Here we go.....
Purvi reached home and enter in hall just then one man taunted her...
Man : Aagayi top karke zindagi mai kuch fhaida hog iska ya sar pe baith ke hamehsa khati hi rahogi...
(karun purvi's mama)Purvi close his eyes in irritation but calm her mind and say..
Purvi : mama wo result tha ache no aaye ha isiliye gayi thi usi mai deri ho gayi aapko koi kaam tha..
Voice came from behind
Ghar ke sare kaam kon karega subha se mai kaam kar rahi hu naukraniyo ke jaise (pramila purvi's mami)
Purvi : mami kar de rahi ho abhi to aai hu aap kaam bata do kar de rahi hu waise bhi roz to mai hi karti hu...
Pramila : zubaan chalao kamai khao tumhare sath sath tumhare us buddhi dadi ke nakhre bhi jhelo..
Karun : or nahi to kya phir tumhare shadi ka bhoj are meri behen mari to mari 2 logo ka aafat chod gayi..
Pramila : Tumhe hi bada shauk tha na apni behen ka bhoj apne sar pe rakhna ka..
Purvi just hearing all the taunts and tears in his eyes coz it's a daily routine they always talked like this.. just then one old lady came and they stopped purvi see her and wipe her tears.. yes she is purvi's dadi.. she came near her mama
Dadi : 15 saal phele tak jab Purvi ke maa baap zinda tha to teri kitni madad kari thi usne are teri chod is aurat ki bhi jo aaj zeher ugal rahi hai jab unke pass paisa tha to bohot aage peeche ghuma Purvi ko pyaar mujhe samnaan diya jab unki ek hadse mai jaan chali gayi mai or purvi yaha aae rehne socha koi to apna hai par nahi ye to paiso ki duniya hai yaha aapki hasiyat puchi jaegi pyaar rishte thodi or haa jitni mere bete bahu ki kamai thi use Purvi ka school college or ghar ke karche chale tum sab pe bhoj nahi aaya aaj bhi mere pension ka paiso se ghar chalte ha tumsab ne diya ha sirf ghar mai ek kona rehne ke liye baki or kuch nahi na paisa diya na pyaar na izzat... or mai ye aakhir baar bol rahi hu ab agar meri purvi ko ulta seedha bola to mai ek rupiya ab nahi dungi karche ke liye samjh jao...
Both get shocked purvi just looking at them Dadi came hold purvi's hand and goes in her room...
Pramila: Are ye budhiya to dhamki hi de kar chali gayi ek to tum ho jo ek kamai nahi karte isiliye baad mai hume hi sunna padta hai...
Karun : Are to kya karu mai kaha se lau dher sare paise ek ye Purvi or wo budhiya sar pe nachte phirte hai...
Pramila : Mai hi kuch karungi dekhna taki in dono ko unki aukat yaad dika saku...
The scene shifts to Haveli where vir was sitting and remembering purvi's face and her tears...
Vir : Ye duri ye majburi ye khamoshi aakhir kab tak apke baahon mai bhar ke apke saare aansu peena chahta hu ek bhi taklif apko chuye ye bardast nahi ab... apko apna banana chahta hu zindagi banana chahta hu apni biwi banana chahta hu apko or mai ye janta hu ho kar rahega thoda sa waqt lagega (soft smile) 15 saal lag gaye thoda or sahi..
He was lost in his thoughts just then guard came and tell him someone want to meet with him.. he agrees and come... he see one lady is standing...
Vir : Kahiye kya kaam ha apko..?
Lady : Thakur sahab apne hi to bulaya tha na mere bete ne bola apne mujhe bulaya ha..
Vir : (remember) Ha ha yaad ha par maine apko kal bulaya tha aaj nahi..
Lady : kal subha hi subha kaam pe jana hai thakur sahab agar kaam nahi karungi to paise nahi aaenge or mujhe apne bache ko padhana hai use bheek ha majduri nahi karni..
