5. Haseena in Singh mansion

681 94 94
                                    

Hm looked towards the source of voice and shocked to see...

Hm- aap..

Maa, Baba- haa hum...

Hm- uncle aunty ap dono aaiye na...

They come inside and sit on sofa..
Hm- hum Pani laate hai.

Maa- nhi beta pani ki jarurat nhi hai..

Hm- kaise nhi hai aap dono pheli baar hamare ghar me aaye hai...

Ps- Hasi tu beth mai pani lekar aayi hu....

PS bring water for them, they drink it.
Hm- hum jante hai hamara ghar chota hai aapke mukable...

Baba- ghar bhale hi chota ho lakin dil tumhara hum logo se bhi bada hai...

Hm slightly smile...
Ps- aapko pata hai uncle ji aunty ji Hasi kisi par itni asani se bharosa nhi karti lakin aap logo se Jo pyar Mila tha kal isse usse isse bhut acha laga..

Maa- hasi...??

Ps- Haseena mai iski best friend hu prerna Sharma...

Baba- acha...

Hm- uncle aunty aap yaha kuch kaam tha humse...

Maa- haa kaam toh tha, lakin humne Jo abhi is flat ke owner or tumahari baat huyi thi vo sun Li thi...

Hm hesitate...
Baba- acha hum main baat karte hai jiske liye hum yaha aaye the...

Baba look at maa, maa blinked her eyes, Hm and Ps look at each other..

Maa- dekho beta kal jab hum tumse mile toh tum hume bhut bha gyi, itni sundar shusheel bhut ache sanskar hai tumhare jabki tumne bhut phele hi apne mata pita ko kho diya, humne Tay kiya tha ki tumhe apne ghar ki bahu banayenge...

Hm and Ps shocked...
Ps- aapne Mr Anubhav Singh ke liye Haseena ko pasand Kiya hai....??( Excitedly)

Baba- haa...( smiling)

Ps- ye toh kitni achi baat hai itne handsome, top business man mere jiju banenge...

Hm hit her elbow on her arm...
Hm- chup kar tu...

Hm- dekhiye aunty hum aapki ijjat karte hai lakin hum ese kisi ko jaane bina shadi nhi kar sakte, hum vaise hi bhut muskil se kisi par bharosa karte hai...

Maa-phele hamari Puri baat sun lo, humne Anu se baat Kari toh tumhari kal ki mulakat jis halat me huyi thi toh usne mana kar Diya, isliye Maine or tumhare uncle ne faisla liya hai ki hum tumeh apni beti banana chahte hai, or ab jab ye suna ki tumahare hath se ghar bhi jaa raha hai toh hume lagta hai humara faisala galat nhi hai, hum apni marzi tumpar thopna nhi chahte tum aaram se soch lo Jo tumhara faisla hoga vo hume manjoor hoga...

Baba- haa beta kal jab se tumse mile hai na toh ek alag sa hi lagav ho gaya hai esa lagta hai tum hamare parivar ke liye bani ho...

Hm and Ps look at each other...
Hm- hum kaise aapke Ghar me rahe sakte hai aapke already 3 bache hai toh aap hume apni beti kyu banana chahte hai....

Maa- banana toh hum bahu chahte the lakin kya kare halat hi ese ho gaye..

Ps- hum jara abhi hai thod vakt chahiye sochne ke liye...

PS take Hm from ther in Hm room...
Ps- Haseena kyu mana kar rahi hai tu dekh kismat ne kitna acha moka Diya hai tujhe...

Hm-dekh prerna vo log ache log hai, lakin vo bade log bhi hai, hume jo unke bacho ka hak hai vo nhi chahiye or agar vo hamare liye na bhi kar paaye jitna apne bacho ke liye karenge hume koi fark nhi padega lakin tu toh janti hai na hum tere or teri family ke alava kisi par bharosa nhi karte Jo kuch hamare sath hua hai uske baad apne school me bhi kafi saal baad logo par thoda bhut bharosa kar paaye hai or ye log inse toh hum kal hi mile hai. Haa ye ache log hai abhi hume apni beti bana rahe hai kya pata badme naukar jaise vyavhar kare...

Anuseena-A different love story Where stories live. Discover now