can't help falling-part 2

832 110 157
                                    

Karishma: apne koi injection lagaya kya bhaiya?

Anubhav: nahi vo...

Karishma: apko humari Kasam hai sach boliye.

Anubhav: Karishma yaar...

Haseena: boliye.

Anubhav: vo... please ye baat kisi ko batana mat par ...mai blood donate kar raha hu, roz...N..Namya ke papa ko.

Kareena went shocked.

Kareena: kya?

Anubhav: haa

Kareena: kyu?

Anubhav: Namya ke papa ki abhi abhi sever surgery huee hai, jisme unka bohot blood loss ho gaya, isiliye roz unhe blood donate karne ki zarurat hai.

Karishma: jisne apke saath itna galat kiya ap ussi ke papa ko blood donate kar rahe hai?

Anubhav: Jisne mere saath galat kiya hai , uss hi ne apne papa ke saath bhi galat kiya hai.

Haseena: matlab?

Anubhav: uske papa ko brain tumor tha, aur unka half part paralyze bhi, Kyu ki Uncle ka Namya ke alawa iss duniya mein koi nahi hai, saari zimmedari uncle ki Namya pe aa gaiee, par usne uthaiee nahi aur unhe chhod kar chali gaiee, ab tum dono he bato, kaise maddat na karta mai unki?

Karishma: apne kuch galat nahi kiya bhaiya aur vaise bhi, uncle Namya ke papa hone se pehele Chacha ke bohot acche dost aur buisness partner the.
Ap yaha baithiye mai Vishal sir ko bula ke laati hu, Haseena please yahi rukna.

Haseena noded and Karishma left.

Haseena walked towards Anubhav's bag and took out his water bottle and poured some water in a glass kept their.

She gave the glass to him.

Anubhav quietly took it and started drinking it.

Haseena: jisne apko itni takleef di, ap ussi ke papa keliye itna sab kar rahe hai, kaise koi apse pyaar na kare?

Anubhav stopped drinking the water and looked at her.

Anubhav: lekin pyaar na he ho toh Behetar hai na?

Haseena: pyaar ho raha hai apse, mai kya karu?

Anubhav: Avoid karo.

Haseena: nahi kar paa rahi hu sir.

Anubhav: tumhe karna padega, iss raaste ki koi manzil nahi hai Haseena, please samjho iss baat ko.

Haseena: ap avoid kar paa rahe hai iss baat ko?

Anubhav became silent.

Haseena went to him and sat on the chair holding her hand.

Haseena: sir...hum kyu ek dusre ko takleef de rahe hai? Hum koshish bhi toh kar sakte hai na?

Anubhav: kya fayda hai koshish kar ke?

Haseena: kyu nahi hai? Aisa bhi toh ho sakta hai ki hum humesha saath rahe.

Anubhav: aur agar aisa nahi hua toh?

Haseena: mai apko pasand nahi hu kya?

Anubhav remained silent.

Haseena's eyes developed tears.

Anubhav: Haseena...

He whipped her tears.

Anubhav: please samjho baat ko, hum pass nahi aa sakte.

Vishal and Karishma was about to enter but stopped listening their conversation.

KUCH TOH LOG KAHENGE- SEASON 2Where stories live. Discover now