32. Her past

968 134 152
                                    

Continued...

Hm- aapko pata hai mumma papa khete the ki hum bhut lucky hai kyuki hamare aane ke baad dada ji bhi hum sabke sath rehne Lage the, hamari ek happy family ban gayi thi jisme dada, dadi ,mumma ,papa or hum the lakin khete hai na life me khushiyan jyda der nhi rehti ese hi ye sab dekh kar hamare tau ji jalne lage the hamare papa se ek toh parivar tha unke pass upar se khud ke dam par company kholi thi or ghar bhi...

Hm- jab hum 5 saal ke the toh hamare dada ji ki death ho gayi thi, sab kuch jaise bikhar sa gaya tha hum bhut roye the kyuki hum jyda tar dada ji ke sath hi rehte the, lakin samay ke sath khud ko sambhala or uske or 5 saal baad yani jab hum 10 saal ke the toh hamari dadi ji ki bhi death ho gayi thi...( Tears are flowing through her eyes he hold her hand ) sab kuch bikhar sa gaya tha dada ji ke kareeb toh the hi lakin dadi ji ke or kareeb the vo hamare sath khelti thi hume apne hath se khilati thi, mummy ki daat se bachati thi. Lakin kya kare jindagi ko koi badal toh sakta nhi tha na or fir niyati ne esa khel khela ki humse hamara sab kuch chin liya, 3 saal baad hamare mummy papa ki death ho gayi accident me or sirf mummy papa ki nhi hamare ajanme bhai/ bhen ki bhi...( He shocked) hamari toh duniya hi ujad gayi thi or hume pata chala ki ye sab hamare tau ji ka kiya gaya hai hamare papa ka buisness chinne ke liye or ghar bhi kyuki unka toh bhari nuksaan ho gaya tha, unhone hume ghar se nikal diya ek taraf toh hum aanath huye the upar se sar se chhat bhi chali chali hamari tai ji jyda buri bhi thi unhone iska virodh kiya lakin tau ji ke samne kaha chalti unhone hamare hamare ghar se hi nikal diya or papa ka sara business bhi apna kar liya or hume manhus khene lage ki humne peda hote hi sabko kha liya...

As- aapne kuch kiya nhi...

Hm- kya karte bhut chote the na, beshara ho gaye the, dar dar bhatke the bhuke pyase na sar par chhat thi, bachpan se esa kabhi nhi hua tha ki hum akele ho, kam se kam 3 din ho gaye the ki humne khana nhi khaya tha..( with teary eyes)

His eyes also become teary hearing this...
Hm- kisi ne hume mandir ke baare me bataya hum waha chale gaye tab kisi ne hume Prasad diya tab jakar kuch khane ko mila, bas ese hi jindagi kat rahi thi kabhi kuch mil jata tha khane ke liye or kabhi bhuke pet hi idhar udhar so jaate the, kareeb 5-6 mahine baad hamari friend Prerna vapas Mumbai aayi vo bahar gayi huyi thi jab usse or uncle aunty ko iske baare me pata chala toh vo hume dhundhe lage or mandir pahuche unhone hume apne sath lejane ke baare me kaha lakin humne mana kiya ab aap hi bataiye jiske khud ke parivar ne esa Kiya ho vo dusro par kaise bharosa kar sakta tha...

Hm- vo roj humse Milne mandir hi aate the kuch din baad jab hume laga ki vo ache hai tab hum unke sath chale gaye, unhone hume kapde dilavaye padhya likhaaya fir jab hum 18 saal ke huye toh hum unke sath rehne se mana kar diya kyuki jyda vakt tak boj nhi ban sakte the, uncle ne kiraye par ghar dilavya tha scholarship ke paiso se kiraya bharte the or or thod bhut khane ka intzam kar lete the vaise toh uncle aunty jyadatar tar hume apne yaha hi khane par bulate the, jab 20 saal ke huye toh teacher ki job le li pichle 2 saal me bhut tayari karke exam diya tha, or uske aage ka apko pata hi hai, toh ye tha hamara past....

She said with tears, he also had tears in his eyes, she start crying..
He took her in a hug now she cry loudly....

As- bas Haseena ji shant ho jaiye...

Hm- hamare sath hi kyu esa hua kyu kya hum vakaiye me manhus the Jo humse hamara sab chhin gaya, kya hum pyar deserve nhi karte the kyu akela pan likha tha hamari jindagi me...( while crying)

As- bas bas bhut dukh jhel liya aapne ab apke sath hum hai pura parivar hai na aap bilkul akeli nhi hai, jo aap deserve karti hai sabko aapko milega or manhus bilkul nhi hai aap,jab se hamare Ghar aayi hai ghar khusiyo se bhar gaya hai...( He rubbed her back)

After sometime later when he realise she is not crying, he separate her and see she sleep. He comfortably put her on bed and cover her with blanket.
He look at her and this time he didn't control himself, he bend down and place a kiss on her forehead, a minute later he sit straight...

Anuseena-A different love story Where stories live. Discover now