Vir : (came near) kal se aap kahi nahi jaengi seedha yaha haveli pe aaengi.. apko kam chaiye na mai dunga apko.
Lady : Matlab thakur sahab....?
Vir : Matlab ye ki mere mama sarkar ki beti shikha wo maa banne wali hai dusra bacha aane wala ha unka unke pati doctor ha bahar ke desho mai jate rhete ha wo nahi honge uske sath or is waqt unhe parivar ki zarurat hai dhayan ki zarurat hai or sath hi mai ek 5 saal ka beta ha uska bhi dhayan rakhne ki zarurat hai wo kal aa rahi ha apko unke sath rehna hai unka dhayan rakhna hai ek tarah se kaha jae to unke sath 24 ghante apko rehna hai apke or apke bete ka khane ka rehne ka intezam hojaega or jaise hi wo maa ban jaegi apko yaha koi or kaam dediya jaega naukari se nikala nahi jaega.. mere rehte Rewari ke kisi ke aurat ko taklif ho ye mere mukhi hone pe sawal ha isiliye aap kal se waqt pe aa jaiyega..
Lady : apka bohot bohot aabhar hai thakur sahab bhagwaan apko lambi umar de or hamesha khush rakhe...
Vir : surkiya... kal se aa jaiyega or suniye andar se khana peena or kuch davaiya maine bol rakhi ha ja karke leli jiyega.. chalta hu..
She nodded and left here ms and pd watched all these and smiling....
Pd : Dekha bhai ji mera beta kitna acha or pyara hai kisi ka dukh nahi dekh sakta or kehta ha na mai is parivar ko apna nahi manta phirbhi humse phele shikha ke liye acha sa intezam kar diya
MS : Wo to hai par ek sawal hamesha mere mann mai rehta hai virendra ko hamehsa aise hi log kyu mil jate hai jo bebas or majbur ho... ya to kismat ise dundh leti ha ya to ye aise hi logo ko dundhta hai..
Pd : is sawal ka jawab to waqt hi dega ya virendra hi dega or hume dono ka intezar karna hoga..
Both were thinking here vir came in garden and sit in couch and smile... in purvi's house dadi came with plate of food and sit near purvi...
Purvi : Dadi kyu aai baba chod kar aaye hume agar wo nahi jate to ye sab nahi dekhna sunna padta hume.
Dadi : Zindagi isi ka naam hai apne hi zayda dukh dete ha ye galat thodi likha hai par mujhe mere kahna ji pe pura yakeen hai ki teri aage ki aane wali zindagi bohot khoobsurat or achi hogi dukh ke badal jab hat jate hai na to sukh har taraf se aata hai.
Purvi : ab or kya acha hoga aadhi zindagi to meri guzar gayi or mai apke liye kuch kar bhi nahi paai..
Dadi : Na beta teri zindgai to abhi shuru hui hai or tune mere liye bohot kuch kiya hai dekhna bhagwaan ke ghar der hai andhar ha chal mujhe khush karne ke liye khana khale...
Dadi forwarded a bite Purvi smile and eat that here pramila (her mami) watching all these and burning in anger..
Tum dono ki choti si duniya mai to ab mai aag lagaungi... dekhna dadi poti. Aids aag lagaungi ji zindagi bhar rote reh jaoge na chain se jee paoge na chain se mar paoge... aage dekho kya hot purvi tumhare sath...
Kya shuru hone ko hai purvi virendra ke zindagi ke dusre padav ki shuruat
That's all for today guyz Ignore spelling and grammatical mistakes.
Aise hi votes comments barsate raho to part mein deri na hogi.. bacha 😂
Bye bye.. to be continued....
YOU ARE READING
BEPANNAH ISHQ
Storie d'amoreKehte hai na kismat hume humare pyaar se milvati hai kab kon kaha mil jae kisi ko nahi pata, kab kis se konsa rishta ban jae kise pata , kab kisi se hume pyaar ho jae kise pata, par agar kaisa ho jab phele hi chun rakhi ho manzil , kaisa ho agar ho...