch batayenge Anubhav ya hum bataye?
AS: vo... Hume call aayi thi hostel se... Unhone bataya hume ki KS ka result kaisa hua hai... Aur bola ki KS ne sign nahi karaya humse ab tak... Pichli baar bhi hum gye toh nhi kiya humne... Hume pata bhi toh nhi tha... Toh ab jaake sign karna padega hume...
HM: toh aapko pata tha na ki uska result kharab hua hai?
AS: jii
HM: aur aapne hume batana zaruri nahi samjha?
KS: par...
HM: aap chup rahiye Karishma... Aapse hum baad mei baat krte hai... Aap tab tak papers leke aaiye... Jaha bhi chupake rakhe hai
KS looked at HM with wide open eyes
HM: aise mat dekhiye.... Pata hai hume.... Lekar aaiye abhi
KS followed and went to bring the papers
HM: boliye Anubhav
AS: h.. ha.. vo Haseena Ji.. hume pata tha... Humne aapse nahi bataya kyuki Hume laga aap bekar pareshan ho jayegi
HM: pareshaan ho jayegi? Haq hai humara KS pe Anu... Humari bachi hai vo... Haa hum kam marks dekhke usse daat sakte hai, hume laga toh kheech ke thappad bhi lagayenge use... Par hume toh usko aage padhane se pehle pata hona chahiye na ki konsa subject uski kamzori hai, vo kaisi galtiya karti hai, taaki vo aage ache se kare... Aap humse aise chupayenge toh kaise chalega...
AS: humari vo mansha nahi thi priye... Humne socha tha aapko ekbaar mei result laake dikha denge...
Aajke liye bas itna hi...
Ab kya hoga Karu aur uske bhaiya ka?😂😂 Dono fas gyee
Sochte rahiye...Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)
FanficKuch Rishte Aise bhi Description: Kuch Rishte aise bhi hote hai, jinhe hum kabhi describe nahi kar paate. Kehne ko toh har rishte ka naam hota hai, jaise dosti, marriage, etc etc... Par kuch rishte itne khaas hote hai ki unki value us diye gaye titl...