Here we go,
Purvi siting on the bed crying bitterly prakshi consoling her while patting her head. shikha brings a wet cloth doctor or sits next to purvi and cleaning her face.
Rehman kartik comes into the room they felt bad seeing purvi crying prakshi tries to make purvi drink water but she's refusing and kept crying rehman and kartik goes stood beside prakshi.
After some time, Naaz comes into the room with juice and gave to prakshi.
Kartik : Bhabhi to chup hi nahi ho rahi hai.
Rehman : Pata nahi vir ko aakhir ho kya gaya ha kyu aise rudely behave kar raha ha jo man mai aa raha ha bolta ja raha ha ek bar shanti se sochna chaiye khudke liye rishte ke liye or maine ek bar nahi kayi dafa samjhane ka try kiya galati sirf purvi se taraf se nahi ha. usko baat samjhani hi nahi sirf gussa karna ha pta nahi or kya kya karega gusse me.
Kartik : Maine aaj tak bhaiya ko itna gusse mai kabhi nahi dekha pata ha rehman bhai bhabhi ne gusse me jo unki maa ko bola ha na use bhaiya bohot hurt hogaye ha. itna ki sahi galat aane wali situations ko samjh nhi pa rahe hai.
Rehman : Manta hu kartik purvi ka vir ko jail bhejna galat tha vir ko jo takleef hui wo galat tha uski ammi ko beizat nhi karna chaiye tha par har kahani ke do matlab hote ha purvi ke bhi kahani ka hissa dard bhara ha unhone bhi apne ammi khoye ha choti umar ha sabut bhi aise dikhae gaye shaq hota par ek bhul kardi yakeen nahi kiya vir pe use ek bar bhi poocha nahi koi baat nahi ki or gusse me faisle leliye.
Kartik nodded both looked at purvi with sad helplness face she stop crying but denying to drink water.
Naaz : Purvi mai juice layi hu pee lo please aaram milega dekho tumhara chehra kitna laal hogaya ha. please drink it.
Prakshi : Ha purvi.. beta thoda sa pee le phir kapde badal kar aaram karna neeche aane ki koi zarurat nahi hai.
Shikha : Ha tum chinta mat karo or humsab vir se baat karne ki use samjhane ki koshish karenge. pata nahi ho kya gaya ha usko aise kyu bartav kar raha hai.
Purvi : (broken voice) in sabke zimmedar sirf hum ha.. na hum mukhiji ka yakeen todte na hum unhe jail bhejte na hum unpar shaq krte na hi maa ki kitni beizati karte. hum kya kahe khudke bare me? Jab inhi hatho se unke maa ke kangan fhek diye.. hume aaj bura lag raha ha yakeen nahi kar pa rahe hum par shaq kar rahe hai lekin shaq ke beej to humne hi boye na unke mann me.. pehli rasoi pe unhe mirch wala khana khilaya kya socha tha aaj wo sab humare upar beetegi.. hume bura bh lag raha ha or kahi na kahi khudko zimeedari bhi tehra rahe ha kyuki humne kiye ha unke sath galat..
Prakshi make her drink.. purvi denied first but drank little and wipe her mouth.
Prakshi : Dekh purvi galati ka ehsaas hona badi baat hoti hai virendra ke sath tune bura kiya hum beshak naraz the par lekik humsab andhe nhi ki tera pyaar nazarandaz karde. Jo kuch hua ya jo kuch ho raha ha wo tere nasib me likha ha.. tere prem ki pariksha pati patni ke rishte ki door mazbut karni ha tujhe. Apne bete ko me ye keh sakti hu kya sahi ha or kya galat magar uske mann me jo ghavv me use to tujhe hi bharna hoga.. bohot bar aisa waqt aaega jisme virendra kuch aisa bhi bol jaega jo use nahi kehna chaiye lekin wo uska gussa keh raha ha hume baat ka dhayan rakhna hai. aaj jo usne kiya wo bilkul galat tha uska kaha hua har ek shabd theek nahi tha par uske dil me jo gussa ha wo kisi ke bass me nahi ha to hume kuch aisa krna ha jise uska gussa kam ho jae wo tere liye soche.. rishte ke bare mai soche.. hum poori koshish karenge tere liye jo virendra ke mann me kadvahat ha wor jald dur hojae or tujhe khushi khushi apna le apni zindagi me lekin tumhe kamzor nhi padna ha or aaj jo bewakoofi ki ha na dohrana mat thik khudko takleef dekar kuch hasil nahi hota ha

YOU ARE READING
BEPANNAH ISHQ
RomanceKehte hai na kismat hume humare pyaar se milvati hai kab kon kaha mil jae kisi ko nahi pata, kab kis se konsa rishta ban jae kise pata , kab kisi se hume pyaar ho jae kise pata, par agar kaisa ho jab phele hi chun rakhi ho manzil , kaisa ho agar ho...